Banayi mujh benawa ki bigri

Itna shadeed gham hai ke ehsaas e gham nahi
Kaise kahoon ke Aapka mujhe karam nahi

Manzil mujhe mile na mile iska gham nahi
Tum saath saath ho ye bhi to kam nahi

Ae aane wale apni jabeen ko jhuka ke aa
Ye aastane yaar hai sere haram nahi

Jab tak bika na tha to koi poochta na tha
Tumne khareed kar mujhe anmol kar diya

Banayi mujh benawa ki bigri
Naseeb mera jaga diya

Tere karam ke nisaar tune
Mujhe bhi jeena sikha diya

Badal gayi mere dil ki duniya
Ata mein wo martaba diya

Karam ki Aisi nigah Dali 
Gada ko sultan bana diya

Karam ke saaye mein humko rakha
Kabhi hirasan na hum hue

Hamare sar pe wo noor ilahi
Apna daman Bada diya

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha