gham e yaar se shikaayat

gham e yaar se shikaayat
kabhi thi na hai na hogi
hamein gair se muhabbat
kabhi thi na hai na hogi

rahi sirf tujhse nisbat
tere aastaan se nisbat
bakhuda kisi se nisbat
kabhi thi na hai na hogi

jo nazar se tune bakshi
to nazar se pi gaye ham
hamein maikashi ki aadat
kabhi thi na hai na hogi

mera dil haram hai hairan
yahan sajde chaar su hain
yahan sochne ki mohlat
kabhi thi na hai na hogi

Comments

  1. Piri-muridi ki roohaniut se labrez khoobsurat ghazal.thanks

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha