gham sabhi rahat o taskeen mein dhal jaate hain

ab to ma'il ba karam chashme karam ho jaaye
toor dil se mere ukba ka alam ho jaaye

main bhi hoon aap se ab reham o karam ka taalib
mujhpe bhi ab ek nazar shah e ummam ho jaaye

gham sabhi rahat o taskeen mein dhal jaate hain
jab karam hota hai haalaat badal jaate hain

hari ho jaati hai sookhi kheti
jab karam hota hai

bigri bann jaati hai
jab karam hota hai

jaag uth te hain soye muqaddar
jab karam hota hai

is mein ahmad ka wazeefa hai har ik gham ka ilaaj
laakh khatre hon issi naam se tal jaate hain

koi dekhe to zara unki duhai dekar
ishq saadiq ho to paththar bhi pighal jaate hain

unki rehmat hai khataposh gunahgaaron ki
khote sikke sarre bazaar bhi chal jaate hain

rakh hi lete hain bharam unke karam ke sadke

karam ki ik nazar hai jispe daali
miqaddar ho gaya bedaar uska

bigre kirdaar bhi bante hain karam se unke
unko bigri taqdeer bhi banaate dekha

jee uthon jab sunoon main naam unka
baante jitna karam bade utna

rakh hi lete hain bharam unke karam ke sadke
jab kisi baat pe deewane machal jaate hain

aa pade hain tere kadmon mein ye sun kar ham bhi
jo tere kadmon pe girte hain sambhal jaate hain

apni aagosh mein le leta hai jab unka karam
zindagi ke sabhi andaaz badal jaate hain

muhammad zor e maaboodaana baatil todne waale
muhammad aadmi ka haq se rishta jodne waale

warna main kya mera jahaan hai kya
ye to unka karam

kaif afza wohi qatre hain jahaan mein khaalid
saagar e naak se jo qatre uchchal jaate hain

Comments

  1. poet name hazrat syed Muhhammad Khalid shah bukhari(1938-2013)
    Mazar Walhar ,sadiqabad,RYK

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sir ji shayad ye kalam hazrat sayed abdul haq ali r.a. sb ka hai

      Mazar sharif ajmer me hai

      Delete
  2. SubhanAllah.. great sharing.. You can listen this naat in the voice of Owais Raza Qadri on naataudio.com

    ReplyDelete
  3. Masha allha bahot khob padha owes bhai ne

    ReplyDelete
  4. Masha allha bahot khob padha owes bhai ne

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil