sab jag se naata tod liya

aye dil muraad e dil kahan paane ki der hai
baba ke dar pe haath uthaane ki der hai
saabir bhi saamne mere baba bhi saamne
yani sar e niyaaz jhukaane ki der hai

sayyiyan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai
laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai

sab jag se naata tod liya baba ke dawaare aa baithi
ik pagli dekho waliyan ke maharaj se aankh lara baithi

mat mujhko darao do zakh se ab mohe ko dar kaha ka
ik jaan thi apni woh bhi main baba ke naam laga baithi

mani paak pattan ka daasi hun main ganj e shakar ki daasi hun
main paak pattan ki galiyon ko qible ka roop bana baithi

ik mangti par ehsaan karo ik mehar karam ka daan karo
saabir ke naam pe baba ji main jholi ko phaila baithi

is prem nagar mein 'Sayim' ji mat aur bada ke baat karo
preetam ke wohi mann bhaayegi jo preet ko reet bana baithi

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha