aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba

allah re kya baargah e ghaus e jali hai
gardan ko jhukaye hue ek ek wali hai
har gaam pe sajde ki tamanna hai jabeen ko
yeh kiska dar e naaz hai yeh kiski gali hai

aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba
sajde jahaan karte hain aake farishte

malak sar jhukaate hain
wali ankhein bichchaate hain

ee baargah e hazrat e ghaus saqlain ast
na kade qamar e haider o nasle hasnain ast
maadarsh hussaini nasab asto pidare oo
zaulaade hassan yani karim ul abawain ast

jhuki bahr e ibadat jab shah e baghdad ke dar par
ajab taukeer e sajda apni paishani pe dekhi hai

alb haibat se larzan hai insaan ka marhaba marhaba
hai asar bazm pe kiske faizaan ka marhaba marhaba
ghar basaane meri chashme veeraan ka marhaba marhaba
chaand nikla hassan ke shabistaan ka marhaba marhaba

sar ki zeenat amaama hai irfaan ka marhaba marhaba
jhukta tann phir muhammad ke ehsaan ka marhaba marhaba
rang aankhon mein zahra ke faizaan ka marhaba marhaba
roop chehre pe aayat e quran ka marhaba marhaba
saj ke baitha hai naushah jeelan ka marhaba marhaba

nagar nagar mein karo munaati
hai shah e jeelan ki aaj shadi

saare waliyon ko mehmaan bulaaya gaya
ghaus e aazam ko dulha banaya gaya

meera ke ghar hai shaadi aaye wali nabi sab
taiba se mustafa bhi tashreef laa rahe hain

nazron ko shauk e deed hai
mangton mein jashn e eid hai

bazm e kono makaan ko aaj sajaaya gaya aaj salle allah
sayebaan rehmaton ka lagaaya gaya aaj salle allah
ambiya auliya ko bulaaya gaya aaj salle allah
ibne zahra ko dulha banaaya gaya aaj salle allah

urs hai aaj mehboob e subhaan ka marhaba marhaba
aao deewanon muraadein apni apni maang lo

jholiyan har sawaali ki bhar jaayengi
dar sakhi ka khula hai ata ke liye

aasmaan manzilat kiska aiwaan hai wah kya shaan hai
aaj khalq e khuda kiski mehmaan hai wah kya shaan hai
latakhaf kiska mashhoor farmaan hai wah kya shaan hai
bil yakeen wo shahenshah e jeelan hai wah kya shaan hai
haq diya jisko qudrat ne elan ka marhaba marhaba

har taraf aaj rehmat ki barsaat hai wah kya baat hai
aaj khulne pe kufl e muhimmaat hai kya baat hai
chaar su jalwa aarai e zaat hai kya baat hai
koi bharne pe kashkole haajaat hai kya baat hai

aa fakeeron aao jholi ko apni bhar lo
yeh waqt hai karam ka sarkaar karam farmaate hain

jaagne ko mukaddar hai insaan ka marhaba marhaba

gulshan e mustafa ki phaban aur hai yeh chaman aur hai
shah e abraar ki anjuman aur hai yeh chaman aur hai
koo e guldista e panj tan aur hai yeh chaman aur hai
shaan e aale hussain o hassan aur hai yeh chaman aur hai
sarmadi rang hai is gulistan ka marhaba marhaba

golre ki zameen kitni maskood hai khitta e jood hai
peer mehar e ali jismein maujood hai khitta e jood hai
ik silsila e noor hai har saans ka rishta
imaan mera hub e nabi mehar e ali

koi kisi ka koi kisi ka
mere peer mehar e ali

majnu ko mili laila aur yusuf ko zulaikha
aur mujhko peer mehar e ali

khayaal apna apna pasand apni apni
mere ton hain peer mehar e ali

kya haseen e manzar e shaan e mabood hai khitta e jood hai
har aya iska hamdosh e mahmood hai khitta e jood hai
aaj paaya hai dil jeeso kaaiwaan ka marhaba marhaba

shamm e tauheed dil mein jala ke piyo dil lagaakar piyo
shah e batha ki khiraat paa ki piyo dil lagaakar piyo
shaikh ke aastane pe aakar piyo dil lagaakar piyo
ankh mehar e ali se milaakar piyo dil lagaakar piyo
khud pilaane pe saaki hai jeelan ka marhaba marhaba

hai ajab husn ka bankpan saamne ik chaman saamne
ehle takheer hain khaimazan saamne panjtan saamne
hai ye rooh e hassan ki phaban saamne ya hassan saamne
jalwa farma hai ghaus e zaman saamne zauf e gan saamne
dekhiye kya banne chashme hairaan ka marhaba marhaba

shah e jeelan ki chaukhat salaamat rahe taa qayamat rahe
nakshe paa ka chaman pur qaramat rahe taa qayamat rahe
alatein ijtiba zeb e kaamat rahe taa qayamat rahe
sar pe waliyon ka taaj e imaamat rahe taa qayamat rahe
silsila ghaus e aazam ke faizan ka marhaba marhaba

mazhare zaat e rabb e kadeer aap hain dastgeer aap hain
kaarwaan e karam ke amir aap hain dastgeer aap hain
shah e baghdaad ki aan e peer aap hain dastgeer aap hain

dastgeer aa tu kar mehar ali te tere baaj hai kaun allah aasiyan da

mehar hai saari ali di shak na reh gaya ik zara
karam kita ghaus e aazam saada sardeyan waaliyan

iss 'Naseer' e hazeen ke naseer aap hain dastgeer aap hain
koi hamsar nahi aap ki shaan ka marhaba marhaba

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha