salaam us par

salaam us dar pe jisne bekason ki dastgeeri ki
salaam us dar pe jisne baadshaahi mein fakeeri ki

salaam us dar pe jisne fazal ke moti bikherein hain
salaam us barduron ko jisne farmaaya ke mere hain

salaam us par ke jisne bhookhe pyason ko kabayein di
salaam us par ke jisne gaaliyan sunn kar duayein di

salaam us par jo sachhayi ki khatir dukh uthaata tha
salaam us par jo bhookha rehke auron ko khilaata tha

salaam us par ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha
salaam us par ke toota boriya jiska bichhona tha

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha