Main hoon fakeer e murshid e Roshan zameer ka
Ghous e azam darmeyan e auliya
Chun Muhammad darmeyane ambiya
Shah e shah sheikh e dil kar dast
Dil nasheen o dilruba o dilbar ast
Sartaj e peeran rutbe rabbani
Meer e muhayuddin ghous e zamani
Jaane payambar jaane nashabbar
Hai garke dilbar gehrake jaani
Judo sakhane lutf o atabe
Humsar tumhara koi na saani
Aye kaash sunte sarkar e jeena
Meri kahani meri zabani
Aye rashq eesa bedam hai bedam
Kije ilaje dard e nihani
Main hoon fakeer murshid e roshan zameer ka
Daman hai mere haath mein peerane peer ka
Mere kismat pe aasman bhi raqs karta hai kyunki
Daman hai mere haath mein peerane peer ka
Jalaye mujhko do zakh
tauba tauba ho nahi sakta
Nigah e garm se na Dekh aye do zakh kya pata nahi
Daman hai mere Haath mein peerane peer ka
Main kyun na apni khoobiye kismat pe naaz karun
Daman hai mere haath mein peerane peer ka
Mangna Isliye dar dar se maine seekha nahi
Ghous azam sa sakhi maine kabhi dekha nahi
Maine dar e ghous pe aisi padi namaaz
Kaaba meri namaaz pe qurbaan ho gaya
Mere lab pe raat din hai Tera naam ghous e azam
Meri subah baade azam meri shaam baade azam
Manam adna gada e ghous e azam
Sakhi baar gahe ghous e azam
Peeta hoon jhoom jhoom ke paimana ghous ka
Nazaron mein meri aa gaya maikhana ghous ka
Nisbat hai jinki hazrate peerane peer se
Aayein bhala wo ghous kyun un par naseer ka
Kardo nawaaz aasaein ilahi karam se aaj
Daman bhara hai aapne har ik fakeer ka
Unke karam ki bheekh nahi hai bada e khas
Paigaam e aam hai mere peerane peer ka
Mohtaj main raha na kisi takht e taaj ka
Jab se mila Sahara mujhe dastgeer ka
Itni si aarzu hai tere dar pe mar mitoon
Ye faisla hai aakhiri mere zameer ka
Comments
Post a Comment