kis darja bulandi par kismat ka sitaara hai

itna shadeed gham hai ke ehsaas e gham nahin
kaise kahun ke aapka mujhpe karam nahin
manzil mujhe mile na mile iska gham nahin
tumsa saath saath ho mere yeh bhi toh kam nahin
aye aane waale apni jabeen ko jhuka ke aa
yeh aastaan e yaar hai sehme haram nahin

jab tak bike na the to koi poochta na tha
tumen khareed kar humme anmol kar diya

kis darja bulandi par kismat ka sitaara hai
daaman mere haathon mein sarkar tumhaara hai

baksha hai jo gham tumne har dard ka chaara hai
bimaar e muhabbat pe ehsaan tumhaara hai

uth kar tere kooche se jaayein to kahan jaayein
na karo juda khudaara mujhe apne aastaan se
na milega phir thikaana jo utha diya yahan se

uth kar tere kooche se jaayein to kahan jaayein
nisbat tere kooche ki imaan hamaara hai

ab duniya ukba se kuch kaam nahin hamko
kaafi hamein bas teri nisbat ka sahaara hai

kyun chhor ke ham jaayein darbaar e karam tera
bethikaana toh nahi ham hain thikaane waale

hujoom e gham se jab ghabra gaye hain
tumhaare aastaan pe aa gaye hain
tumhaara aastaan aalah o akbar
saahaara besahaaron ka aa gaye hain

kyun chhor ke ham jaayein darbaar e karam tera
jaana tera tukdon par mangton ka guzaara hai

aye jaan e jahaan hamko kuch husn ka sadka de
hamne teri chaukhat par daaman ko pasaara hai

wo mere safine ki karte hain nigahbaani
ab mere safine ko har mauj kinaara hai

kaabe ki tajalli ko kis aankh se dekhun main
ab meri ibaadat toh deedaar tumhaara hai

qurban fana unki is bandanawaazi par
bahr e gham e isiyan se khud paar utaara hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha