kadam bosi karlo gunahgaaron aao

rehmaton ki naveed ganj e shakar
jannaton ke kaleed ganj e shakar
mujhko mehshar ka khauf ho kyun kar
mere baba fareed ganj e shakar

chishtgaane ishq ke sartaaj hain ganj e shakar
irtiqa e zohad ki meraj hain ganj e shakar
aashna e ghamze wahdat paikar e khulq e azeem
benawaaon bekason ki laaj hain ganj e shakar

inayat hai yeh sab ganj e shakar ki
ghulami mil hayi baba ke dar ki
ajab ejaz hai unki nazar ka
woh sabir bann gaya jis par nazar ki

ukba fareed ki hai zamaana fareed ka
har dil hi bann gaya thikaana fareed ka

jannat jo arsh par hai toh darwaaza farsh par
jannat bhi dhoondhti hai bahaana fareed ka

kadam bosi karlo gunahgaaron aao
mere baba ganj e shakar aa gaye hain
nigah e muhabbat adab se jhukaao
mere baba ganj e shakar aa gaye hain

khula baab e jannat dar e panjtan ka
pesh har aarzoo har tammana karo
thaam lo jaaliyan baba baba karo

guzre chalo chishtiyon baab e bahisht se
naam le ke baba ka woh dekho
khula baab e jannat fareed ud din baba ka

baba bhi saamne hain mere sabir bhi saamne
raqs khelo chishtiyon baba ke dar ke saamne

jahaan sab jagmagaaya ja raha hai
fareed ud din ki dulha banaaya ja raha hai

maikhaana e fareed ka aangan toh dekhiye
baadakashon ki masti ka joban toh dekhiye

badanoshon ki eid ka din
aaj wasl e fareed ka din hai

khula baab e jannat dar e panjtan ka
yeh faizaan hai mustafa ke chaman ka
utho gham ke maaro mukaddar jagaao
mere baba ganj e shakar aa gaye hain

yeh dar hai mere khwaja hindal wali ka
yeh sadka hussain o hassan aur ali ka
yahan jo bhi maango wohi aaj paao
mere baba ganj e shakar aa gaye hain

mere dard o gham ka yahi dar hai darmaan
yahi mera kaaba yahi mera imaan
gul o jaan ki murjhaayi kaliyan khilaao
mere baba ganj e shakar aa gaye hain

bahut ho chuki unki chaukhat se doori
rahe dil ki hasrat na koi adhoori
mere baba ganj e shakar aa gaye hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil