aisa taalib koi nahi hai

meri chasme alam nam naak karde
mujhe alaaishon se paak karde
mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rb
ghulam e sayyad e laulaak karde

rabb ne farmaaya meri kudrat ki hadd koi nahi
aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi
jab malak samjhe nahin to aadmi samjhega kya
aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi

aisa taalib koi nahi hai jaisa haq ta aala
koi nahi mehboob bhi aisa jaisa kamli waala hai

allah ka mehmoob hai kam paaya nahi hai
wahan jism nahi hai to yahan kaaya nahi hai

koi mere mehboob sa duniya mein nahi hai
baitha hai chitayi pe aur arsh nasheen hai

kadam farsh se arsh par le gaya
farishton se baazi bashar le gaya

ye intekhaab hamara hi intekhaab nahi
khuda ke ghar bhi muhammad ka jawaab nahi

rasool aur bhi hoye jahaan mein lekin
koi bhi sahib ulmul ki taab ho na saka

jis diyan dhumman do jag dhummiyan
jis diyan juttiyan arsh ne chummiyan

jhalak se toor ke parde jalaye jaate hain
idhar mehboob ke rutbe badhaaye jaate hain
zameen se arsh ke raste sajaaye jaate hain
khuda ke ghar mein muhammad bulaaye jaate hain

taaha k sartaaj saja hai dosh pe kambal kaala hai
ankhon mein mazaab ka kajla aap khuda ne daala hai

duniya kehti hai ye halima tune nabi ko paaya hai
main ye kehta hoon ke halima mere nabi paala hai

apni bakshish apni bhalayi ka ik kaam nikaala hai
apne nabi ke gun gaate hain jab se hosh sambhaala hai

kaun hai jisne payi nahi hai izzat azmat us dar se
us dar ki koi baat na poocho wo dar sab se aala hai

jagmag jagmag allah allah roshan taara taara hai
aam nabi ke chaand ka sadka har ghar noor ujaala hai

koi nahi gham tod le rishte mujhse niyaazi ye duniya
mera waali mera aaka aap madine waala hai

chchupe jiski kamli mein hai do jahaan
wo hai ham ghareebon ka aasra

gunahgaaron na ghabrao
kamli waala sabka waali

mehshar wohi jins khareedenge muhammad
jis jins ka koi khareedar na hoga

khuda khud unko leta hai ke jinke hain amal achche
buron ko aap lete hain ye aadat hai muhammad ki

al gharad har ik bechaare ko chaara meil gaya
ham ghareebon ko muhammad ka sahaara mil gaya

wo dekho chaand roshan hai udhar taaron ke qurbat mein
idhar sarkaar aate hain gunahgaaron ke qurbat mein

aadil bhi aur hoshiyar bhi aur bhole bhaale bhi
kaafir bhi deendar bhi gore bhi kaale bhi
kamli waala sab ka waali


Comments

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. plz do nusrat his version https://www.youtube.com/watch?v=CZtuYMkPXl8

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil