hai jahaan mein ehle karam bahut

rahe naseeb mujhe gham ata kiya tune
karam kiya mujhe apna bana liya tune

sharminda kar rahi hai meri har khata mujhe
lekin nibha rahi hai tumhari ata mujhe

main haq e bandagi na ada kar saka kabhi
lekin tere karam ne nawaaza sada mujhe

dekha bahut nigah e talab ko mila nahi
tumse tumhi ho tumsa doosra koi nahi

hai jahaan mein ehle karam bahut
koi aisa tauba khuda nahi

jo diya hai teri ataon ne
wo kisi ke dar se mila nahi

teri beniyaazi aye jaane jaan
na fikr e alam hai na ehsaas e gham hai
raho tum salaamat karam hi karam hai

manaa ke bahut zor ke toofan e alam hai
jab tum ho to daata to kis baat ka gham hai

tera malaal gham mera teri khushi khushi meri
sach to ye hai teri kasam tujhse hai zindagi meri

teri beniyaazi mein jaan e jaan mujhe tujhse koi gila nahi
tu hazaar mujhse khafa rahe teri yaad dil se juda nahi

ye kahan ka roz hai  tu bata mere dil ko chain zara nahi
tu mile to koi haraz nahi na mila to koi bala nahi

main rahim e  ranj o malaal hoon mujhe tu karam se nawaaz le
tere dar se jaunga main kahaan mera koi tere siwa nahi

Comments

  1. SubhanAllah... where I will this Kalam tune or music...?? plz...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha