ae jaane man ae jaane jaan

ae jaane man ae jaane jaan
ho kabhi meharbaan
aaja kabhi rimjhim mein tu
choome kadam bheega samaa

mere sohneya mere meharma
mere haaniya mere dil jaaniya
mere haath mein tera haath ho
mulaakaat ho dil ki baat ho

ranagon ki jhilmil ho
phoolon ki paaril ho
jhoom uthein badliyaan
mehaki hawaayein hon
behaki fazaayein hon
mast ho aasmaan
har nazaara kahe
pyar ki daastaan

phoolon ki mausam mein
leharon ki sargam mein
geet ham gaayenge
chaahat ke aangan mein
phir kisi saawan mein
do dil mil jaayenge
khatm ho jaayenge
ishq ke imtehaan

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha