shaam savere nain bichha kar

shaam savere nain bichha kar
raah takun main saajan ki
raam hi jaane kab chamkegi
kismat mere aangan ki

ghar ghar meri preet ka charcha
ghar ghar mere prem ki baat
pankh bina hi ud jaati hai
baat dilon ke bandhan ki

nain churaake jab se saiyyan
door kahin pardes gaye
birhan ki ankhiyon se barse
bin saawan rut saawan ki

haal pareshaan baal pareshaan
khoyi khoyi rehti hoon
aisa jadu daar gaye hain
sudh bisraayi tann mann ki

preetam ka mann mera mann hai
uski aasha meri hai
pi ke naina mere naina
daasi hoon main so tann ki

pardesi ke sang gayi thi
bhool na jaaye raah kahin
laut ke aana bhool gayi hai
jot hamaare nainan ki

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil