aarzoo e muhabbat hai dil mein

aarzoo e muhabbat hai dil mein
is khushi ka bharosa nahin hai
jazba e aashiqaana salaamat
berikhu bharosa nahin hai

har naye mod par zindagi ke
ik naya hamsafar saath hoga
jaane kab kaun dil tod jaaye
ajnabi bharosa nahin hai

pyar se hamko apna banaakar
bholi bhali nigahon ne loota
sach toh yeh hai ke ab bandaparwar
saadgi ka bharosa nahin hai

hamne apnon se khaaye hain dhokhe
chup hain har ik ka muh tak rahe hain
jaan pehchaan kya dushmanon se
dosti ka bharosa nahin hai

dil se dil ka takaaza hai hairan
baaz aaye ham iss dillagi se
dil hi kambakht apna nhain hai
ab kisi ka bharosa nahin hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha