hai yaad teri dil mein masti mein hain mastaane

aye deewanon zara kar lo ziarat mere daata ki
khuda ke noor ka mazhar hai mere daata ki

ali ke laal hain daata nabi ki aal hain daata
shah e jeena se pooche ja ke azmat mere daata ki

hazaaron baadshah aaye gaye har saltanat badli
na badli hai na badlegi hukumat mere daata ki

tamaam noor hai kya jalwa baar daata ka
ke ho raha hai karam beshumaar daata ka

faiz e aalam hai naam daata ka
hai zamaana ghulam daata ka

jao hundal wali se jaa poocho
wo hi samjhe makaam daata ka

muraadein mangne aaya hua zamaana hai
bharegi jholi ke ye pantani gharaana hai

adab adab ke ye daata ka aastaana hai
tere ghulamon ke lab pe yahi taraana hai

hai yaad teri dil mein masti mein hain mastaane
ik nazar e karam daata aaye tere deewane

gham ke maaron pe ik nigah karo
daata nazar e karam

karam karam ke main umeedwaar haazir hoon
daata nazar e karam

is taraf bhi toh aye charaagar dekh le
gham ke maaron ko bas ik nazar dekh le

gar tum na karo karam toh phir kaun karega
jholi meri tumhare siwa kaun bharega

tere dar ke mangte tere dar pe daate adab se nigahein jhukaye hue hain
na jayenge khaali tumhari sawaali ye aaye tumhare bulaye hue hain

dewan karan daata baneya mangan layi sawaali
tenu daata sabne kehna koi na jaawe khaali

ham besahaara ho gaye tujhko sahaara jaan kar
tu hai sakhi ibn e sakhi lutf e karam ka daan kar

main neevan mera daata uncha
main ucheyan de sang laayi
sadd ke jaan ehna uncheyan ton
jinhan neeveyan naal nibhayi

ahmad da deya mera daata
har dum lagda tera
ek qatra bakshe mainu
te ghar bann jaanda mera

main aajiz maskeen nimaana
aan baitha dar tera
baaj inayat fazal tere thi
kujh nahi palle mere

dohan jahaanan de vich mera daata tere fazal kamaal di gaj payi
tereyan bakshishan de khule dekh buhe laike bure amaal main bhajj payi
nahi aasra koi beaasri da tere aasre de utte bhajj payi
na kambhakt kaamin na kamli di tussan waliyan de gal lajj payi

maikhaaron chale aao taiba se mangayi hai
ajmer ka saaki hai ajmer ke paimaane

rakh lena mere daata ab laaj ghareebon ki
ham apni duaon ka aaye hain sila paane

bedard zamaane mein ham jaayein kahaan daata
sarkaar zara sun lo ye dukh bhare afsaane

chaukaht pe teri daata baitha hai 'Zaheer' aakar
deewana koi aaya kehta hain ye deewane

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil