kaali kaali zulfon ke phande na daalo

kaali kaali zulfon ke phande na daalo
hamein zinda rehne do aye husn waalo

kare kya husn waalon se muhabbbat
hamein maloom hai anjaam e ulfat
tumhhein achchi tarah ham jaante hain
par hamse na tum aisi sharaarat

na chchedo hamein ham sataaye hue hain
bahut zakhm seene pe khaaye hue hain
sitamgar ho tum khoob pehchaante hain
tumhaari adaon ko ham jaante hain
dagabaaz ho tum sitam dhaane waale
fareb e muhabbat mein uljhaane waale
ye rangin kahaani tumhi ko mubaarik
tumhari jawaani tumhi ko mubaarik
hamaari taaraf se nigaahon hata lo
humein zinda rehne do aye husn waalo

lubhao na dil husn ki dilkashi se
jo kehna hai keh do magar door hi se
ye  naaz o ada hum na dekhenge dekho
karo baat lekin badi saadgi se

sambhaalo zara apna anchal gulaabi
dekhao na has has  ke ankhein sharaabi
suroor inka duniya mein ahcha nahi hai
haseenon pe humko bharosa nahi hai
ithaate hain nazrein to girti hai bijli
ada jo bhi nikli qayaamat hi nikli
jahaan tumne chehre se aanchal hataaya
wahin ehle dil ko tamaasha banaya
khuda ke liye humpe dore na daa lo
humein zinda rehne do aye husn waalo

samble toh ye aahiq ko sambhalne nahi deti
das le to ye phir paaon badalne nahi deti
ham jaante hain iski adaon ko ye nagin
insaan ko uljhanon se nikalne nahi deti

ulfat ke bure haal se dar lagta hai
har mod pe is chaal se dar lagta hai
ham se do chaar kadam door hi rakho
zulfon ke siha jaal se dar lagta hai

sada waar karte ho teghe jagah ka
bahaate ho tum khoon ehle wafa ka
ye naagin se zulfein ye zehreeli nazrein
wo paani na mange ye jisko bhi das le
wo lut jaaye jo tumse dil ko lagaaye
phire hasraton ka janaaza uthaaye
hai maloom hamko tumhaari haqeeqat
muhabbat ke parde se karte ho nafrat
kahin aur jaakar adaaein uchchaalo
humein zinda rehne do aye husn waalo

duniya ke haseenon se bhalaayi nahi milti
ulfat mein kisi ko bhi khudayi nahi milti
zulfon mein na uljhao khuda ke liye hamko
is qaid se aashiq ko rihaayi nahi milti

ye jhoothi numaaish ye jhoothi banaawat
fareb e nazar hai nazar ki lagaawat
ye bismil se gaisu ye aariz gulaabi
zamaane mein layenge ik din kharaabi
fanaa hamko kardega ye muskuraana
adaa kaafirana chalan zaalimaana
dikhao na ye ishwa o naaz hamko
sikhaao na ulfat ke andaaz hamko
kisi aur pe zulf ka jaal dalo
humein zinda rehne do aye husn waalo

jisko ko chaahte ho loot lete ho
tum kisi ka bhala nahi karte

kisi ki jaan gayi aap ki ada thehri
kali kali zulfon ke phande na daalo


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil