more khwaja tum hi ko mori laaj

khwaja ji maharaja ji tum bado ghareeb nawaaj
apna kar ke raakhiyo tohe baahn pakre ki laaj

tumre dware aan padi hoon waliyan ke maharaj
more khwaja tum hi toh mori laaj

aye maharaj suratiya waale
mori baat banat tora kya jaawat

more augan pe tum nigah na karo
tum apne kiye ka nibah karo
main buri hoon bhali hoon tihari hoon
mere khwaja more pe daya karo

khwaja usmaan ke dilbar jani
mori sun lo dard kahani

tohe dwar pade jug beet gaye
mori aas na todo ghareeb nawaaj

tann mann warun lagun payiyan
chchor na khwaja thaam ke bahiyan

tumre dware aan padi hun
waliyan ke maharaj

ek najariya kar do prem ki sab ke bann jayein kaam
tum ajmer ke khwaja tumra bada jagat mein naam
nagar nagar mein charcha tora nagar nagar tora raaj
more khwaja tumhi ko mori laaj

mori beet na jaye umariya
mori rang do maili chunariya

darpat hun darshan ko tore
jee ko naahi chain
khwaja mohe daras dikha do
taras gaye more nain
kadmon tere aan giri hoon
patt rakhiyo mori aaj
more khwaja tumhi ko mori laaj

har jholi bhar poori har ik ke bhaag jagaawo
panjtan paak ka sadka banto aue sakhi kehlao
tum khwaja tum sab ke khwaja tore sar par taaj
more khwaja tum hi ko mori laaj

tum maati ko jo dekho to maati sona hoye
jaise jagat mein tum na dirho aisa mile na koye
jabse tore sang lagi more bigre bann gaye kaaj
more khwaja tum hi ko mori laaj


Comments

  1. nagar nagar mein charcha tora nagar nagar tora naam
    should be:
    nagar nagar mein charcha tora nagar nagar tora raaj

    ReplyDelete
  2. There are further 2stanzas which are missing.

    ReplyDelete
    Replies
    1. maybe you're listening to a different version

      Delete
  3. If Anyone have meaning of this gazal in hindi then please send me on my mail ID
    nikhil.lapristine@gmail.com

    ReplyDelete
    Replies
    1. This is almost in hindi. You might search the words which are new to you. Then try to interpret the meaning.

      Delete
  4. I want poet of this kalaam
    More khwaja tumhi ko Mori laaj

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha