Main kya bataun tamanna e zindagi kya hai

Jab tak bika na tha to koi poochta na tha
Tumne kharid kar humein anmol kar diya 

Aapki muhabbat ka har kadam sahara hai
Aap hi ka gham mujhko zindagi se pyara hai

Main kya bataun tamanna e zindagi kya hai
Huzur aap salamat rahein kami kya hai

Agar na dil mein tadap ho to aashiqui kya hai
Mile na dard ki daulat to zindagi kya hai

Main is ke waaste konain tere daaman mein 
Tere gada ke liye taj khusravi kya hai

Tere karam ka sahara hai zindagi meri
Tera karam na ho shaamil to zindagi kya hai

Meri namaaz yahi hai ki pujta hoon tumhein
Mujhe khabar nahi aadab e bandagi kya hai

Chaman ke husn ko dekhun to kis tarah dekhun
Tere jamaal ke aage ye roshni kya hai

Fana ye unki muhabbat nawaziyan dekho
Wo mujhse pooch rahe hain teri khushi kya hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha