unki taraf se tarqe mulaaqat ho gayi

raazdaron se bachke chalta hoon
gham busaron se bach ke chalta hoon

mujhko dhokha diya saharon ne
ab saharon se bach ke chalta hoon

akl ke rog maar dete hain
ishq ke sog maar dete hain
aadmi khud ba khud nahi marta
doosre log maar dete hain

shiraza e hayat pareshan ho gaya
ye marhala bhi khair se aasan ho gaya
mere sukoon e dil ko to hona hi tha tabaah
unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya

unki taraf se tarqe mulakaat ho gayi
hum jisse darr rahe the wohi baat ho gayi
unke liye koi na koi baat ho gayi

aeena dekhne mein nayi baat ho gayi
unse hi aaj unki mulaqaat ho gayi
tay unse roz e hashar mein mulakaat ho gayi
inti si baat kitni badi baat ho gayi

aaye hain wo mareez e muhabbat ko dekh kar
aansu bata rahe hain koi baat ho gayi

aankh kambakht se us bazm mein aansu na ruka
ek qatre ne duboya mujhe dariya ho kar

dar parda bazme gair mein dono ki guftagu
uthi yahan nigah udhar baat ho gayi

kab tak 'Qamar' ho shaam ke waade ka intezaar
sooraj chchupa chirag jale raat ho gayi

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha