Posts

Showing posts from 2016

mere nabi pyare nabi hai martaba aala tera

ya rab ba tufail e rasool us saqlain ya rab batufail e fatahe badr o hunain isiyan e mara do hissa kun dar ara saat neem e ba hassan ba baksh neem e na hussain yeh lutf yeh tumhaara karam bemisaal hai har ik hunahgaar ka tumko khayaal hai ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz sarkra ik nigah e karam ka sawaal hai rabb ne farmaya meri qudrat ki hadd koi nahi aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi bazahir kibriya tujhse juda hai magar tujhse zahoor e kibriya hai teri azmat ka andaaza ho kisko khuda hai aur khuda ke baad tu hai mere nabi pyare nabi hai martaba aala tera jis jaan koi pahuncha nahi dekha wahan jalwa tera khairaat deta hai khuda har waqt tere naam ki jisko mila jo kuch mila jitna mila sadka tera rehmat thi poore josh par main bhi na tha kuch bekhabar tujhse tujh hi ko maang kar acha raha mangta tera sarkash jo the maayil hue...

kadi roza rabb dikhlave kamli wale da

kadi roza rabb dikhlave kamli wale da nitt yaad madina aave kamli wale da deed di khaatir ankhiyan tarsan waang phuhaaran chham chham barsan har vele hijr sataawe kamli wale da door hijr di howe doori vekhan jaake jaali noori dil har dam vird pakaawe kamli wale da

hanju ankhiyan de vehre vich paunde ne dhamaalan

hoye dahde dilgeer khichi yaadan ne lakeer sanu chann maahi ghereya e tereyan khayalaan hanju ankhiyan de vehre vich paunde ne dhamaalan seene naal laake teri yaad de khidaune nu aunde jaande saahn mere aap vich khende ne lagde na aakhe mere athru nadaan ne ankhan di dehleej utte tik ke na behnde ne mere athru tapp nahi sakde kadi dehleej e ankhiyan di teri yaad da kam e jehdi buheyon bahar vi lai gayi e main dol ke kaase ankhiyan de nit daag jigar de dhaundiyan jadon chann te taare hasde ne main kalleyan beh ke raundiyan tera nitt da vichora mere dil nu sataunda door jaa ke bhul gayon sanu diljaaniya vain payiyaan paundiyan ne sadran nimaaniyan keeta ki kasoor tera das ja ve dholna apna bana ke inj chahida nahi rolna luk gayon kithe rog pyar wala laake umaran da rauna saddi jholi vich paake tera nitt da vichora mere dil nu sataunda tere bajon mere dil nu karaar nahiyo aunda hoyon jadon da tu vakh meri lagdi na ankh laake seene naal...

zulfon ko saawan ki raaton ka badal kehne lage

zulfon ko saawan ki raaton ka badal kehne lage teri aankhein dekhne waale ghazal kehne lage aap aaye meharbaani aapki nisbat se ham apne veerane ko khushiyon ka mahal kehne lage jab hamein milne wo aaye chaandni ki jheel mein chaand taare unke aariz ko kanwal kehne lage 

yun toh pehle bhi hue us se kayi baar juda

yun toh pehle bhi hue us se kayi baar juda lekin abke nazar aate hain kuch aasaar juda ye judaayi ki ghadi hai ya ghadi saawan ki main juda girya kunan abr juda yaar juda koo e jaana mein bhi khaasa tha tarahdaar 'Faraaz' lekin is shakhs ki sajj dhajj thi sarre daar juda

mujhpe bhi chashme karam

mujhpe bhi chashme karam aye mere aaqa karna haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna main je zarra hoon mujhe busate sehra de de ke tere bas mein hai qatre ko bhi dariya karna main hoon bekas tera shewa hai sahaara dena main hoon bimaar tera kaam hai achha karna tu kisi ko bhi uthaata nahi apne dar se ke teri shaan ke shaayan nahi aisa karna tere sadke wo ussi rang mein khud hi dooba jisne jis rang mein chaaha mujhe ruswa karna yeh tera kaam hai aye aamina ke durre yatim saari ummat ki shafa-at tanne tanha karna aur un sahaaba ki khushatwaar nigahon ko salaam jinka maslaq tha tawaaf e rukh e zeba karna mujhpe mehshar mein 'Naseer' unki nazar pad hi gayi Kahne wale ise kahte h khuda ka karna

main nazar se pee raha hun

nazar se nazar ab milaayi gayi hai main peeta nahi tha pilaayi gayi hai main nazar se pee raha hun yeh sama badal na jaaye teri nazron se pee hai khuda ki kasam umar saari nashe mein guzar jaayegi peene ki aarzoo na pilaane ki aarzoo hai tumse faqat nigah milaane ki aarzoo hai meri badanoshi ke waaste koikais e jaam o subu nahi mujhe kaif rehta hai har ghadi yeh teri nigah ki baat hai wo nazar uthi toh maikhaane bane mera dil toota toh paimaane bane mudaaton se aarzoo thi hosh ki hosh aaya toh deewane bane tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki jise bhi dekha wohi mehve khumaar hai saaki wo badanosh hoon mauka hayat kya jiski teri nazar pe hi daromdaar hai saaki wo kaun hai jo tere maikade se bach nikla teri nazar ka toh aalam shikar hai saaki na jhukaao tum nigahein kahin raat dhal na jaaye jhuki jhuki si nigahon ne zulf e barham ne wo baat khol ki rakh di jo thi chhupaane ki yeh udi udi si rangat yeh khule khule se gesu teri subah keh rahi hai ...

jogan hoon tore darbaar ki

kadri dharti hai baba mere izzat meri tere hi naam ka sadka hai yeh shohrat meri tere hi naam ka nusrat ko sahaara baba tere hi naam ke sadke se hai shohrat meri aye deewaano zaro kar lo ziarat mere baba ki khuda ke noor ka mazhar hai soorat mere baba ki ali ke laal hain baba nabi ki aal hain baba badal deti hai takdeerein yeh nisbat mere baba ki hazaaron baadshah aaye gaye har saltanat badli na badli hai na badlegi hukoomat mere baba ki sayiyaan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai koi kisi ka koi kisi ka aur main jogan hoon baba tori jogan hoon tore darbaar ki baba dil mein lagan hai tore pyar ki itt utt bhatkat umar gawaayi sukh kaate bina rasta dikhaayi bipta ki maari tore charno mein aayi paon lago bhi to main nahi chalungi baba tera dar chhor ke main kahan jaaungi khuda ne diya hai mujhe tera dar khas khas jehna kadr nu vehda mere baba nu wadeyayiyaan main kadeyan da rooda kooda mai...

sab vird karo allah allah

sab vird karo allah allah ohnu yaad karo allah allah jehda saare jag da waali e ohda zikr karo allah allah oh beparwah te kalla e koi hor na ohde warga e na ohne kise nu jaaya e na kise nu oh jamaaya e har shai vich ohda basera e har thaan te ohda dera e

bhareya ni vehda mera sajna de naal

bhareya ni vehda mera sajna de naal sayyo ni mero dewo mubarik mainu rang fareedi chadeya ni vehda mera sajna de naal barkat khwaja ganj e shakar di mera khair janaabon bhareya ni ya khwaja mere ghar vich aaye mera vehda bhagi bhareya ni

rahwe wasdi jhok fareedan di

assan tul da warka paadeya assan ik nu jaata ain eh daseya peer fareed ne eho haq ki sidhi ain sadda murshid maula murtaza sadde waris hassan hussain rahwe wasdi jhok fareedan di mere mahiye di mere dholan di lajpaalan nu zeb ne denda chhad jaana augun haaran wadi jhok samajh ke aa gaye shala lagiyan rehan bahaaran jhoki sukh wase mere ranjhne di jithe hon ghareeban de haj maaye peer fareed da dar mileya e hor daware jaayiye kyun chhad ke ehna sakhi dawaara dar dar dhakke khaayiye kyun ki dil da haal bayaan karan ethe chaah na koi bolan di rahwe wasdi jhok fareedan di mere mahiye di mere dholan di sab aase kaase bhann baithe assi peer fareed nu mann baithe hun lor na dukhde kholan di rahwe wasdi jhok fareedan di mere mahiye di mere dholan di

jo log gardish e dauraan se maat khaate hain

sultan e mulk e aashiqan shah e jahan e dilbari aye khwaja e paak e pattan sarkar ganj e shakari tera jalaal e aashiqi tera jamaal e dilbari khwaja nizamuddin wali makhdoom sabir kaliyari saajid kahein koi middati saare kahein mushrif hamein apna to haj e akbari baba ke dar ki haaziri jo log gardish e dauraan se maat khaate hain fareeduddin hi unko gale lagaate hain na dekhi gair ki soorat tumhare mangton ne gair dekha hai na gairon ki nazar dekhi hai meri nazron ne faqat teri nazar dekhi hai maine woh kufr kiya kufr bhi kufr e aazam teri soorat ke siwa koi agar dekhi hai na dekhi gair ki soorat tumhare mangton ne tumhi se maang rahe hain tumhi se paate hain ishaara paate hi abru ka tere ganj e shakar kamaan se nikle hue teer laut aate hain ho khair aapki nisbat ki ya fareeduddin hamaari raah mein aankhe sabhi bichhate hain hamaara kibla o kaaba hai aastaan e fareed wo aur hain jo kahin aur sar jhukaate hain tumhaare pyare wasile se maangne waale dilon ki ...

yeh tere ghulaamon ke waaste badi baat baba fareed hai

shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka har lab pe aaj naam hai baba fareed ka bigde hue naseeb sawar jayenge abhi bigdi banaana kaam hai baba fareed ka sabir ko ik nigah mein sabir bana diya kitna bada makaam hai baba fareed ka inki yaadon ka hai yeh faiz barabar dekho main fakeeri mein bhi hoon kitna tawangar dekho besabab paal rahe hain mere baba mujhko dekhne waalon zara mera mukaddar dekho dar e fareed pe khairaat paane aaye hain ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain yeh tere ghulaamon ke waaste badi baat baba fareed hai tere dar ki kar li ziyaarat yahi gham ke maaron ki eid hai ilahi taab abad aastaan e yaar rahe yeh aastaan hai ghareebon ka aabaad rahe tu jamaal e khwaja e khaajgaan tu kareem baba fareed hai tere dar se bharti hain jholiyan tere dar pe mangton ki eid hai jo bhi dar pe saayil aata mann ki muraadein sab hai paata main bhi aap ka hun kehlaata bheekh mujhe bhi de de baba jise inke dar se sanad mili bakhuda usi ki hai bandagi usse h...

tanveer e jamaal e khwaja kutab

shohra jahan mein aam hai baba fareed ka har lab pe aaj naam hai baba fareed ka sabir bana koi mehboob bann gaya kya faiz e lutf o aam hai baba fareed ka tanveer e jamaal e khwaja kutab dukhiyon ke sahaare ganj e shakar ham par bhi karam ki ek nazar ham bhi hain tumhaare ganj e shakar jo bhi dar par saayil aate mann ki muraadein sab hain paate ham bhi aapke hain kehlaate ham par bhi baba ek nazar har ek sawaali ko dar se khairaat karam ki milti hai tukdon pe tumhare hote hain mangton ke guzaare ganj e shakar chaukhat pe ghulami karne ko aaye hain nizamuddin sabir waliyon ne guzaare hain sajde kadmon mein tumhaare ganj e shakar hai bojh gunahon ka sar par ruswaayi na ho mehshar mein kahin daaman mein chhupaalije hamko khwaja ke dulaare ganj e shakar achhe hain bure jaise bhi hain tumhaare hain mere baba ganj e shakar ik chashme karam se mangton ko makhdoom banaaya hai tumne ham par bhi koi rehmat ki nazar sarkaar hamaare ganj e shakar allah ki rehm...

kahe ko byahi bades

kahe ko byahi bades re lakhi baabul more bhaiya ko diye mehal do mehale hamko diya pardes re lakhi baabul more paat bhara gudiyon ka chhora chhora saheliyon ka saath re lakhi baabul more ham toh baabul tore khoonte ki gauan chahe jidhar hak de re lakhi baabul more ham to baabul tore aangan ki chiriyan chaho jidhar ud jaayein re lakhi baabul more dole ka parda utha jab toh dekha na baabul ka des re lakhi baabul more

salaam us par

salaam us dar pe jisne bekason ki dastgeeri ki salaam us dar pe jisne baadshaahi mein fakeeri ki salaam us dar pe jisne fazal ke moti bikherein hain salaam us barduron ko jisne farmaaya ke mere hain salaam us par ke jisne bhookhe pyason ko kabayein di salaam us par ke jisne gaaliyan sunn kar duayein di salaam us par jo sachhayi ki khatir dukh uthaata tha salaam us par jo bhookha rehke auron ko khilaata tha salaam us par ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha salaam us par ke toota boriya jiska bichhona tha

saara jag is dar ton jholi bharda jaanda e

dohan jahaanan de vich baba tere fazal kamaal di gaj payi terian bakshishan de khule dekh buhe laike bure amaal main bhaj payi nahi aasra koi beaasri da tere aasre de utte bhaj payi main kambakht kameen na kam di si tussan waliyan de gal laj payi saara jag is dar ton jholi bharda jaanda e paak pattan te jehda aaya tarrda jaanda e ganj shakar vi nazar karam di karda jaanda e saare jag is dar ton jholi bharda jaanda e baadshahi wande daata wand da ameeriyan sabir nizam nu vi dittiyan naseeriyan es daware sabhna da kam tarrda e paak pattan te jehda aaya tarrda jaanda e aake saari duniya muraad ethon paundi e disda nahi den waala jholi bhar jaundi e mangteyan utte rehmat da mee warrda jaanda e paak pattan te jehda aaya tarrda jaanda e khali koi ni jaanda ethon jaanda zamaana e nivein ho ke lut layiye chishti khazaana e etho eho jittda jehda harrda jaanda e paak pattan te jehda aaya tarrda jaanda e roza noor o noor saara vehda noor o noor e sachhi muchhi loko ...

more nain piya sang laag rahe

lakdi jal kar koyla bhayi koyla jal bhayi raakh main paapan aisi jali na koyla bhayi na raakh haath chhuraawat jaat ho jo dil bin jaan ke mohe hirdey mein se jaao to tab main jaanu tohe aa piya in nainan mein main palak dhamp tohe loon na main dekhun gair ko na main tohe dekhun doon saajan ham tum ek hain kehan sunan mein do mann ko mann se toliye to do mann kab hun na ho more nain piya sang laag rahe mohe hosh nahi ab tann mann ki gar naar gawaar kahe jo kahe laage nain piya sang jis tann laage so tann jaane laage nain piya sang saath na piya jiyara jalaaye baat koi samjhaaye bujhaaye mori sudh budh bidgi bisar gayi laage nain piya sang kaaga sab tann khaayiyo jo chun chun khaayiyo maas do naina mat khaayiyo kyunki laage nain piya sang more nain piya sang laag rahe mohe hosh nahi ab tann mann ki main sudh budh apni bhool gayi mukh dekh ke apne saajan ka apni chhab bana ke jo main pi ki chhab dekhan gaye jab dekhi chhab pi ki mohe apni bho...

moinuddin khwaja waliyon ke raja

khwaja ji maharaja ji tum bado gharib nawaaj main kookar aapke dwar ka mori ant tumhi ko laaj khwaja mujh mein augun bahut hain tohe kahat gharib hun nawaaj apna kar ke raakhiyo tohe baahn pakre ki laaj more augun pe tum nigah na karo tum apne kiye ka nibah karo main buri hoon bhali hoon tihari hoon more khwaja mo pe daya karo pukaar sun lo gharibon ki aye gharib nawaaz nahi hai koi bhi tere siwa gharib nawaaz tufail e khwaja e usman karam ki bheekh mile gharib dete hain dar par sada gharib nawaaz moinuddin khwaja waliyon ke raja aaj sakhi hai tori zaat usman ke pyaare raj dulaare bigdi banaado mori baat saanson ki mala toot na jaaye jeevan hamse chhoot na jaaye jeete ji mohe charan lagaalo naam japun main din raat laaj ki maari ghabraayi hoon dekh piya main kya laayi hoon kant ke augun ankhiyon mein saawan tore liye laayi hoon saugaat main tore sapno mein khoyi tore bina mora meet na koyi aaja re aaja ajmeri dulha khushiyon ke leke saugaat jiyara...

rishte tamaam tod ke saare jahaan se ham

rang dete hain noor dete hain binn diye yeh suroor dete hain apne dar ke har ik bikhari ko bhikh baba zuroor dete hain shah baaze lamakaane baba fareed qiblagaahe aashiqan baba fareed rehmaton ki naveed ganj shakar jannaton ki kaleed ganj shakar mujhko mehshar ka khauf ho kyun kar hain mere ya fareed ganj shakar rishte tamaam tod ke saare jahaan se ham wabasta ho gaye hain tere aastaan se ham koi kisi ka koi kisi kamagar ham wabasta ho gaye hain tere aastaan se ham ham hain ghulam tere ghulami pe naaz hai kaabiliyat poochne sarkar ke kaabil nahi main ham hain ghulam tere ghulami pe naaz hai pehchaane jayenge isi naam o nishan ham sarkar aap khud hi karam se nawaaz de kuch arz kar sakenge na apni zubaan se ham har lamha har kadam hi masaib ki yun arishein tera karam na hota toh kab the jahan se ham

pakpattan de saiyaan

do aalam vich kasam khuda di mera maan taraan fareed e mera sohna baba ganj shakar sultan jahaan fareed e mere dard ghaman da daru sohna meri jaan di jaan fareed e sardar kafan te likh baisan mera deen imaan fareed e agg do zakh di ohnu nahi saarh sakdi ganj shakar da jehda mureed howe wali allah vi paye pukaarde ne kadi ganj shakar di deed howe deed baba di rabb di deed mainu deed baba di rabb di eid howe bari farsh ki aj te arsh utte ya fareed fareed fareed howe pakpattan de saiyaan saari duniya chhad ke baba naal tere main aayiyaan tu shama e main parwaana nazar karam di kar sultaana bhar ke jaam fareedi peeta ishq tere ne kamli keeta bheekh nizami baba de de aj sabir da sadka de de mangde tethon khair sawaali na modin paak pattan de waali seene laawin mod na devin dar tere te adiyan karsan jeven baal ayaana bhavein maare bhavein jhidke main ethon ni jaana seene laawin mod na devin dil nu kidre tod na devin aasan de phul kajre laake dar tere...

mera deen te imaan mera baba

patta gal vich mere fareed da e jind naawe fareed de laa baitha saare jag naalon naata tod ke main ganj e shakar de boohe te aa baitha khushnaseeb haan main main vi naam apna ohde vich ghulaaman likha baitha odhi yaad jameel namaaz meri ohde naam da vird paka baitha mera deen te imaan mera baba babe da rahwan naam japda meri jaan te pachhan mera baba babe da rahwan naam japda lajpaal saare auliyan da peer e ehde hathan vich meri takdeer e mera maan te taraan mera baba babe da rahwan naam japda es gallon mainu jaanda jahaan e mainu baba di ghulami utte maan e meri aabroo te maan mera baba babe da rahwan naam japda

kadam bosi karlo gunahgaaron aao

rehmaton ki naveed ganj e shakar jannaton ke kaleed ganj e shakar mujhko mehshar ka khauf ho kyun kar mere baba fareed ganj e shakar chishtgaane ishq ke sartaaj hain ganj e shakar irtiqa e zohad ki meraj hain ganj e shakar aashna e ghamze wahdat paikar e khulq e azeem benawaaon bekason ki laaj hain ganj e shakar inayat hai yeh sab ganj e shakar ki ghulami mil hayi baba ke dar ki ajab ejaz hai unki nazar ka woh sabir bann gaya jis par nazar ki ukba fareed ki hai zamaana fareed ka har dil hi bann gaya thikaana fareed ka jannat jo arsh par hai toh darwaaza farsh par jannat bhi dhoondhti hai bahaana fareed ka kadam bosi karlo gunahgaaron aao mere baba ganj e shakar aa gaye hain nigah e muhabbat adab se jhukaao mere baba ganj e shakar aa gaye hain khula baab e jannat dar e panjtan ka pesh har aarzoo har tammana karo thaam lo jaaliyan baba baba karo guzre chalo chishtiyon baab e bahisht se naam le ke baba ka woh dekho khula baab e jannat fareed ud din baba ka...

behad ramzan dasda mera dholan mahi

e baedi bai na das mulla oh alif sidha khamghat aaya oh yaar khalokadi raat waala hun bhes wata ik wata aaya sohna meem da ghoonghat paake te keha zulfan de kundal ghat aaya ali haidara pehle aahad si hun ahmad bannn ke wat aaya behad ramzan dasda mera dholan maahi kite shia e kite sunni e kite jatadhaar kite munni e kite pata kaan vedan dasda butkhaane vich kidre wasda behad ramzan dasda mera dholan maahi aape zaahir aape baatin aape luk luk bainda e aape mulla aape kaazi aape ilm padhenda ghat gumnaar kufr da gal vich vich butkhane vich bainda e zaaton ashraf yaar ranjetan laayiyaan di lajj rakhenda e aape lukda aape dasda aape dhoom machenda e bulla shah inaayat mainu pal pal darshan denda e behad ramzan dasda mera dholan maahi lantaraani das ke jaani hun kyun mukh chhupaaya main dholan vich farak na kaayi inna ma farmaaya e tann sabir de keede paaye jo jhadeya so paaya e mansoor kolon puch zaahir hoya sooli pakad chhadaaya...

behad ramzan dasda mera dholan maahi

makke gayan gal mukdi naahi bhavein sau sau juma padh aayiye ganga gayan gal mukdi naahi bhavein sau sau gote khaayiye gaya gayan gal mukdi naahi bhavein sau sau pand padh aayiye bulleh shah gal tayiyon mukdi jadon main nu dilon gawayiye padh padh aalam faazal hoyeyaan kadi apne aap nu padheya hi nahi ja ja wad da mandir maseetan kadi apne andar tu wadeya hi nahi evein roz shaitaan naal lad daan kadi nafas apne naal ladeya hi nahi bulleh shah aasmaani ud diyan phad daan jehda ghar baitha ohnu phadeya hi nahi e vendi main na das mulla oh alif sidha kham ghat aaya oh yaar kalokadi raat waala hun bhes wata ke wat aaya  sohna meem da burqa pehan ke te keha zulfan de kundal ghat aaya ali haidara pehle aahat si hun ahmad bann ke wat aaya behad ramzan dasda mera dholan maahi kite shia e kite sunni e kite jatadhar kite munni e kite pata ke bedan dasda butkhaane vich kidre wasda aape zaahir aape baatin aape luk luk bainda e aape mulla aape kaazi aape ilm...

mere dil mein ishq e huzoor hai

tere hi naam se har ibteda hai tere hi naam se har inteha hai teri hamd o sana alhamdolillah ki tu mere muhammad ka khuda hai taazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai aye salle ala naam e muhammad allah kare uspe haraam aatish e do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad madine wale ka jo bhi ghulam ho jaaye kasam khuda ki wo aalin makaam ho jaaye nabi ke ishq ka jis dil mein daagh ho roshan toh uspe aatish e do zakh haraam ho jaaye mere dil mein ishq e huzoor hai main jahan mein sabse ameer hoon dil mein ishq e shah e konain ki daulat hai padi hun toh nadaan main lekin meri keemat hai badi tujh mein hoor o kusoor rehte hain maine maana zaroor rehte hain mere dil ka tawaaf kar jannat mere dil mein huzoor rehte hain mere dil mein ishq e huzoor hai main jahan mein sabse ameer hoon mujhe taajdaaron se kya garaz main dar e nabi ka fakeer hoon mujhe haq ne bakshi hai bartarin meri thokaron mein sikandari yeh jahaan nigah mein ...

sab jag se naata tod liya

aye dil muraad e dil kahan paane ki der hai baba ke dar pe haath uthaane ki der hai saabir bhi saamne mere baba bhi saamne yani sar e niyaaz jhukaane ki der hai sayyiyan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai sab jag se naata tod liya baba ke dawaare aa baithi ik pagli dekho waliyan ke maharaj se aankh lara baithi mat mujhko darao do zakh se ab mohe ko dar kaha ka ik jaan thi apni woh bhi main baba ke naam laga baithi mani paak pattan ka daasi hun main ganj e shakar ki daasi hun main paak pattan ki galiyon ko qible ka roop bana baithi ik mangti par ehsaan karo ik mehar karam ka daan karo saabir ke naam pe baba ji main jholi ko phaila baithi is prem nagar mein 'Sayim' ji mat aur bada ke baat karo preetam ke wohi mann bhaayegi jo preet ko reet bana baithi

ab kitni haseen meri ibaadat ki ghari hai

kam se kam ishq mein laazim hai ke itna kar lun tujhko poojun tujhe chaahun tujhe sajda kar lun yun bazm e zindagi mein ujaala karenge hum tujhko bithaake sajda karenge hum ab kitni haseen meri ibaadat ki ghari hai sang e dar e mehboob se takdeer lari hai aye jaan e jahaan gauhar e maqsood ata kar parda chehre se hata deed ka sauga kar de apne jalwon se hi kaafir ko musalmaan kar de main tere dar pe yeh umeed liye baitha hoon aye sanam aaj mukammal mera imaan kar de aye jaan e jahaan gauhar e maqsood ata kar sahil ki sada sun teri sarkaar badi hai uthunga na ab dar se tere jaan e tamanna qaidi hun tera paaon mein zanjeer jadi hai begaana hua baitha hoon duniya ki talab se shaida hoon tera meri nazar tujhse lari hai bakshi hai tere ishq ne kya shaan niraali duniya tere deewane ke kadmon mein padi hai aasin hun fana saare zamaane se bura hoon lekin meri sarkaar ki rehmat toh badi hai

khula chishti khazaana baba da

jo log gardish e dauraan se maat khaate hain fareed ud din hi unhein gale lagaate hain ishaara paate hi abru ka tere ganj e shakar kamaan se nikle hue teer laut aate hain deed baba di jehde vi din howe oho din hunda yaaron eid warga lakhan akbari hajj da nahi hunda jehda maza e baba di deed warga sifat baba di karan te karan kivein mukhda hai quran majeed warga Bari saara zamaana main labheya e koi labheya ni baba fareed warga khula chishti khazaana baba da lakhan mangte jholiyan bhar gaye ne kya baatan tere karam diyan jehde kadmi loye tar gaye ne jo fareedi nizam sabir par wo nazar ya fareed ho jaaye noorani soorat baba di baba saab ton wadda tabeeb kehda wadde wadde tabeeban da aasra e saunh rabb di ehde ch shak koi nahi pakka pida habeeban da aasra e ohdi soch nikhaar takhayyaran da sohna shayaran adeeban da aasra e Bari saara zaamaana hi aakhda e ganj e shakar ghareeban da aasra e noorani soorat baba di koi bhaagan waala takkda e saabir te nizamu...

gal laake kojhe kamle nu

do aalam vich kasam khuda di mera maan taraan fareed e mera sohna baba ganj e shakar sultan jahaan fareed e mere dard ghaman da daru sohna meri jaan di jaan fareed e sardar kfan te likh baisaan mera deen imaan fareed e main badkaar te eh dar paakan da te main es gallon payi jhakkan bina es dar de meri bakshish naahi te main eh dar chhor na sakkan eh dargah mere ganj shakar bab di te main sajdeyan sarr na chakkan lok jaande ghar rabb da dekhan te main ghar waale nu vekhan gal laake kojhe kamle nu ganj e shakar ne karam kama chhadeya mainu mangna paya nahi dar dar ton esa khair sakhi ne paa chhadeya ganj e shakar ne bhareya kaasa e rahi thod na koi maasa e sang laake saare gairan te mainu apna rang chadha chhadeya jaawan sadke chaarasaazeyan ton qurban ghareeb nawaaziyan ton ganj e shakar ne apne larh laake mainu hor da hor bana chhadeya bani jag to goli baba di bole loon loon goli baba di ik mast nigahan waale ne mainu aisa jaam pila chhadeya hoyi...

dil hai bekhud sambhaale na sambhale

patti patti gulab ho jaati har kali mehwe khwaab ho jaati tune daali na mehfashan nazrein warna shabnam sharaab ho jaati sharaab e shauk ko masti mein laake peeta hoon main ma siwa ki nazar se bacha ke peeta hoon ruqu se jo bache sajde mein jaake peeta hoon main rind wo hoon khuda ko dikha ke peeta hoon dekh kar aapki jawaani ko aarzu e sharaab hoti hai roz tauba ko todta hoon main roz neeyat kharaab hoti hai dil hai bekhud sambhaale na sambhale hosh mein mujhse aaya na jaaye dekh loon gar teri mast aankhein jaam bhar ke uthaaya na jaaye kis ne mai nahi chakhi kaun jhoothi kasam uthaata hai maikade se jo bach nikalta hai teri nazron mein doob jaata hai ijaazat ho agar saaki toh yeh gustaakhiyan kar dun teri aankhon ki masti ghol kar pee jaaun paani mein jaam par jaam peene se kuch faayda subah tak toh yeh saari utar jaayegi teri aankhon se pi hai khuda ki kasam umar saari nashe mein guzar jaayegi dil uska namaazi bann ja...

kis darja bulandi par kismat ka sitaara hai

itna shadeed gham hai ke ehsaas e gham nahin kaise kahun ke aapka mujhpe karam nahin manzil mujhe mile na mile iska gham nahin tumsa saath saath ho mere yeh bhi toh kam nahin aye aane waale apni jabeen ko jhuka ke aa yeh aastaan e yaar hai sehme haram nahin jab tak bike na the to koi poochta na tha tumen khareed kar humme anmol kar diya kis darja bulandi par kismat ka sitaara hai daaman mere haathon mein sarkar tumhaara hai baksha hai jo gham tumne har dard ka chaara hai bimaar e muhabbat pe ehsaan tumhaara hai uth kar tere kooche se jaayein to kahan jaayein na karo juda khudaara mujhe apne aastaan se na milega phir thikaana jo utha diya yahan se uth kar tere kooche se jaayein to kahan jaayein nisbat tere kooche ki imaan hamaara hai ab duniya ukba se kuch kaam nahin hamko kaafi hamein bas teri nisbat ka sahaara hai kyun chhor ke ham jaayein darbaar e karam tera bethikaana toh nahi ham hain thikaane waale hujoom e gham se jab ghabra gaye hain tumhaare aast...

binti suno mori karun main parnam

dar e fareed pe khairaat paane aaye hain ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain jabeen e shauk ke sajde lutaane aaye hain niyaazmand tere sar jhukaane aaye hain gham e jahaan ke fasaane sunaane aaye hain tumhaare faiz ki khairaat paane aaye hain muhabbaton ke baraste hain aankh se moti aqeedaton ke khazaane lutaane aaye hain idhar bhi chashme inaayat hi mere ganj e shakar ghareeb apna mukaddar banaane aaye hain is aastaan ki bulandi ka haal kya kahiye ke sar buland jahaan sar jhukaane aaye hain sayiyaan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai binti suno mori karun main parnam laaj raakho baba banaado more kaam karam karo baba bhaag jagaao mujh dukhiyan ko janam lagaawo akal se tore sang pal tan hua hai main jogan hoon teri tu mora piya hai ek nazar ki baat hai baba laaj tumhare haath hai baba main joganiya tihari kehlaati hun llaaj tihare haath hai baba kitni pyari raat hai baba teri saji ...

dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri

kya karun daulat e ukba ki tamanna karke mutmayin hoon main dar e yaar pe sajda karke kufr ko manzil e maqsood banaaya hamne yaar ki zulf se imaan ka sauda karke hamne yeh bandagi ka tareeka bana liya apne sanam ko yaad kiya sar jhuka liya dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri kaafir hoon tere ishq mein masliq hai mera kaafiri bann gaye butparast ham soorat e yaar dekh kar kaafir hoon main tere ishq mein kaafir e ishq hoon main banda e islam nahi butparasti ke siwa aur mujhe kaam nahi banda e ishq am musalmani mara darkar nest har rag e oo daar kashta haajat e zunnar nest imaan ka but tod de tasbi musalla chhor de dekhe koi zaahid agar teri ada e dilbari meri ibaadat hai yahi chhorun na tera butkada puja karun teri sanam takta rahun soorat teri yun bazm e zindagi mein ujaala karenge ham tujhko bitha ke saamne pooja karenge ham pooja karun tumhari hai shauk mere ji ka dil ke maamle mein kyhun dakhl ho kisi ka meri namaaz yahi hai ke poojta h...

aaye kuch abar kuch sharaab aaye

patti patti gulab ho jaati har kali mehwe khwaab ho jaati tumne daali na mehfishaan nazrein warna shabnam sharaab ho jaati maiparasti meri ibaadat hai main kabhi bewuzu nahi peeta main sharaabi sahi magar zaahid aadmi ka lahu nahi peeta  kya talakh shaikh ki zindagani guzri ik shab na bichaare ki suhaani guzri do zakh ke takhayyul mein budhaapa guzra jannat ke tasawwur mein jawaani guzri aap ke waaste gunah sahi ham piyein toh sawaab banti hai sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharabb banti hai mujhko tasleem main sharaabi hoon phir bhi fitrat ajeeb paayi hai main nazar se sharaab peeta hoon meri rindi bhi paarsaayi hai aaye kuch abar kuch sharaab aaye iske baad aaye jo azaab aaye har rag e khoon e phir charaghan ho saamne phir wo benaqaab aaye kar raha tha gham e jahaan ka hisaab aaj tum yaad behisaab aaye na gayi tere gham ke sardari dil mein yun roz inquilab aaye is tarah apni khamoshi goonji goya har simt se jawaab aaye faiz thi raah s...

jadon ali ali vird pukaaran te mushkil tal jaandi

ali ali maula maula ali maula ghaus qutab saare ali ali karde hukm ali da chale aasmaan utte sooraj chann taare ali ali karde gunche phul patte ali ali karde saare meh paare ali ali karde kismat wal howe mushkil hal howe jadon ghaman maare ali ali karde ghareeban vich zamaane vich sahaara hai ali maula muhammad jis da maula hai us da maula hai ali maula jadon ali ali vird pukaaran te mushkil tal jaandi aukhe vele laara haidari maaran te mushkil tal jaandi mang ke main hasnain da sadka paake zainat hussain da sadka lajpaal arz guzaaran te mushkil tal jaandi haani main haider sagdar da mangta mangta panjtan paak de dar da mere haq de peer ne baaran te mushkil tal jaandi maula ali da main akhwaawan nach khushiyaan de jhummar paawaan jind paak najaf ton waaran te mushkil tal jaandi waastaan paawan ja akbar da maula har mushkil hal karda asghar di nazar utaaran te mushkil tal jaandi

naaz karta hoon kismat pe apni

sajdon ke liye baab e haram dhoondh liya hai aye yaar tera naksh e kadam dhoondh liya hai kaabe mein koi sar ko jhukaaye to hamein kya hamne tera darbaar e karam dhoondh liya hai kaabe mein jise dhoondhne jaata hai zamaana butkhaane mein hamne wo sanam dhoondh liya hai raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai jaane kyun lab pe mere aap ka naam aata hai yeh tasawwur faqat ek baat pe nahi maukoof jis se nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai naaz karta hoon kismat pe apni tere daaman se wabastgi hai woh aur honge jo ke hain dar pe jhuk rahe main tera ho gaya hoon mujhe kuch kami nahi mere baba mana ke bahut zor ka toofan e alam hai jab tum ho mere saath toh kis baat ka gham hai na fikar e alam hai na ehsaas e gham hai raho tum salaamat karam hi karam hai naaz karta hoon kismat pe apni tere daaman se wabastgi hai sar jhuka hai tere dar pe mera bandagi ab meri bandagi hai kya karoon daulat e duniya ki tamanna kar ke mutmayin hun main tere dar pe sajda kar...

teri yaad ibaadat meri main hanjuan di karan tasbi

dil di sej baitha ke tainu jhaldi rahi main pakhiyaan vich tarijnan chheran mainu naa lai ke tera sakhiyaan bhavein pa sha auna nahi assi pher vi taangan rakhiyaan tere dukhde vekhan waaliyaan shala rehn na ankhiyaan teri yaad ibaadat meri main hanjuan di karan tasbi aukhe haade hijr de athru de gaya yaar saugaatan mud nahi aaye dil de jaani beet gayiyaan barsaatan dil raundan te kurlaunda e ankhan dekheyan baaj na rajj diyan ne aa naazan waaleya dildaara tere baaj na thaawan sajj diyan ne din jadon dubda shaaman jadon paindiyaan teriyan udeekan biba jaan kad laindiyan jaan tereyan dukhan ne sadi gheri main hanjuan di karan tasbi ankh jadon di hai sajna tu pheri main hanjuan di karan tasbi ankhiyan ch athru wagde ne dil pai gaya was vichaaran de mud aa pardesiya mod kadi mud aa aaja pardesiya aasaan ne palla jhaad lehya sadran ne dheriyan dhaa layiyaan dil phook tamasha vekhan layi assi aape hi aggan laa layiyaan aa sajna teri khair howe ro ro payi...

baandhi te bardi o yaar

eid sayid shaheed cha kitam kayi gujdi ramz chalaayi eid ohna jehna deed sajjan di bina deedon eid na kaayi yaar fareed lakh eid manaasan jadon vichde milsan maahi aa ve maahi tai ko allah ghin lehyaawe hoyiyaan muddatan bahuti ghanniyaan hijr tede vich ankhiyan barsan jivein mi saawan diyan kanniyaan ehna ankhiyan ne rona os din sikheya jadon waakif tediyan banniyan yaar fareed rona ohdon muksi jadon hon kafan diyan tanniyan baandhi te bardi o yaar tain dilbar di o yaar jaane maahi o mehaz na jaane o yaar faalan paawan te peer manaawan o yaar je tun aavein te sadke main jaawan o yaar naam tere da main vird pakaawan o yaar o jind payi sikdi aahi taindre bhane o yaar tain bin sunjhiyan dissan gulzaaran o yaar hijr tere vich aahi main maaran o yaar je tu aavein te aaun bahaaran o yaar jag paya denda hi taindre taane o yaar ishq kahani be andaaz o yaar mann vich wajda ishq da saaz o yaar 'Ghulam Fareed' dasse ki raaz o yaar ethse bhul gaye sugad...

naazim hun dil se khauf e qayaamat nikaal do

teri sana ke khuda banda lazayaal hai tu yahi misaal hai teri ke bemisaal hai tu tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai yeh shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di khud to parde mein rahe khud ko dikhaane ke liye phir saamne tasveer e muhammad kar di muhammad mustafa mukhtaar e kul hain meri sarkar hi sardar e kul hain muhammad baadshah e har do aalam muhammad sayyid e abraar kul hain ye lutf yeh tumhara karam bemisaal hai ik ik gunahgaar ka tumko khayaal hai ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz sarkar ik nigah e karam ka sawaal hai naazim hun dil se khauf e qayaamat nikaal do saaya gunahgaar pe kamli ka daal do dil e betaab ko seene se laga le aaja raah mein chhor gaye thaamne waale aaja roosiyakaar mere aib khule jaate hain kamli wale mujhe kamli mein chhupa le aaja

marhaba salle ala sayyid e makki madni

behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di khud to parde mein rahe khud ko dikhaane ke liye phir saamne tasveer e muhammad kar di paikar e noor ki tanveer ke sadke jaaun apne khwaabon ki taabeer ke main sadke jaaun aashkaara hai tere husn se haq ki soorat mere aaka teri tasveer ke sadke jaaun marhaba salle ala sayyid e makki madni soorat ko teri dekh kar kuch muh se na nikla nikla to yeh nikla marhaba salle ala aaj roshan hua chaandni ho gayi jab muhammad ke chehre se parda utha arsh se farsh tak roshni ho gayi main wo shaayar nahi jo chaand keh dun unke chehre ko main unke nakshe paa pe chaand ko qurban karta hoon jisne dekhe nain matwale tere koi daata bana koi ghaus bana koi sabir bana koi dehli mein jaake nizamii bana koi ganje shakar bakhuda ho gaya jisne dekhe nain matwale tere mast o bekhud wo na ho toh kya kare ik nazar jo dekh le kehta phire do jahan tumpe fida sayyid e makki madni marhaba salle ala sayyid e makki...

ye samajh ke mere baba tere dar pe sar jhuka hai

paikar e noor ke tanveer ke sadke jaaun apne khwaabon ke tabeer ke sadke jaaun aashikaara hai tere husn ke haq ki soorat mere aaqa teri tasveer ke sadke jaaun dar e fareed se khairaat paane aaye hain ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain ye samajh ke mere baba tere dar pe sar jhuka hai tu khuda nahi hai lekin tere bhes mein khuda hai jhuka ke sar tere aastaan pe mujhe har ik mudda mila hai teri gali chhor dun main kaise teri gali mein khuda mila hai tu wali e kibriya hai tu habeeb e mustafa hai tu hai fatima ka pyara tu ali ka laadla hai bina shak hai teri nawaazish hai nawaazish e muhammad bada khushnaseeb hai woh jise tu nawaazta hai

shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka

shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka har lab pe aaj naam hai baba fareed ka bigde hue naseeb sanwar jaayenge abhi bigdi banaana kaam hai baba fareed ka sagir ko ik nigah se sabir bana diya koi kisi ka koi kisi ka par mere baba fareed uddin majnu ko mili laila yusuf ko zulekha aur mujhe baba fareed uddin takhayyur mein farishton ne talaashi li to kya nikla faqat ek dil ke kone par yahi misra likha dekha sagir ko ik nigah se sabir bana diya kitna bada makaam hai baba fareed ka

ganj e shakar ke naam ka sadka

ganj e shakar ke naam ka sadka rakh lo mori laaj saabir tumre charan mein aan padi hun kirpa karo maharaj saabir main paap ki phook se darti hun mujhe door na kariyo ya saabir mann mohan ali ahmad pyare dukhiyan ke ghamkhaar saajan bann ke duganiya charnon mein aayi tum hi bharo mori aaj saabir tore charan pe maatha dhar ke apne soye bhaag jagaaun main daasi tore prem nagar ki tum ho more sartaj saabir raaje tohe maharaj pukaarein mangte kahein tohe apna daata har koi to pe bal bal jaaye kaisa hai tora raaj saabir main dukhiyaari bhaagon maari tori or takun more saajan tum jo karo mo pe ek najariya bigde banein more kaaj saabir