Posts

Showing posts from May, 2015

main deewani ganj shakar di

do aalam vich kasam khuda di mera maan taraan fareed e mera sihna baba ganj shakar sultan jahaan fareed e mere dard ghaman da daru sohna meri jaan di jaan fareed e sardar kafan te likh baitha mera deen imaan fareed e main deewani ganj shakar di ganj shakar lajpal mera har mushkil de vele baba rakhda aap khayal mera kaun kare meri dil joyi ishq fareed ch kamli hoyi meri mehndi da rang gooda paaya e main rangla chooda ganj shakar mere pyar da gehna baba nu main takdeyan rehna ishq fareed ch ho gayi rogi baba baaj main kis kam jogi ishq ch rogan ho gayi haan main sada suhagan ho gayi haan main jad vi dukhan ne ghera paaya ganj shakar ne karam kamaaya ganj shakar ne rakhiyan sharman vekh ke manda haal mera jo kujh mangan ethon milda maksad hunda poora dil da ganj shakar de dar te hunda kadi ne radh sawaal mera hun mainu koi thod na reh gayi dar dar jaane di lod na reh gayi ganj shakar ne baksh khazaane kad ditta e kaaj mera ho gaye door ...

jaane is dil ka haal kya hoga

jaane is dil ka haal kya hoga tera waada agar wafa hoga hashar mein mera hashar kya hoga teri jaanib agar khuda hoga besabab toh nahi tadap dil ki tere rukh se naqab utha hoga hum na baaz aayenge muhabbat se jaan jayegi aur kya hoga teri bedaag meri khamoshi hashar mein iska faisla hoga tera gham ye samajh ke sehta hoon meri kismat hi mein likha hoga teri mehndi mein itna rang kahan tumhein aashiq mila hua hoga unke dar ka hai ye nishan aalam dar pe mela sa ik laga hoga

jis waqt hujoom e masti ho

na haram ki justju hai na khayal e butkada hai teri banda parwari ne mujhe kya bana diya hai main yahin karunga sajde ye hi mera mudda hai jo mila nahi haram se tere dar se mil gaya hai jis waqt hujoom e masti ho insaan ka sambhalna mushkil hai uth jaaye jab unki mast nazar phir hosh mein rehna mushkil hai sajda wohi sajda hota hai jo unke dar pe hota hai jo unki nazar se peeta hai wo mast qalandar hota hai nai takht o taaj mein hai nai lasjkar o sipah mein hai jo baat mard e qalandar ki baar gaah mein hai dil uska namaazi bann jaaye ankh uski gulabi ho jaaye jab unki mast nazar se pee le ham saaki wo sharaabi jo jaaye nazar mila ke kaha mujhse mere saaki ne haraam kehte hain jise ye woh sharaab nahi rag rag mein ibad khoon ke mai dhaudh rahi hai ye aapne dekha mujhe makhbool nazar se pila nahi jo gurezan hain chand paimaane nigah e yaar salaamat hazaar paimaane misra likha tha peer e mugan ki dukan par kam dard ko sharaab pilaana haraam hai rindon ki iba...

kasid ki ummeed hai yaaron

nabzon jawaab de gayin tod raha hai dam koi namabar unse ye kehna nazaaka hangaam hai ibtida ke khat nahi ye aakhiri paigaam hai kasid ki ummeed hai yaaron kaasid to aa jaayega lekin ham us waqt na honge jab unka khat aayega kehte hain kisko dard e muhabbat kaunn tumhein batlaayega pyar kisi se karke dekho khud hi pata chal jaayega kitni lateef shai hai muhabbat na poochiye is meethe meethe dard ki lazzat na poochiye aye dost muhabbat hai wo nazuk si haqeeqat mehsoos jise kar sakte hain samjha nahi sakte thaam ke dil reh jaayenge woh dekh ke meri mayyat ko mera janaaza jab ke nikal kar unki gali se jaayega thokar khaane waale raahi ismein khata rehbar ki nahi jo na chalega dekh ke rasta raah mein thokar khaayega lutne ka afsos baja hai lekin aye lutne waalon kisko khabar thi kaafila aakar manzil pe lut jaayega sheesha e dil us but ne toda purnam ispe hairat kya toot hi jaayega jo sheesha paththar se takraayega

kehna galat galat to chchupaana sahi sahi

tanhayi mein faryaad to kar sakta hoon veerane ko aabaad to kar sakta hoon jab chahoon tumhein mil nahi sakta lekin jab chahoon tumhein yaad to kar sakta hoon koi hasse to tujhe gham lage hassi na lage ke dilaagi bhi tered il ko dillagi na lage to raoz roya kar uth ke chaand raatopn mein khuda kare tera mere bagair jee na lage achchi soorat ko sanwarne ki zaroorat kya hai saadgi mein bhi qayaamat ki ada hoti hai tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaaz tumko maloom hai kitnon ki kaza hoti hai ye jo deewane se do chaar nazar aate hain in mein kuch sahib e asraar nazar aate hain teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain warna ye log to bedaar nazar aate hain mere daaman mein to kaanton ke siwa kuch bhi nahi aap poolon ke khareedar nazar aate hain hashar mein kaun meri gawaahi dega saagar sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain qasid payaam e khat ko dena bahut natoor bas mukhtasir ye kehna ke aankhein taras gayi kehna galat galat to chchupaana sa...

Charkhe nu paade navi tand sohneya

Saahn reh gaye baaki mere chand sohneya Charkhe nu paade navi tand sohneya Katna sikhade nahi te tand tut jaaye gi Raah vich pinde nu e rooh sut jaaye gi Charkhe nu ishq di tand nawi lor e Terian khazaaneyan de vich keri thor e Mintan kareindi tan ki tere utte zor e Mere maahi nu mana de meri duniya wasa de Rooh baajon pinda nahiyon zindagi guzarda Ankhan baajon disda nahi mukh dildaar da Charkha hayaati wala thokran nahi maarda Ishq di tand baajon mere kede kaar da Charkha ranga de mainu pooniyan wanda de Charkhe nu paade nawi tand sohneya Assi vi jahaan vich lokan wangu wasde Duniya chchurayi daade ishqa tu aap ve Jangli pheraya jadon pai gaye siyaape Wasda jahaan mera layi aqlaab e Mere kolon door jad tere wal jaape Duniya ton wakh assan reet apnayi Tere bajon har cheez lagdi parayi Duniya de vich wal wassane da bhul gaye Tere pichche galiyan de vich assi rul gaye Sanu koi shauk nayi si ankhiyan  de laun da Jindri nu rulne da neendran gawaun da Assi vi jahaan vich lokan wangu wa...

kis musarrat se pahunche the ham bazm mein

kis musarrat se pahunche the ham bazm mein rooh ki tishnagi ko chchupaye hue hasrat e deed thi aur ye ummeed thi aaj armaan dil ka nikal jaaye ye khabar hi na thi naqaab uthte hi barq gir jaayegi toor jal jaayega aaj milse bhi unse na koi baat ki haaye majbooriyan  mere haalaat ki ham bade naaz se aaye the tere mehfil mein kya khabar thi lab e izhaar pe taale honge gaye the ham bhi jigar jalwagaah e jaana mein woh poochte hi rahe baat ho na saki saakiya daur aaya chala bhi gaya aur ham reh gaye jaam uthaaye hue kyun nazar pher li mujhse mere sanam mera dil tod kar mujhse muhn mod kar jaane waale ik nazar dekh le ankh se door sahi dil se kahaan jaayega bhoolne waale tu hamein yaad bahut aayega nigahein mila karke aye jaane waale munasib nahi ye sitam chalte chalte ohn dil tod ke jaane waale dil ki baat batata ja ab main dil ko kya samjhaun dil ko bhi samjhaata ja kyun nazar pher li mujhse mere sanam chchupke baithe ho kyun dil churaye hue ek muddat...

kisi ka naam lo benaam afsaane bahut se hain

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai maine purnoor sitaaron mien tumhein dekha hai mere mehbob teri parda nasheeni ki kasam maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai pas rehta hai door rehta hai koi dil mein zaroor rehta hai jabse dekha hai unki aankhon ko halka halka suroor rehta hai ab woh rehte hain iss tarah dil mein jaise zulmat mein noor rehta hai kisi ka naam lo benaam afsaane bahut se hain najaane kisko tum kehte ho deewane bahut se hain jafaon ke gile tumse khuda jaane bahut se hain magar mehshar ka din hai apne begaane bahut se hain  bas ab so jao neend ankhon mein hai kal phir sunayenge zara si reh gayi hai raat afsaane bahut se hain likhi hai khaak udani hi agar apne muqaddar mein tere kooche pe kya maukoof veerane bahut se hain tumhein kisne bulaaya mehkashon se ye na keh saaki tabiyat mil rahi hai warna maikhaane bahut se hain banaaye tere hi hain ajnabi nadaariyan mujhko teri mehfil mein warna jaane pehchaane bahut se hain ...

more khwaja tum hi ko mori laaj

khwaja ji maharaja ji tum bado ghareeb nawaaj apna kar ke raakhiyo tohe baahn pakre ki laaj tumre dware aan padi hoon waliyan ke maharaj more khwaja tum hi toh mori laaj aye maharaj suratiya waale mori baat banat tora kya jaawat more augan pe tum nigah na karo tum apne kiye ka nibah karo main buri hoon bhali hoon tihari hoon mere khwaja more pe daya karo khwaja usmaan ke dilbar jani mori sun lo dard kahani tohe dwar pade jug beet gaye mori aas na todo ghareeb nawaaj tann mann warun lagun payiyan chchor na khwaja thaam ke bahiyan tumre dware aan padi hun waliyan ke maharaj ek najariya kar do prem ki sab ke bann jayein kaam tum ajmer ke khwaja tumra bada jagat mein naam nagar nagar mein charcha tora nagar nagar tora raaj more khwaja tumhi ko mori laaj mori beet na jaye umariya mori rang do maili chunariya darpat hun darshan ko tore jee ko naahi chain khwaja mohe daras dikha do taras gaye more nain kadmon tere aan giri hoon patt rakhiyo mori aaj mo...

rabb kehan naalon pehlan maa kehna sikheya

tussi raazi je apna rabb karna maa di khidmat rajj rajj karna apni maa nu pyar naal vekh laina ghar baithe jehne vi hajj karna jadon muhon kisse da main naa lehna sikheya rabb kehan naalon pehlan maa kehna sikheya gal nahi si aundi muhn kholna ni aunda uhdon keha maa jadon bolna ni aunda si pairan utton baithan ton pairan te khalon tak maa meri kadde vi ni sutii meri son tak hub meri ohde jagraateyan da phal e saari raat naal jehnu jaagne da wal e ik wi ni dukh nere aun jehne ditta e waal wi ni binga mera hon mera ditta e mukhon vich ungaliyan deke te baithon waali aap rehke bhukeyan te mainu oh rajaaon waali lahu vich rajji ohdi khandar ohde seene di nig ohdi godi da te thand ohde seene di suneya zamaane te farishte vi hunde ne naal sahn lain waale rishte vi hunde ne maa main vekheya farishta ni vekheya maa naalon wada koi rishta na vekheya jehdeyan main saahwan naal saahn lena sikheya rabb kehan naalon pehlan maa kehna sikheya kukh vich rakh ke rakh ke te ...

chalo dayarein nabi ki janib

bigri hui banti hai har baat madine mein ghamkhaar muhammad ki hai zaat madine mein chalo dayarein nabi ki janib durood lab pe saja sajaakar bahar lootenge hum karam ki dilon ko daaman bana banaakar do jahaan ka bharam madine mein hai karam hi karam madine mein sar ke sajde to sue kaaba hain hai dilon ka haram madine mein khatam hote hain ek hi pal mein saare dard o alam madine mein haar ashqon phool zakhmon ke leke jayenge ham madine mein sab jahaanon ki likhte hain kismat shahe e lauh o kalam madine mein meri sayim yahi tamanna hai bas nikal jaye dam madine mein kaif o tadap ko aur badhate chale chalo dil mein chirag e ishq ko jalate chale chalo jaate ho bheekh lee dar e tajdar par soorat misailon ki banate chale chalo us tajdar e husn ki tazeem ke liye aankhon ko farsh e raah banate chale chalo na unke jaisa sakhi hai koi na unke jaisa ghani hai koi wo benawaon ko har jagah se nawaazte hain bula bulaakar main wo bikhari hoon jiski jholi mein koi husn ...

begaangi e dil ke afsaane ko kya kahiye

begaangi e dil ke afsaane ko kya kahiye apna na hua apna begaane ko kya kahiye jab dono hi roshan hain ik teri tajalli se phir kaaba to kaaba hai butkhane ko kya kahiye un mast nigahon ki taseer mazallah gardish mein zamaana hai paimaane ko kya kahiye aate hain sataane ko jaate hain rulaane ko is aane ko kya kahiye is jaane ko kya kahiye wo roke mera bedum daaman se lipat jaana aur unka ye farmaana deewane ko kya kahiye

dil tadapne lage hosh udne lage

lazzat e intezaar leta hoon yun shabe gham guzaar leta hoon jab bhi das ti hai mujh ko tanhayi naam tera pukaar leta hoon yun ti kehne ko husn e kaafir ki har ada dil nasheen hoti hai unke pehlu mein dil nahi hota jinki soorat haseen hoti hai apne gham ko na mujhse chcheen aye dost meri duniya udaas rehne de aur iska kahan thikaana hai isko mere hi pass rehne de kabhi kabhi toh vo is tarah yaad aate hain phir iske baad har shai koo bhool jaate hain nigah e naaz bhi kya cheez hai khuda ki kasam nazar ke saath zamaane badalte jaate hain dil tadapne lage hosh udne lage tu jo mehfil mein aye mehjabeen aa gaya main qayamat ka pehle to kaayil na tha tumko dekha to mujhko yakeen aa gaya maine chaaha na ho fash raaz e wafa kya karun main mera bas na kuch chal saka mere ashqon ne mera bharam dho diya tazkara aapka jab kahin aa gaya waada karke shab e wasl aaye na tum maine mana ke majboor the tum magar jhoothi kasamein uthaane se kya faayda keh diya maine mujhko yakeen aa...

aye sarwar e duniya o deen teri niraali shaan hai

aye maalik o gul fasl o karam rehmat kar aye zaafa har ranj o alam rehmat kar sabqat hai saza gazab p erehmat ko teri apni teri rehmat ki kasam rehmat kar tazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai e salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam atishe do zakh jis shaks ke ho dil pe likha naam e muhammad ye lutf ye tumhara karam bemisaal hai ik ik gunahgaar ka tumhein khayaal hai ho mere haal pe bhi ik nigah e karam nawaaz sarkaar ik nigah e karam ka sawaal hai aaya labon pe zikr jo khair ul anaam ka sauda hua buland durood o salaam ka mujh par nisaar hone lagin mastiyan tamaam main zikr kar raha tha muhammad ke naam ka main madine mein jo jaata to wahan kya karta kuch na karta to roze ko dekha karta aye sarwar e duniya o deen teri niraali shaan hai dar hai tera rashq e haram chehra tera quran hai itni khuli hampe haqeeqat tere rukh ki allah bhi karta hai talaawat tere rukh ki haafiz nahi main haafiz se main achcha hoon ye baat badi hai ji...

na to butkade ki talab mujhe

raazdaaron se bach ke chalta hoon gham gusaaron se bach ke chalta hoon mujhko dhokha diya sahaaron ne ab sahaaron se bach ke chalta hoon shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti maine masoom bahaaron mein tumhe dekha hai maine purnoor sitaaron mein tumhe dekha hai mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine ashqon ki qataron mein tumhe dekha hai but bhin ismein rehte the dil yaar ka bhi kashaana tha ek taraf qaabe ke jalwe ek taraf butkhaana tha na to butkade ki talab mujhe na haram ke dar ki talaash hai kahaan lut gaya hai sukoon e dil ussi raahguzar ki talaash hai tu haram mein jisko hai dhoondhta mujhe butkade mein wo mil gaya tujhe kya malaal hai zaahida ye nazar nazar ki talaash hai mujh sab qabool falak magar gham e dost mujhse talab na kar isse kaise dil se juda karoon meri umr bhar ki talaash hai aye tabeeb chchor yun hi mujhe main mareez e ishq hoon la dawa ishq ...

na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye

na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye ye aql o dil hai sharar shola e muhabbat ke wo khaar o khas ke liye hai ye neestan ke liye malaam e parwarish e aah o nala hai ye chaman na sair e gul ke liye hai na aashiyan ke liye nigah buland sakhun dil nawaaz jaan pursouz yehi hai rakht e safar meer e kaarwaan ke liye mere gulu mein hai ik nagma jibraeel aashob sambhaal kar jise rakha hai lamakaan ke liye

main phasda jaanda haan uljhanan vich

shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka har lab pe aaj naam hai baba fareed ka bigre hue naseeb sanwar jaayenge abhi bhi bigri banaana kaam hai baba fareed ka saabir ko ik nigah mein saagir bana diya kitna bada makaam hai baba fareed ka girdiyan hanjuan di seena thaar ditta layi ankhan ne jhari te gal bann gayi mehfil ishq di bani madhosh bann ke masti ishq di chadi te gal bann gayi jila azal de raaz di naaz khul gayi kundi baba di phadi te gal bann gayi gunahgaar gharib kuchajeyan di bahn baba ne phad layi te gal bann gayi gal laake ke koje kamle nu lajpal ne karam kama chchadeya mainu mangna paya na dar dar ton aisa khair sakhi ne paa chchadeya main phasda jaanda haan uljhanan vich te baba mainu bachayi jaanda nibhaun da mainu chajj na koi oh laaj meri nibhayi jaanda parakhda nahi eh khare siyaane eh lajpal zamaana jaane baba fareed ud din mera laajan nibhayi jaanda khali na koi jaawe sawali darbaar da ajj kehnda baba da karam waaja maarda baba d...

baba ji sada hajj ho gaya

assan laayiyan ne dassange nibha ke saunh rabb di daware tere aake tere dar utte sir nu jhuka ke jaali roze di ankhan de naal laa ke baba ji sada hajj ho gaya tere pairi ni zamaana evein paya e dar tera vi te khaane kaabe jeha e ankhan jehne jehne tere naal laayiyan muhon mangiyan muraadan ohnan paayiyan baba ji sada hajj ho gaya teri gali baba jannatan di gali e teri pusht utte peer maula ali e tera mukhda te sade layi quran e teri deed sada deen te imaan e baba ji sada hajj ho gaya wadh shaahi naalon terian ghulamian nisbat baba di mera kam koi ni evein jaanda nahi saara jag mainu main te baba de pairan di khaak nusrat kivein karega koi alag mainu main te ishq fareed ch nachda haan lagi hoi hai ishqe di agg mainu beshak bari nizami na aakho mainu akho akho fareed da sag mainu wadh shaahi naalon terian ghulamian evein kitiyan ni saabiri nizamian chaaron passe ajj machiyan duhaiyan ral aashiqan dhamaalan ajj paniyan baba ji sada hajj ho gaya mukh tere...

hai jahaan mein ehle karam bahut

rahe naseeb mujhe gham ata kiya tune karam kiya mujhe apna bana liya tune sharminda kar rahi hai meri har khata mujhe lekin nibha rahi hai tumhari ata mujhe main haq e bandagi na ada kar saka kabhi lekin tere karam ne nawaaza sada mujhe dekha bahut nigah e talab ko mila nahi tumse tumhi ho tumsa doosra koi nahi hai jahaan mein ehle karam bahut koi aisa tauba khuda nahi jo diya hai teri ataon ne wo kisi ke dar se mila nahi teri beniyaazi aye jaane jaan na fikr e alam hai na ehsaas e gham hai raho tum salaamat karam hi karam hai manaa ke bahut zor ke toofan e alam hai jab tum ho to daata to kis baat ka gham hai tera malaal gham mera teri khushi khushi meri sach to ye hai teri kasam tujhse hai zindagi meri teri beniyaazi mein jaan e jaan mujhe tujhse koi gila nahi tu hazaar mujhse khafa rahe teri yaad dil se juda nahi ye kahan ka roz hai  tu bata mere dil ko chain zara nahi tu mile to koi haraz nahi na mila to koi bala nahi main rahim e  ranj o ...

kaali kaali zulfon ke phande na daalo

kaali kaali zulfon ke phande na daalo hamein zinda rehne do aye husn waalo kare kya husn waalon se muhabbbat hamein maloom hai anjaam e ulfat tumhhein achchi tarah ham jaante hain par hamse na tum aisi sharaarat na chchedo hamein ham sataaye hue hain bahut zakhm seene pe khaaye hue hain sitamgar ho tum khoob pehchaante hain tumhaari adaon ko ham jaante hain dagabaaz ho tum sitam dhaane waale fareb e muhabbat mein uljhaane waale ye rangin kahaani tumhi ko mubaarik tumhari jawaani tumhi ko mubaarik hamaari taaraf se nigaahon hata lo humein zinda rehne do aye husn waalo lubhao na dil husn ki dilkashi se jo kehna hai keh do magar door hi se ye  naaz o ada hum na dekhenge dekho karo baat lekin badi saadgi se sambhaalo zara apna anchal gulaabi dekhao na has has  ke ankhein sharaabi suroor inka duniya mein ahcha nahi hai haseenon pe humko bharosa nahi hai ithaate hain nazrein to girti hai bijli ada jo bhi nikli qayaamat hi nikli jahaan tumne chehre se a...

dil vech ke sohne dilbar nu

padi namaaz te niyaz na sikheya terian kis kam padhiyan namaazan ilm padheya te amal  na kita terian kis kam kitiyan waazan na ghar ditha na ghar wala ditha terian kis kam kittian niyaazan bulleh shah pata tad lagsi jaddon chidi phasi hath baazan namaaz padhan ya main tain wal vekhan mera qibla qaaba tun e oh ki jaanan qibla qaaba jehre buzdil barze soohe haaji padhan karaam te kaaban te main kardi koohein koohein mulla maar na bolariya mainu apna yaar veyawan de kanjri bann meri izaat na ghatdi mainu nach ke yaar manaawan de log ishq nu mul ginde mainu gal vich maala paawan de bulleh shah ohdi oh jaane mainu apni tod nibhaawan de dil vech ke sohne dilbar nu dildaar di pooja karni e tu saambh maseetan aye mulla assan yaar di pooja karni e assan neet ishq di neeti e ki karna sauf salaadan nu dildaar hi saada mazhab e dildaar di pooja karni e tu sufi hain main aashiq haan tere naal muhabbat nahi nibhni tu sajda karda qaabe nu assan yaar di pooja karni e namaaz...

duniya e butkada na faza e haram pasand

na haram ki justaju hai na khayaal e maikada hai teri bandaparwari ne mujhe kya bana diya hai main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai tum saamne ho ishq mera sarfaraaz hai mere liye tumhari paristish namaaz hai teri ataa e khaas ne pahuncha diya kahaan dono jahaan se tera gada beniyaz hai meri taraf bhi koi nigah khusrave jamaal teri nigah sabke liye dil nawaaz hai duniya e butkada na faza e haram pasand mujhko teri gali hai khuda ki kasam pasand jhuka ke sar tere aastane pe mujhe har mudda mila hai teri gali kaise chchodun teri gali se mujhko khuda mila hai jinne kaaba nu jaana jaan paye mujhko teri gali hai khuda ki kasam pasand kaabe mein koi sar ko jhukaye to hame kya humne tera darbar e karam dhoondh liya hai paa liya maine maqsood e hasti teri nisbat mujhe mil gayi hai kya garaz mujhko dair o haram se meri nazaron mein teri gali hai husnabi achchi lagi na sarwari achchi lagi do jahaanon mein mujhko ...

hai yaad teri dil mein masti mein hain mastaane

aye deewanon zara kar lo ziarat mere daata ki khuda ke noor ka mazhar hai mere daata ki ali ke laal hain daata nabi ki aal hain daata shah e jeena se pooche ja ke azmat mere daata ki hazaaron baadshah aaye gaye har saltanat badli na badli hai na badlegi hukumat mere daata ki tamaam noor hai kya jalwa baar daata ka ke ho raha hai karam beshumaar daata ka faiz e aalam hai naam daata ka hai zamaana ghulam daata ka jao hundal wali se jaa poocho wo hi samjhe makaam daata ka muraadein mangne aaya hua zamaana hai bharegi jholi ke ye pantani gharaana hai adab adab ke ye daata ka aastaana hai tere ghulamon ke lab pe yahi taraana hai hai yaad teri dil mein masti mein hain mastaane ik nazar e karam daata aaye tere deewane gham ke maaron pe ik nigah karo daata nazar e karam karam karam ke main umeedwaar haazir hoon daata nazar e karam is taraf bhi toh aye charaagar dekh le gham ke maaron ko bas ik nazar dekh le gar tum na karo karam toh phir kaun karega jholi ...

eh sochan mainu payiyan

gaflat na kar yaar bari ton chchad jangli rehan wasera panchi mud gharan nu aa gaye kyun chit nahi karda tera pal pal jind marenda halle atte main teri tun mera yaar fareed karan jind qurbaani je yaar paave hik phera puchan wang dewaneya bhangeyan ton kyun nain tarasde rehnde maahi nahi aaya ohde aawan de mainu roz bhulekhe painde eh sochan mainu payiyan bahaaran lang gayiyan ajje vi mera yaar ghar nahi aaya lang gaye dildaar jinha de bhala oh kad rowan thoda sau rogan da rog muhabbat jis da naam vichchora rog vijog te sog hazaaran ve sajna ter naa de ohna paandi roz qayaamat vichchde yaar jinha de kyun nahi maahi ghar aaya eh sochan mainu payiyan hoke taane hijr ch athru de gaya yaar saugaatan mud ni aaya dil da saawan beet gayiyan barsaatan dasso sabar karan main kaada ajj da vi ohda lang gaya waada shaaman vi utton payiyan udeekon mainu payiyan sakhi dildaar ghar nahi aaya din lang gaya hosiyan pandeyan nu utton aa gayi raat judayiyan di u...

gardishon ke hain maare hue na

gardishon ke hain maare hue na dushmanon ke sataye hue hain jitne bhi zakhm hain mere dil par, doston ke lagaye hue hain aql ko rog maar dete hain ishq ko sog maar dete hain aadmi khud ba khud nahi marta doosre log maar dete hain log kaanton se bach ke chalte hain hamne phoolon se zakhm khaaye hain tum to gairon ki baat karte ho hamne to apne bhi aazmaye hain kaasa e deed leke duniya mein maine deedar ki gadayi ki mere jitne bhi yaar the sabne hasbe taufeeq bewafayi ki jab se dekha tera qaddo kaamad tumhein dekha to zaahid ne kaha ke imaan ki hai ke insaan ko sajda rawa hone ka waqt aaya aye mast e naaz dekhne waalon ke dil to dekh paamaal ho gaye tera dil dekh kar giraaya haath se sheesha surahi tod di maine jab se dekha tera qaddo kaamad sharaab seekh pe daali kabaab sheeshe pe jab se dekha tera qaddo kaamad in aankhon se qayamat ki nishani kaun dekhega but e kaafir teri uthti jawaani kaun dekhega jab se dekha tera qaddo kaamad dil pe tooti hui hai ...

tenu kehan lagge zara vi na sangde

do aalam vich kasam khuda di mera maan taraan fareed e mera sohna baba ganj shakar sultan jahaan fareed e mera dard ghaman da daru sohna meri jaan di jaan fareed e sardar kafan te likh baisan mera deen iman fareed e avein ni fareed fareed pukar pai gayi yaar yaar da naam chitaarda ae duniya andar ohnu yaad karda sacha kaul e parwardigar da e oh deewaneya yaar di yaad khaatir rabb bandeya de roop dhaarda e jivein raab nu yaad fareed kita rabb fareed fareed pukarda e agg do zakh di ohnu nahi saar sakdi ganj shakar da jehra mureed howe wali allah vi paye pukarde ne ganj shakar di kadde je deed howe deed baba di rabb di deed mainu deed baba di sab di eid howe bari farsh ki ajj te arsh utte ya fareed fareed fareed howe tenu kehan lagge zara vi na sangde asi hor na tere ton kujh mangde fareedi sanu rang rangde aiso rang rangde rang naahi chchoote dhobiya dhoye chaahe saari umariya ajj assan vi baba de dar ton gudari rangwa ke jaani e je aj arz na...

gali de vichon kaun langeya

chain vichchora aun na dewe raati sowan saun na dewe meri khul gayi patak deke ankh ni gali de vichon kaun langeya kithe yaar na howe paindi shak ni gali de vichon kaun langeya roz agge vi jahaan ethon langda ehda langna te hor kisse dhang da ehdi addi wajje seena dhak dhak ni gali de vichon kaun langeya agge langda jahaan roz lakh ni kadde patke vi dekhi na main akh ni koi langeya jahaan kolon vakh ni gali de vichon kaun langeya kalla bolda banere utte kaag ni howe oh na jagaun aaya bhaag ni jhaati maro tan buhe di chik chak ni gali de vichon kaun langeya barsan baad ajj kakh ankhi radkeya mera dil ajj evein te ni dhadkeya dil avein ni karenda dhak dhak ni gali de vichon kaun langeya

saamne ganj e shakar hai

dil mein jamaaye baithe hain naksha fareed ka paaya hai bekason ne sahaara fareed ka mujh par yakeen nahin to bhala ik se pooch lo arshe bareen ka taaj hai roza fareed ka ajmer ki bahaar hai phool e fareed mein aaye hain khwaja bantne sadka fareed ka ham hi nahin nisaar jamaal e fareed par allah bhi hai chaahne waala fareed ka saamne ganj e shakar hai kya suhaani raat hai raqs mein hai bandagi aur noor ki barsaat hai jo mangna hai mang lo jo lena hai le lo saamne hai wo jo bhi karni hai aarzu kar lo aaj baba se guftagu kar lo parde uthe hue bhi hai unki idhar nazar bhi hai bad ke muqaddar aazma sar bhi sang e dar bhi hai ik ishaare par tere main jaan o dil qurbaan karun tere kadmon mein mile woh maut bhi toh hayaat hai jo niya failaaye baithe de do sadka sabri tu sakhi ibn e sakhi teri sakhi kya baat hai zohad ki duniya mein uncha naam hai naam e fareed saare waliyon se teri waala o badhkar zaat hai hain zahoor apne muqaddar inke zere shaan hain nak...

peer bemisaal mera sakhi lajpaal

nisbat baba di mera kamaal koi nahi avein jaanda nahi saara jag mainu main te baba de pairaan di khaak nusrat kivein karega koi alag mainu main te ishq fareed ch nachda haan laggi hoyi e ishq di agg mainu beshak bari nizami na akho mainu akho akho fareed da sag mainu agg do zakh di ohnu ni saar sakdi ganj shakar da jehra mureed howe wali allah vi paye pukarde ne ganj shakar di kaddi je deed howe deed baba di rabb di deed mainu deed baba di sab di eid howe bari farsh ki ajj te arsh utte ya fareed fareed fareed howe peer bemisaal mera sakhi lajpaal mera baba lagiyan di lajpaalda asi hor vi dekhe jahaan andar peer bemisaal mera baba arsh farsh te danka wajda khwaja qutab de naam da jad tak jeona aundeyan rehna esse dar ton sab kujh lehna ganj shakar de faiz nirale ehdi safarish rabb na taale bin dasseya takdeer badalda mehram sabde haal da khwaja nizam di shaan wadhayi mohr balayat baba naayi saabir sabar katora lai ke sab kujh paaya murshid keh ...

jab bhi jee chahta hai peene ko

kyun ho jaake wo maikade mein kharaab tu pilaye jise nazar se sharaab allah allah wo tera daure shabaab khul gaya jaise gulsitan ka baab jab bhi jee chahta hai peene ko tera maikhaana yaad aata hai bhool baitha hoon muddaton se jise phir wo afsaana yaad aata hai yaad rehta nahin mujhe peena tod deta hoon saagar o meena jab teri mad bhari nigaahon ka mujhko paimaana yaad aata hai yaad aati hai jab teri mujhko saari duniya ko bhool jaata hoon dil nahin lagta sehne gulshan mein tera veeraana yaad aata hai wo koi badnaseeb hi hoga roshni se nahin hai pyar jise ho gaya jo shaheed ulfat mein wo hi parwaana yaad aata hai log khaate hain jab wafaa ki kasam chot si ek dil pe lagti hai marr mita jo wafaa ki raahon mein aaj deewana yaad aata hai gair samjha jise 'Fareedi' ne dosti ke wohi toh kaabil tha apne sab ho gaye paraye jab wohi begaana yaad aata

aisa taalib koi nahi hai

meri chasme alam nam naak karde mujhe alaaishon se paak karde mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rb ghulam e sayyad e laulaak karde rabb ne farmaaya meri kudrat ki hadd koi nahi aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi jab malak samjhe nahin to aadmi samjhega kya aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi aisa taalib koi nahi hai jaisa haq ta aala koi nahi mehboob bhi aisa jaisa kamli waala hai allah ka mehmoob hai kam paaya nahi hai wahan jism nahi hai to yahan kaaya nahi hai koi mere mehboob sa duniya mein nahi hai baitha hai chitayi pe aur arsh nasheen hai kadam farsh se arsh par le gaya farishton se baazi bashar le gaya ye intekhaab hamara hi intekhaab nahi khuda ke ghar bhi muhammad ka jawaab nahi rasool aur bhi hoye jahaan mein lekin koi bhi sahib ulmul ki taab ho na saka jis diyan dhumman do jag dhummiyan jis diyan juttiyan arsh ne chummiyan jhalak se toor ke parde jalaye jaate hain idhar mehboob ke rutbe badhaaye jaate hain zameen se arsh ke raste...

gham sabhi rahat o taskeen mein dhal jaate hain

ab to ma'il ba karam chashme karam ho jaaye toor dil se mere ukba ka alam ho jaaye main bhi hoon aap se ab reham o karam ka taalib mujhpe bhi ab ek nazar shah e ummam ho jaaye gham sabhi rahat o taskeen mein dhal jaate hain jab karam hota hai haalaat badal jaate hain hari ho jaati hai sookhi kheti jab karam hota hai bigri bann jaati hai jab karam hota hai jaag uth te hain soye muqaddar jab karam hota hai is mein ahmad ka wazeefa hai har ik gham ka ilaaj laakh khatre hon issi naam se tal jaate hain koi dekhe to zara unki duhai dekar ishq saadiq ho to paththar bhi pighal jaate hain unki rehmat hai khataposh gunahgaaron ki khote sikke sarre bazaar bhi chal jaate hain rakh hi lete hain bharam unke karam ke sadke karam ki ik nazar hai jispe daali miqaddar ho gaya bedaar uska bigre kirdaar bhi bante hain karam se unke unko bigri taqdeer bhi banaate dekha jee uthon jab sunoon main naam unka baante jitna karam bade utna rakh hi lete hain bharam unke k...