saamne ganj e shakar hai

dil mein jamaaye baithe hain naksha fareed ka
paaya hai bekason ne sahaara fareed ka

mujh par yakeen nahin to bhala ik se pooch lo
arshe bareen ka taaj hai roza fareed ka

ajmer ki bahaar hai phool e fareed mein
aaye hain khwaja bantne sadka fareed ka

ham hi nahin nisaar jamaal e fareed par
allah bhi hai chaahne waala fareed ka

saamne ganj e shakar hai kya suhaani raat hai
raqs mein hai bandagi aur noor ki barsaat hai

jo mangna hai mang lo
jo lena hai le lo saamne hai wo

jo bhi karni hai aarzu kar lo
aaj baba se guftagu kar lo

parde uthe hue bhi hai
unki idhar nazar bhi hai
bad ke muqaddar aazma
sar bhi sang e dar bhi hai

ik ishaare par tere main jaan o dil qurbaan karun
tere kadmon mein mile woh maut bhi toh hayaat hai

jo niya failaaye baithe de do sadka sabri
tu sakhi ibn e sakhi teri sakhi kya baat hai

zohad ki duniya mein uncha naam hai naam e fareed
saare waliyon se teri waala o badhkar zaat hai

hain zahoor apne muqaddar inke zere shaan hain
nakshe paa e khaak bhi apne liye saugaat hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil