unke andaaz e karam unpe woh aana dil ka

unke andaaz e karam unpe woh aana dil ka
haaaye wo bazm wo baate wo zamaana dil ka

mujhe yaad hai woh zara zara
unhein woh yaad ho ya na yaad ho

na suna usne tawwajoh se fasaana dil ka
umr guzari hai magar dard na jaana dil ka

dillagi dil ki lagi bann ke mita deti hai
dillagon se dillagi achchi nahi
rone waalon se hasi achchi nahi

dil lagake pata chala dil ko
aashiqui dillagi nahi hoti

kya khabar thi ke ishq ke haathon aisi haalat tabah hoti hai
baat karta hoon dam ulajhta hai saans leta hoon aah hoti hai

zakhm pe zakhm khaa ke jee apne lahu ke ghoont pee
aah na kar labon ko see ishq hai dillagi nahi

dillagi dil ki lagi bann ke mita deti hai
rog dushman ko bhi ya rabb na lagaana dil ka

woh bhi apne na hue dil bhi gaya haathon se
aise aane se toh behtar tha na aaana dil ka

naksh par aab nahi veham nahi khwaab nahi
aap kyun khel samajhte hain mitaana dil ka 

unki mehfil mein 'Naseer' unke tabassum ki kasam
dekhte reh gaye hum haath se jaana dil ka

Comments

  1. diljalon se dillagi achi nahi,,,

    ReplyDelete
  2. Heart 💓 melting crying magical words,
    Thanks a lot may ♥️الله full fill ur permissible wishes and grant u n ur parents , jannat ul firdos
    جزاك اللهُ خيرًا 👍

    ------syed ab wahab qadri

    ReplyDelete
  3. Very beautiful neat Masha Allah

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil