yeh shaam phir nahin aayegi

yeh shaam phir nahin aayegi
kuch na kaha to
kuch na suna to
yun hi dhal jaayegi

aaj hi kar lo dil ki baat kal pachchtaaoge
aaj agar tum paas na aaye phir kab aaoge
ye pal beet gaya to jaanam kahan jaaoge
tanhaayi ka dard kabhi tum seh na paaoge

dilruba o mere dilruba kya kiya yeh tumne kya kiya
dil mera kyun kahan kho gaya pal mein kyun tera hi ho gaya
jaane kya nasha hai teri aankhon mein
jadu sa bhara hai teri baaton mein
saansein teri mehkein meri saanson mein
teri hi jhalak mere khwaabon mein
tere siwa hai kya duniya mein meri jaan
tu hai meri zindagi paas aa
yeh shaam phir nahin aayegi

aaj hum aye sanam aaj hum
bhool kar duniya ke ranj o gham
yeh kasam yeh kasam hai pyar ki
saath hon saath hon har kadam
yun hi teri aankhon mein yeh aankhein hon
choti choti pyar bhari baatein hon
bheegi bheegi rang bhari shaamein hon
jaagi jaagi raatein teri yaadein hon
tere siwa hai kya duniya mein meri jaan
tu hai meri zindagi paas aa
yeh shaam phir nahin aayegi

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil