begaangi e dil ke afsaane ko kya kahiye

begaangi e dil ke afsaane ko kya kahiye
apna na hua apna begaane ko kya kahiye

jab dono hi roshan hain ik teri tajalli se
phir kaaba to kaaba hai butkhane ko kya kahiye

un mast nigahon ki taseer mazallah
gardish mein zamaana hai paimaane ko kya kahiye

aate hain sataane ko jaate hain rulaane ko
is aane ko kya kahiye is jaane ko kya kahiye

wo roke mera bedum daaman se lipat jaana
aur unka ye farmaana deewane ko kya kahiye

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil