rishte tamaam tod ke saare jahaan se ham

rang dete hain noor dete hain
binn diye yeh suroor dete hain
apne dar ke har ik bikhari ko
bhikh baba zuroor dete hain

shah baaze lamakaane baba fareed
qiblagaahe aashiqan baba fareed

rehmaton ki naveed ganj shakar
jannaton ki kaleed ganj shakar
mujhko mehshar ka khauf ho kyun kar
hain mere ya fareed ganj shakar

rishte tamaam tod ke saare jahaan se ham
wabasta ho gaye hain tere aastaan se ham

koi kisi ka koi kisi kamagar ham
wabasta ho gaye hain tere aastaan se ham

ham hain ghulam tere ghulami pe naaz hai
kaabiliyat poochne sarkar ke kaabil nahi main

ham hain ghulam tere ghulami pe naaz hai
pehchaane jayenge isi naam o nishan ham

sarkar aap khud hi karam se nawaaz de
kuch arz kar sakenge na apni zubaan se ham

har lamha har kadam hi masaib ki yun arishein
tera karam na hota toh kab the jahan se ham

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha