Main to piya se naina laga ayi re

Apni chap banayi ke Jo khwaja pass gayi
Chap dekhi jab khwaja ki mohe apni bhool gayi

Khusro rain suhag ki main jaagun pee ke sang
Tan mora mann piya ka jo dono ek hi rang 

Khusro baazi prem ki jo khelun pee ke sang 
Jeet gayi to piya more haari to pee ke sang

Main to piya se naina laga ayi re
Gar naari gawari kahe so kahe

Ao ni sayiyo ral dewo ne wadhayi

Sohni suratiya mohni muratiya
Husn e yusuf dam e eesa yaad e baizandari
Aaja Khooban Hamaza ranj to tanhadari

Ae misle todar husn e bashar khushban sare naist
Khoobi ke dozari sanam aa dard ga naist

Gul ajab husn o jamaal o khat o khalo gaisu
Sarw qadde ajab e kaamat e naaz e ajabe

Aayate Quran barzarat tafseer e Quran gaisuat
Aye rooh e to Quran tu hi mae imaan tuhi

Munabbar do alam zaru e mubinash
Bari shah do alam ja e zulfe sarahe

Zaru mubanish Jo subahe tajallah
Wayak zulfe khanda wayak teere shame

Sohni suratiya mohni muratiya
Main to hirday ke peechche sama aayi re

Khusro nizam ke bal bal jayiyan
Bahut kathin hai dagar panghat ki
Prem nagar ki raah kathin hai
Sambhal sambhal ke chala karo
Tann mann apne gur ka samjho
Isi agan mein jala karo
Sayiyan ne maari boli
Pehchan re aa jogi
Bahut kathin hai dagar panghat ki
Kaise bhar laun main jamna ne matki

Khwaja nizammuddin mai tore waari
Saabir allauddin main tore waari
Baba fareeduddin main tore waari
Kaliyar waale e rangrej rang do chunariya hamari

Main tore sapno mein khoyi 
Tore bin mora meet na koi

Kaliyar shehar ke banke sayiyan
He saabir mori pakro bayiyan

Saabir allauddin main tore waari
Laaj rakho tum more ghunghat ki

Khusro nizam ke bal bal jayiyan
Main to bin mol cheri kaha aayi re

Comments

  1. "Aayate Quran barzarat tafseer e Quran gaisuat

    Aye rooh e to Quran tu hi mae imaan tuhi"

    Would you please kindly translate these line please?

    ReplyDelete
  2. Rekhta aur farsi ka bera gharaq ker deyya jb sahi samaj nhi aati tou lyrics kyun upload krtay ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for your comment. It would be helpful if you can point to specific lines that have mistakes. By the way, rekhta was not that prevalent when this post was made way back in 2014.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil