aye sarwar e duniya o deen teri niraali shaan hai

aye maalik o gul fasl o karam rehmat kar
aye zaafa har ranj o alam rehmat kar
sabqat hai saza gazab p erehmat ko teri
apni teri rehmat ki kasam rehmat kar

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai e salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shaks ke ho dil pe likha naam e muhammad

ye lutf ye tumhara karam bemisaal hai
ik ik gunahgaar ka tumhein khayaal hai
ho mere haal pe bhi ik nigah e karam nawaaz
sarkaar ik nigah e karam ka sawaal hai

aaya labon pe zikr jo khair ul anaam ka
sauda hua buland durood o salaam ka
mujh par nisaar hone lagin mastiyan tamaam
main zikr kar raha tha muhammad ke naam ka

main madine mein jo jaata to wahan kya karta
kuch na karta to roze ko dekha karta

aye sarwar e duniya o deen teri niraali shaan hai
dar hai tera rashq e haram chehra tera quran hai

itni khuli hampe haqeeqat tere rukh ki
allah bhi karta hai talaawat tere rukh ki

haafiz nahi main haafiz se main achcha hoon
ye baat badi hai jise main samjha hoon

jab hota hai aaka mujhe tera deedar
ik aan mein quran ko padh leta hoon

quran ko hum padhte hain az raahe haqeeqat
quran tujhe padhta hai sayyid e waala

tujhe sochna muhabnbat tujhe dekhna ibaadat
yehi meri bandagi hai ke main karun teri talaawat

khatme rasul mukhtaar e kul nabiyon ka tu sultan hai
soorat teri husn e adal tujhpe jahaan qurbaan hai

mangton ka aaka rakh bharam karde karam shah e umam
dukhiyon ki mushkil taalna tere liye aasaan hai

mairaaj ka dulha hai tu khaaliq ke ghar pahuncha hai tu
tu hai habeeb e kibriya tu arsh ka mehmaan hai

aalam use sajda kare arsh e bareen dar pe jhuke
shah e arab mehboob e rabb kis shaan ka insaan hai

shams ud duha badr ud duja noor ul huda khair ul bara
tu azmat e insaan hai tu zeenat e quran hai

dar se tar wah bandagi dono jahaan ki behtari
nisbat teri ya mustafa imaan ki pehchaan hai

teri ata tera karam rakhe ghareebon ka bharam
shah e umam hasti teri paidan hi paidaan hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil