Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

Tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
Kya naam hai e salle allah naam e muhammad

Allah kare uspe haraam aatishe do zakh
Jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

Jis dil mein muhammad ki muhabbat nahi hoti
Us par kabhi allah ki rehmat nahi hoti

Mere ye aqeeda hai agar zikr khuda mein
Ye naam na shaamil hoibaadat nahi hoti

Khuda ka noor tujh mein hoo ba hoo hai
Khuda pinha roo ba roo hai

Teri azmat ka andaaza ho kisko
Khuda hai aur khuda ke baad tu hai

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi
Haan magar mehboob koi aap sa dekha nahi

Rasool aur bhi aaye zamaane mein lekin
Koi aap sa dekha nahi

Tumhara saani rasaalat mein aab ho na saka
Tumhara kahin bhi koi jawaab ho na saka

Rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
Koi bhi sahib e ummul ki taab ho na saka

Jisne dekhe nain matwale tere
Maston mein khud wo na ho to kya kare

Ik nazar jo dekh le kehta phire
Har har kundal kundal utte
Aashiq da dil dole
Husn tere di sifat ke aakhan
Kaafir kalma bole

Phire zamane mein chaar janib
Nigar e yakta tumhi ko dekha

Yun to isa bhi hain musa bhi hain yusuf bhi magar
Tumsa tumhi ko dekha

Dekha bahut nigah e talab ko mila nahi
Tumse tumhi ho tumsa koi doosra nahi

Haseen dekhe jameel dekhe
Par ek tumsa tumhi ko dekha

Roya shab e hijra mein nahut ashq bahaaya
itne mein musavvir ko zara reham jo aaya
nakshe kayin tasveeron ke wo saamne laaya
bola ke ye yusuf hain ye isa hain ye musa
maine kaha inmein se kisi par nahin shaida
jab saamne laaya wo shabihe shaah e waala
besaakhta us waqt zubaan se meri nikla

mukh chand badar shah shaani e
maththe chamke laat noorani e
kali zulf te ankh mastaani e
makhbool ankhi in mad bhariyan
teri soorat nu main jaan aakhan
jaan aage jaan jahaan akhan
sach aakhan te rabb di shaan aakhan
jis shaan ton shaanan sab baniyan
subhanallah mah aasan ka mah akmal ka
kithe mehar ali kithe teri sana
gustaakh ankhi kithe jaa lariyan

ik se ik badhkar haseen dekhe magar ya mustafa
tumse badhkar husn wala doosra dekha nahi

meem ka parda utha kar wo nigah e shauk se
mustafa ko dekh le jisne khuda dekha nahi


Comments

  1. SubhanAllah . ..beshak bs ek thmsa tumhi ko dekha

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha