Main kahin bhi jaun ae jaan mera intezaar karna

Main kahin bhi jaun ae jaan mera intezaar karna
Mere baad phir kisi se kabhi tum na pyar karna

Mera naam jin labon pe kabhi khelta tha barson
Meri jaan main wohi hoon mera aitbar karna

Tu nigaar e zindagi tha tu bahaar e zindagi tha
Mujhe yaad hai abhi tak tera beqarar karna

Tu bazaat e khud nasha hai tu misaal e maikda hai
Tera mujh se muh chhupana mujhe sharmsar karna

Tu agar bhatak bhi jaaye tere pass hai wo rasta 
Jise bhool ne dikhaya wo hi ikhteyar karna

Comments

  1. LAST STANZA Correction please
    Tu bazaat e Khud nasha hai tu misaal e maikda hai
    Tera mujh se muh chupana mujhe sharmsar karna

    Tu agar bhatak bhi jaaye tere pass hai wo rasta
    Jise Noor ne dikhaya wo hi ikhteyar karna

    Noor

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha