jism dhamakta zulf ghaneri

jism dhamakta zulf ghaneri
rangeen lab ankhein jadu
sangemarmar ooda baadal
surkh shapak hairan hoo

raatein mehakin saansein dehkin
nazrein behakin rut lehkin
prem khilona sapan salauna
phool bichauna wo pehlu

jism dhamakta zulf ghaneri
rangeen lab ankhein jadu
sangemarmar ooda baadal
surkh shapak hairan hoo

tumse doori yeh majboori
zakhmein kaari bedaari
tanha raatein sapne kaatein
khud se baatein hoo

jism dhamakta zulf ghaneri
rangeen lab ankhein jadu
sangemarmar ooda baadal
surkh shapak hairan hoo

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha