Sahara tum ho to kis liye phir
Samne jab bhi yaar hota hai
Rooh e jaana ke Ehle dil ke liye
Zikr e parwardigar hota hai
Mareez e ishq ka aksar ye Haal hota hai
Kisi ki yaad se chehra bahaal hota hai
Main isko kufr kahoon ya jamaal e ishq kahoon
Namaaz mein bhi tumhara khayal hota hai
Main sar pe ehsaan loon kyun kisi ka
Sahara Tum ho to kis liye phir
Rahe salamat ye gham tumhara
Yahi hai Kaaba hai zindagi ka
Ye ishq jo na hota to ye bandgi na hoti
Jo tera karam na hota to ye zindagi na hoti
Wo gham mashoor hai jo gham jise apna gham hai
Gham to wahi hai Jo gham e parwardigar hai
Mujhe dekhta hai jo bhi kehdo na jee bhar kar
Teri nisbat na hoti to meri zaat hi na hoti
Main qurbaton mein beshazban tha
Main khurkaton mein hi mutmayin hoon
Kaho bhi tum aam akhari tha
Hai ye bhi tohfa janab hi ka
Wo rooh e shahi hamesha maine
Rakha hai paon ki thokron ne
Makam sabse juda hai mere
Ke main hoon mangta teri gali ka
Main yahin karunga sajda ye mera mudda hai
Jo mila nahi haram se wo tere dar se mila hai
Wo khush mukaddar ke jisne sar ko
Jhukaya murshid ke pak dar par
Ye tune mangi hai sarfarazi
Makam uncha raha usi ka
Agar hai jaana to jaye lekin
Huzur itna khayal rakhen
Ke hijr e jaana mein ek paal bhar
Muhaal hota hai zindagi ka
Rawan ho gardan pe gar che khanjar
Khalal wo sajde mein aaye phir bhi
Ye hi ibadat ka hai salika
Yahi salika hai bandagi ka
Tumhari mazhar gadayi karke
Main naaz karta hoon apnepan par
Tumhare jitne zameer teri
Waqar alam hai shayari ka
Awesome lines by nafak
ReplyDeleteJazak Allah khair for lyrics
shukriya
Delete