Halke mein rasoolon ke

Chehra zulfon mein jaise abr mein Chand
Husn e Yusuf bhi jiske aage maand

Halke mein rasoolon ke wo mahe madni hai
Kya chand ki tanvir sitaron mein chchani hai

Chalbe machalke ho gaye aap benaqaab 
Nikli jo Amina ke nagine se roshni

Main uske ghulamon mein hoon
Jo sab ka hai aaka

basith ko safa gasht bechara jami
ghulam e ghulamana aale muhammad

Sardar e rasool sayyid e 
Makke madni hai

Kehdo mere eesa se madine mein ja koi

Nahi hajat dil o jigar ke liye
Bas ik nazar teri kaafi hai umr bhar ke liye

Koi kaash ja ke kehde ye agar ke meherban se
Tera gham mein ae masiha koi ja raha hai jaan se

Aye bas rab tumhari ek nazar darkar hai
Ek nazar rehmat ki ho jaye to beda paar hai

Kehdo mere eesa se madine mein ye koi
Ab jaan pe bhi maar e muhabbat ke bani hai

Mehboob ko bin dekhe hue laut raha hai
Mushtaq mein kya rang e waise karami hai

Kuchch mazha padun roza hai purnoor mein jaakar
Ye baat Amir ab to mere dil mein thani hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha