dukh rog ko chaahat ke

dukh rog ko chaahat ke
sukh rog banaana hai
behaka hua angaara
chhaati se lagaana hai

hum yun hi nahi chup hain
kyun chup hain na yeh poocho
baat apni banaana hai
bhed unka chhupaana hai

uthna teri chaukhat se
aur soch ke yeh rukna
jaayein toh kidhar jaayein
pachhta ke phie aana hai

haan aarzoo achha hai
jo aur bhi dukh jhelo
samjhaaya hai jab tumko
kehna nahi maana hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha