roz e azal khaalik ne jaari

roz e azal khaalik ne jaari pehla yeh farmaan kiya
unka banaakar shah e rasoolan do jag ka sultan kiya

shaan e abul kasim dekho toh rabb e jahaan e jiske liye
jibraeel ko rutba bakhsha us dar ka darbaan kiya

bhej ke ham mein mehboob apna deen ke nukte samjhaaye
parde parde ne ummat ki bakhshish ka saaman kiya

unka waseela rabb ki rehmat ka hila bann jaata hai
nooh ki naiya paar lagayi mushkil ko aasaan kiya

deen uska duniya bhi uski har shai ka mukhtaar hai woh
jisne unke naam pe apna tann mann dhan qurbaan kiya

roza e paak ki jaali choomi dar pe sajda rez rahe
hamne madine jaakar dil ka poora har armaan kiya

sadke jaaun 'Naseer' us aaka us maula ki rehmat par
raah dikhaakar us dar ki mujh nirdhan par ehsaan kiya

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil