aaye kuch abar kuch sharaab aaye

patti patti gulab ho jaati
har kali mehwe khwaab ho jaati
tumne daali na mehfishaan nazrein
warna shabnam sharaab ho jaati

maiparasti meri ibaadat hai
main kabhi bewuzu nahi peeta
main sharaabi sahi magar zaahid
aadmi ka lahu nahi peeta

 kya talakh shaikh ki zindagani guzri
ik shab na bichaare ki suhaani guzri
do zakh ke takhayyul mein budhaapa guzra
jannat ke tasawwur mein jawaani guzri

aap ke waaste gunah sahi ham piyein toh sawaab banti hai
sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharabb banti hai

mujhko tasleem main sharaabi hoon phir bhi fitrat ajeeb paayi hai
main nazar se sharaab peeta hoon meri rindi bhi paarsaayi hai

aaye kuch abar kuch sharaab aaye
iske baad aaye jo azaab aaye

har rag e khoon e phir charaghan ho
saamne phir wo benaqaab aaye

kar raha tha gham e jahaan ka hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

na gayi tere gham ke sardari
dil mein yun roz inquilab aaye

is tarah apni khamoshi goonji
goya har simt se jawaab aaye

faiz thi raah sar ba sar manzil
ham jahaan pahunche kaamyaab aaye

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha