mere dil mein ishq e huzoor hai

tere hi naam se har ibteda hai
tere hi naam se har inteha hai
teri hamd o sana alhamdolillah
ki tu mere muhammad ka khuda hai

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle ala naam e muhammad
allah kare uspe haraam aatish e do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

madine wale ka jo bhi ghulam ho jaaye
kasam khuda ki wo aalin makaam ho jaaye
nabi ke ishq ka jis dil mein daagh ho roshan
toh uspe aatish e do zakh haraam ho jaaye

mere dil mein ishq e huzoor hai
main jahan mein sabse ameer hoon

dil mein ishq e shah e konain ki daulat hai padi
hun toh nadaan main lekin meri keemat hai badi

tujh mein hoor o kusoor rehte hain
maine maana zaroor rehte hain
mere dil ka tawaaf kar jannat
mere dil mein huzoor rehte hain

mere dil mein ishq e huzoor hai
main jahan mein sabse ameer hoon
mujhe taajdaaron se kya garaz
main dar e nabi ka fakeer hoon

mujhe haq ne bakshi hai bartarin
meri thokaron mein sikandari
yeh jahaan nigah mein kyun jache
main gada hoon apne huzoor ka

main ghulam e panjtan e paak hoon
main dar e rasool ki khaak hoon
main hassan hussain ka hoon gada
main sag e janaab e ameer hoon

mujhe mehr o maah se kaam kya
tere nakshe paa pe main hoon fida
mujhe kya rehaz se waasta
teri zulf ka main aseer hoon

Comments

  1. Hindi mein iska anubad mil sakta hai kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. agar aap alag se un shabdon ko dhoondhein jinka matlab aapko mushkil lag raha hai, to aap khud se hi samajh lenge

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha