kehna galat galat to chchupaana sahi sahi

tanhayi mein faryaad to kar sakta hoon
veerane ko aabaad to kar sakta hoon
jab chahoon tumhein mil nahi sakta lekin
jab chahoon tumhein yaad to kar sakta hoon

koi hasse to tujhe gham lage hassi na lage
ke dilaagi bhi tered il ko dillagi na lage
to raoz roya kar uth ke chaand raatopn mein
khuda kare tera mere bagair jee na lage

achchi soorat ko sanwarne ki zaroorat kya hai
saadgi mein bhi qayaamat ki ada hoti hai
tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaaz
tumko maloom hai kitnon ki kaza hoti hai

ye jo deewane se do chaar nazar aate hain
in mein kuch sahib e asraar nazar aate hain
teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain
warna ye log to bedaar nazar aate hain
mere daaman mein to kaanton ke siwa kuch bhi nahi
aap poolon ke khareedar nazar aate hain
hashar mein kaun meri gawaahi dega saagar
sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain

qasid payaam e khat ko dena bahut natoor
bas mukhtasir ye kehna ke aankhein taras gayi

kehna galat galat to chchupaana sahi sahi
qasid kaha jo usne bataana sahi sahi

ye subho subho chehre ki rangat udi hui
kal raat tum kahaan the bataana sahi sahi

maine poocha ke kal shab kahaan the
pehle sharmaaye phir hasn ke bole
baat kyun tum aisi poochte ho
jo bataane ke kaabil nahi hai

ye udi udi si rangat ye khule khule se gesu
teri sybho keh rahi hai teri shaam ka fasaana

na ham samjhe na tum aaye kahin se
paseena ponchiye apni jabeen se

dil leka mera haath mein kehte hain mujhse wo
kya loge iske daam bataana sahi sahi

ankhein milao gair se do hamko jaam e mai
saaki tumhein kasam hai pilaana sahi sahi

nasha pila kar giraana to sab ko aata hai
mazaa to tab hai girton ko thaam le saaki

nasha imaan hota hai suraahi deen hoti hai
jawaani ki ibaadat kis qadar rangeen hoti hai

sharaab e naab ko do aad shai bana ke pila
sharaab kam hai to saaki nazar mila ke pila

sharaab ka apna koi sharihe rang nahi
sharaab tajziya e ehtisaab karti hai

jo ehle dil hain badhaati hai aabru unki
jo beshaoor hain unko kharaab karti hai

aye maifarosh bheed hai teri dukaan par
gahak hain ham bhi maal dikhaama sahi sahi

sajid ko jaan o dil se faqat aap ka hai bas
kya aap bhi uske bataana sahi sahi

Comments

  1. Please also mention ghazal writers

    ReplyDelete
    Replies
    1. I did not mention the poet's name since I was not sure about it.I will update whenever I get to know.

      Delete
    2. Nusrat fateh ali khan and rahat Fateh ali khan

      Delete
    3. Are you sure? Mujhe laga tha ki mausiqi aur tarannum Nusrat saab ki ho sakti hai, par sher Iqbal Sajid ke nahi hai?

      Delete
  2. every time I listen to this ghazal , each time feels the first time !! i am in love

    ReplyDelete
  3. i am in love with this Ghazal and great maestro NFAK . i must have heard about 20 times and njoy it every time. soo soothing. gr8 poetry. i wish i knew some of the words like qasid etc. NFAK sahib U are Great.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil