Data ke gulamo ko

Kya faiz faiz aam hai data huzur ka
Chashma ubal raha hai Muhammad ke noor ka

Waliyon se saji dekhi baraat hai data ki
Data bane hain dulha kya baat hai data ki

Data ke gulamo ko ab eid manane do
Sarkar ne aana hai mehfil ko sajane do

Ye noor Ali ka hai data hai zamane ka
Ye noor Ali ka data Ali hajveri 

Ae deewano zara kar lo ziyarat mere data ki
Khuda ke noor ka mazhar hai surat mere data ki

Ali ke laal hain data nabi ki aal hain data
Shahe jilal se poocho azmat mere data ki

Hazaron badshah aaye gaye har sultanate badli
Na badli hai na badlegi hukumat mere data ki

Ye noor Ali ka hai data hai zamane ka
Is dar ke aqeenat se ab sar jhukane do

Baghdad se ghous aayein Ajmer se khwaja bhi
Data ki guzargah mein palkon ko bichchane do

Ye khas inayat hai wasib mere data ki
Sehra ye aqeenat ka nusrat ko sunane do

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha