nigahon se khenchi hai tasveer maine

nigahon se khenchi hai tasveer maine
zara apni tasveer aakar toh dekho

tumhi ko in ankhon mein tumko dikhaaun
in ankhon mein ankhein milaakar toh dekho

deedaar tamanna tamanna
deedaar tamanna tamanna

samajhdaar ko hai yeh kaafi ishaara
samajh lenge khud gair main hun tumhaara

meri jaan kisi roz gairon ke aage
mujhe tum gale se laga kar toh dekho

tamanna e deedaar dil mein agar hai
jo mushtaaq e jalwa tumhaari nazar hai

nazar aayenge tumko jalwe hi jalwe
zara unki mehfil mein jaake toh dekho

zara si bhhi jhoothi na ulfat milegi
haqeeqat mein sachi muhabbat milegi

basaaya hai jis tarah gairon ko dil mein
tum apnon ko aise basa kar toh dekho

Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Could anyone provide english translation for this?

    ReplyDelete
    Replies
    1. It's a little bit hard to translate as it is, because this poetry is in rhythm if you read it in it's language but when you translate it's doesn't sound like correct or in rhythm, but still I can translate it for you.

      Delete
    2. I captured your picture in my eyes,
      Come and see your image in it,
      I'll show you your image in my eyes,
      Just look into my eyes,
      I want to see you,
      I want to see you

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil