Posts

Showing posts from April, 2015

woh dil hai jo kisi ke husn ka kashaana ho jaaye

woh dil hai jo kisi ke husn ka kashaana ho jaaye wo sar hai jo kisi ki teg ka nazraana ho jaaye ye achchi pardadari hai ye achchi raazdari hai ke jo aaye tumhari bazm mein deewana ho jaaye mera sar kat ke maqtal mein gire kaatil ke kadmon par hamein aakhir ata yun sajda e shukraana ho jaaye yahaan hona na hona hai na hona ain hona hai jise hona ho kuch khaak e dar e janaana ho jaaye wo mai de de jo pehle shibli o mansoor ko di thi wo phir 'Bedam' nisaar e murshid e maikhaana ho jaaye

bazm e jahaan machal gayi

bazm e jahaan machal gayi chaand ka dil hila diya shayad kisi kaseen ne rukh se naqaab utha liya aaya jo mere saamne bann sanwar ke woh sanam bann gaye butparast hum deen o imaan luta diya haq parasti mein kabhi dil ka sahaara na hua but parasti ke siwa haq ka nazaara na hua dil mein haq jalwa numa tha mujhe maloom na tha main na tha khud hi khuda tha mujhe maloom na tha gair haq jaan ke but ko na kiya tha sajda tu aye but sajda rawa tha mujhko maloom na tha kaafir e ishq hue ham toh sanaa bhool gaye na wo but yaad raha naam e khuda bhool gaye besoorati hai soorat soorat parast ho ja hai khaas haqparasti tu butparast ho ja aisa hashar bapa diya us but e husn e naaz ne zulf e do taar sanwaar kar kaafir mujhe bana diya aye gham e yaar shukriya jab se hua hai tu ata mere rafaqt o raaz ka naam o nishan mita diya kab tha sakoon e dil mujhe kab tha shaoor e bandagi lekin kisi ki yaad ne jeena mujhe sikha diya

asraar e khuda tasveer e nabi

shah e mardan sher e yazdan quwwat e parwardigar lafatail ya ali la saif ilaah zulfiqar ali ali maula ali ali maula ghaus qutub sab ali ali karde hukm ali da chale asmaan utte sooraj chand taare ali ali karde ghuncha phul patte ali ali karde saare mahpare ali ali karde kismat wal howe mushkil hal howe jad gham maare ali ali karde asraar e khuda tasveer e nabi sakhiyan da sakhi waliyan da wali hath phad ke nabi ne aakhiya si man kunto maula nahi bhulna hor saari duniya bhul jaana ik haider maula nahi bhulna yahan wahan kabhi dekha idhar udhar dekha ali ali nazar aaya jidhar jidhar dekha dono jahaan ke andar har jaa ali ali hai mera wali wo har dam maula ali ali hai baazu pakad ke keha rasool arabi vich khume gadeer de ali ali mainu rabb di saunh rabb aap kehnda adab naal quran ch ali ali oh husn e karam oh shaan e karam oh jaan e nabi oh jaan e karam maula sab da momin da haram kaabe da haram maula di gali oh tutti kismat jor dewe rukh toofanan de ...

assan vekh leya mukh babe da

ganj shakar tum mhar sakhi ho kya mohe parwah daulat dhan ki daya karo mori jholi bhar do jai ho tumhare pak pattan ki main neechan tum oonch dabaro main paapan tum taaran haaro main nirgun tum gun ho poore tum pat rakho mujh nirgun ki ganj shakar mera sab ton sohna bas neho ehde sang laaya mangteyan de mere baba ne kinna sohna karam kamaaya ehde lutf karam ton jaawan sadke har ik nu seene laaya main sadke baba ganj shakar ton mainu chisti rang chadhaaya assan vekh leya mukh babe da hun hor kisse wal takna nahi duniya di zaroorat nahi dildar zaroori e kaabe naalon saanu babe da deedar zaroori e mullah rehn de jhagre jannat de jind yaar de vehre wad gayi e saanu lor nahi hor zamaane di rooh kalma babe naal padh gayi e ishq babe de vich badnaam hoyiyaan mainu eh badnaami changi e duniya de taaj te takht naalon babe di ghulami changi e ganj shakar da dar malleya e gair daware jaayiye kyun chchad ke ehna sakhi dawara dar dar dhakke khaayiye kyun d...

gehna gaya hai chaand sitaare udaas hain

gehna gaya hai chaand sitaare udaas hain unse bichchad ke dard ke maare udaas hain unchiyan lambiyan tagaz khajooran fakhr jinhan de kaahwe jis dam naal e saanj assan di saanu oh dum nazar na aave galiyan sonj ujad dissan sanu veda khaawan aave yaar farid uthe ki wasna jithe yaar nazar na aave aa ve maahi tenu allah ghin lehyave ve tu aaunda e baaze baaze tasveer tedi khich pinjre paawan tenu dekhan laaze laaze je khabar howe tede aawan di nit khol rakhan darwaaze holi holi nikal jindre kithe dhola na le janaaze eid aayi mera yaar na aaye rabba khair howe ohde dam di haar shingaar na change lagde kisse cheez te nazar na jamdi khushiyan waaliyan neendran mannan te main raat guzaaran gham di yaar mile te main eid manaawan bina yaar de eid na kam di har aankh mein hain ashq e muhabbat saje hue sab hi bemaar e pyaar ke maare udaas hain dil ro raha hai hazrat e deewan ke liye tum kahaan kho gaye tum kahaan chchup gaye tumko dekha bina dil behalta nahi ...

asan hor bhala rabb ton ki laina

asan hor bhala rabb ton ki laina je channa sanu tu mil jayein tenu gal da bana ke rakhan gehna je channa sanu tu mil jayein dil vich tera pyar wasa ke vekhi jaana kol baitha ke teri zulfan di chchawein hoke baina je channa sanu tu mil jayein sajna pyar tere naal karna duniya tkolon mool ni darna kehnda je zamaana wair paina je channa sanu tu mil jayein har dum terian loran mainu ankhiyan ne bas chun leya tainu teri manni assan ni kujh kaina je channa sanu tu mil jayein tere baaj na sajde vede reh ankhiyan de nede nede dil kehnda tethon door nahiyon rehna je channa sanu tu mil jaye aaja sajna aaja sajna tu jitteya main haari aa naazan waaleya mehbooba tere baaj thaawan na sajdiyan ne rabb kare je kol tu aawein aa jaawein te pher na jaawein jogi pawe na vichchora kadi sehna je channa sanu tu mil jayein ter baajon dil deya meherma ve sada jeona kede chaj da e mere nas nas vich mere loon loon vich teri yaad da toomba wajda e ankhan bhukhiyan...

asadi ya rasool allah madine haaziri howe

teri sana ke khuda banda layadal hai tu yehi misaal hai teri ke bemisaal hai tu tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai ye shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu konain ka masjood hai mabood hai tu har shai teri shahid hai ke mashhoor hai tu har ek ke lab pe hai teri hamd o sana har soug mein har saaz mein maujood hai tu sarware qayanaat ke sadke paikar e bahayaat ke sadke wajah kono makaam hai daat unki daat lalaa safaat ke sadke madine wale aaka ye toh hasrat kam se kam nikle tumhara rooh e anwar dekh ke aashiq ka dam nikle asadi ya rasool allah madine haaziri howe o waqt aave jabeen tere dware te jhuki howe howe kaasa gadaayi da mazze nu taan amiri de tere naa di sada dewan madine di gali howe suno suno meri haajat rawa rasool allah main de raha hoon sada pe sada ya rasool allah bhare daaman fakiraan de te khud khaake dare sona koi ek te dasso mainu jehra aisa sakhi howe reham ya reham salillah jameel hasnain ka sadka jo tera naam le aaye w...

ankh se ankh milao toh koi baat bane

aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya apne ujde hue gulshan ko bahut yaad kiya jab kabhi gardish e takdeer ne ghera hai hamein gesu e yaar ki uljhan ko bahut yaad kiya aaj toote hue sapnon ki bahut yaad aayi aaj beete hue saawan ko bahut yaad kiya hamein nazron se peena aa gaya hai kinare par safeena aa gaya hai ankh se ankh milao toh koi baat bane rukh se zulfon ko hatao toh koi baat bane teer chchup chchup ke chalaane se bhala kya haasil bejhijhak saamne aao toh koi baat bane ab toh aa jao bakhuda gair koi pass nahi wo toor hi tha jo jal gaya tha wo kaleem hi the jo gir pade the zamaane bhar ko soorat dikhayi jaati hai hamaare naam pe chilman girayi jaati hai musa nahi hoon main mujhe taab e nazar bhi hai zara jalwa tumhara jab nazar nahi aata mujhe jee chahta hai aag laga loon nazar ko main wo aur the jo mashhoor hue barke jamaal se surma ankhon mein lagaane se nahi hota shingaar mehndi mein lagao toh koi baat bane jaam bhar bhar ke toh ham...

aamina ke laalna

suroor rehta hai kaif e tamaam rehta hai labon pe mere muhammad ka naam rehta hai bari hai naar e jahaanum se wo khuda ki kasam wo jinko zikr e muhammad se kaam rehta hai ye lutf ye tumhaara karam bemisaal hai ik ik gunahgaar ka tumhein khayaal hai ho mere haal pe bhi ik nigah e karam nawaaz sarkaar ik nigah e karam ka sawaal hai main madine mein jo jaata to wahan kya karta kuch na karta toh faqat roze ko dekha karta aamina ke laalna aamina ke laalna lajpaal naam tera laj mori paalna aaka mori laj paalna aamina ke laalna suno suno main hajaat rawa ya rasool allah main de raha hoon sada par sada ya rasool allah koi kaash jaa ke kehde ye arab ke meherbaan se tere gham mein aye masiha koi jaa raha hai jaan se kirpa pakro ya madni saiyyan tore bal bal jaaungi apni bana ke rakh lo mohe charnan sees nawaungi tum bin mora kaun jagat mein kiske daaman lagungi main dukheyari augunhaari kisko haal sunaungi

allah e kalla jaanda rutba arab de dhol da

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai e salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam atishe do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad madine wale ka jo bhi ghulam ho jaaye kasam khuda ki wo aalee makaam ho jaaye nabi ke ishq ka jis dil mein daad roshan ho to uspe atishe do zakh haraam ho jaaye ye akl e qayanaat se bahar sawaal hai shaan e rasool e paak samajhna muhaar hai allah e kalla jaanda rutba arab de dhol da jis di zuban e paak ton khud aap allah bolda koi raaz haqiqat ki jaane ki shaan arab de waali da rabb aap madine aa baitha jhon bahar ke kasbi kaali da oh bukrina chann de do tukde banaye je chaave te sukiyan khajuran pakka de baitha hai chatayi pe magar arsh nasheen hai haseena jameelan da muhn mor ditta muhammad kol aake par muhn tor ditta khuda ke siwa koi kya jaanta hai muhammad ka rutba khuda jaanta hai shams ud duha badr ud duja sadrool gula noor ul huda aye naaz uddi kuran da jehda vi warka pholda sa...

aisa banna sanwarna mubarik tumhein

aisa banna sanwarna mubarik tumhein kamse kam itna kehna hamaara karo wo kya sanwar gaye meri kisat sanwar gayi wo agar ban sanwar gaye honge dekhne wale marr gaye honge hazaaron wada e shab usne is soorat se taale hain kabhi mehdi lagayi hai kabhi gesu sambhale hain mareezon ka dam ankhon mein hai wo hain mehve aaraish wahaan hoton ki laali hai yahaan jaanon ke laale hai haaron fariaad kar rahe hain magar kisi par nazar nahi hai wo mehv hain aaeene mein aise unko apni khabar nahi hai aaeene mein har ada ko dekh kar kehte hain wo aaj ye dekhenge hum kis kis ki hai aayi hui sajne kle wat ye bhi zara dekhte nahin aaeena dekhta hai unhein kis nigah se unhe aaraish e gesu se matlab koi deewana ho jaye bala se chand sharmaayega chandni raat mein yun na zulfon ko apni sanwara karo ye tabassum ye ariz ye roshan jabeen ye ada ye nigahein ye zulf e haseen aeene ki nazar lag na jaaye kahin jaane jaan apna sadka utaara karo dil toh kya cheez hai jaan se ...

aapse mil ke ham kuch badal se gaye

aapse mil ke ham kuch badal se gaye sher padhne lage gungunanae lage pehle mashhoor thi apni sanjeedgi ab toh jab dekhiye muskuraane lage hamko logon se milne ka kab shaunk tha main ilahaan ka bad hame daur tha aap ke waaste hamne ye bhi kiya milne julne lage aane jaane lage hamne jab aapki dekhi dil naaziyan aa gayin humme bhi chand tabdeeleyan ik musawwir se bhi ho gayi dosti aur bazme bhi sunne purane lage

aaj milkar bhi unse na kuch baat ki

aaj milkar bhi unse na kuch baat ki haye majbooriyan mere haalaat ki kuch keh na sakun chup reh na sakun nahi maaloom tha kis kis tarah laachar karta hai dil usko jaanta hai bewafa pae pyar karta hai mere hi saamne wo pehlu mein dushman ke baithe hain suna pehle mujhse kissa e gham phir zubaan kaati hamesha ke liye keh kar ke rakh di dastaan meri bas itni si doori ye main hoon ye manzil kahaan aa kar phoote hain mere paaon ke chchale zabt karta hoon to ghut ta hai mera tafas mein mera dam aah karta hoon toh sayyad khafa hota hai duni ek kya sab zamaana khafa hai na koi bhala hai na koi bura hai ye mere mukaddar ki saari khata hai ye mana koi waqt e rahat nahi hai lekin tumse koi shikayat nahi hai us jagah bazm mein saaki ne baithaya hai hamein haath phailayein toh jaata nahi paimaane tak bakhiya jaa ke dil kyun na khulne lage hijr ki raat phir wo bhi barsaat ki din kata jis tarah kata lekin raat kat ti nazar nahi aati bin piya barsaat mein muhn ko k...

aa gham e shabbir aa seene laga kar choom loon

wafa ka noor duniya mein kabhi madham nahi hota gham e shabbir badhta jaa raha hai kam nahi hota wo dil dil hi nahi paththar ke tukde se bhi badtar hai ke jis dil mein nabi ke ladle ka gham nahi hota aa gham e shabbir aa seene laga kar choom loon karbala ki khaak ko aansu pila kar choom loon ze gham ali ka zulm ke jangal mein ghir gaya sahra ka chand shaam ke baadal mein ghir gaya tha gul azaare fatima khaaron mein ghir gaya tanha ali ka laal haadaaron mein ghir gaya aa mera asghar sada deti thi sughra raat din aa teri raahon ko main palkein bichcha ke choom loon yun mukhaatib lasha e akbar se the ibn e ali uth mere bete tujhe dil mein baitha ke choom loon jab chale maidaan ko Qasim ko sayyad ne kaha ruk zara dulha tujhe sehra saja ke choom loon rok kar auron muhammad ko ye zanib ne kaha aakhiri baar aao seene se laga kar choom loon tum bhi mere jaan asghar paani pee kar aa gaye aankh to kholo tumhein lori suna kar choom loon jisne bachaya khalq ko do zak...

aag daman mein lag jayegi

jaam mein jaam ka shabaab ho tum main sharaabi hoon aur sharaab ho tum chaand tumko salaam kyun na kare chaandni raat ka jawaab ho tum tum ko padh ke har ik sabak bhoola wo kahaani ho wo kitaab ho tum dil hamaara uda liya tumne apne maksad mein kaamyab ho tum aag daaman mein lag jayegi dil mein shola machal jayega mera saagar na chchoona kabhi saakiya haath jal jayega mere ashq bhi hain isme ye sharaab ubal na jaye mera jaam chchoone wale tera haath jal na jaye sakiya ek jaam peene se jannatein ladkhada ke milti hain laala o gul kalaam karte hain rehmatein muskura ke milti hain aap ke waaste gunah sahi hum piye to sawaab banti hai sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharaab banti hai ek din wo zuroor aayenge dard ka saaya dhal jayega iss zamaane ki parwah nahi ye zamaana badal jayega aa gaya meri aankhon mein gham ab to jalwa dikha dijiye aapki baat reh jayegi mera armaan jal jayega maikashon us nazar ki suno keh rahi hai wo shola badan mai nahi jaam...

sochan doongiyan de was maahi paa gaya

sochan doongiyan de was maahi paa gaya te das ke kasoor na gaya rog jind nu judayiyaan wale laa gaya te das ke kasoor na gaya jaawo ni koi mor lehyawo te das ke kasoor na gaya rog vajog te sog hazaaran te sajna tere naa de ohna pandi roz qayamat vichchde yaar jinha de ehna das ja numani deya dholna kithon sikheya e raahwan vich rolna haasa mainu saare jag da bana gaya te das ke kasoor na gaya changa kaul tu muhabbatan da paa leya laake rog saanu door jaan waleya waade kite saare sajan bhulaa gaya te das ke kasoor na gaya 'Bari' dewan main duhai tere pyar di mainu chchadeya aar di na paar di sazaa mainu oh vichchore di suna gaya te das ke kasoor na gaya

duniya te aaya koi teri na misaal da

konain ka masjood hai mabood hai tu har shai teri shaahid hai ke mashhood hai tu har ek ke lab pe hai teri hamd o sana har soug mein har saaz mein maujood hai tu tazeem se leta hai khuda nam e muhammad kya naam hai e salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam atishe do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad kamli waleya tere karam baajon buha rehmatan da kadde khulda nahi teri gali de khaaran ch mazaa jeda oh te mazaa firdous de phul da nahi qayanaat ch takhtan ch takht koi teri paak chatai de tul da nahi takht ki sardaar e arsh e azam tere jodde di khaak de mul da nahi duniya te aaya koi teri na misaal da labh ke lehyawan kithon sohna tere naal da yun to isa bhi hain musa bhi hain yusuf bhi hain lekin tere jeha koi nahi waah kya shaan hai ae sahib e adna teri jootiyan choomta hai arshe aazam teri tumhara saani e khalak ho na saka tumhara kahin bhi koi jawaab ho na saka rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin koi bhi sahib e ulmul kitab ...

duniya hai ek dasht toh gulzaar aap hain

duniya hai ek dasht toh gulzaar aap hain iss teergi mein qatra e anwaar aap hain ye bhi sach hai ki aapki guftaar hai jabeen ye bhi hai haq ke sahib e kirdaar aap hain  o aag aftaab e qayamat ki dhoop mein mere liye toh saaya e deewaar aap hain mujhko kisi se haajat e chaaragari nahin har gham mujhe aziz ke ghamkhaar aap hain insaan maal o zar ke junoon mein hai mubtila iss hashar mein 'Nabeel' ko darkaar aap hain

ehbaab ki soorat ho ke agheyaar ki soorat

ehbaab ki soorat ho ke aghyaar ki soorat har chehre mein aati hai nazar yaar ki soorat jis ankh ne dekha tujhe uss ankh ko dekhun hai iske siwa kya tere deedar ki soorat pehchaan liya tujhko teri sheesha gari se aati hai nazar fann se hi fankaar ki soorat sooorat meri ankhon mein samaayegi na koi nazaron mein bassi rehti hai sarkaar ki soorat dil haath pe rakha hai koi hai jo khareede dekhun to zara main bhi khareedar ki soorat aye mere dil ke khareedar kahan jaata hai muft sauda hai arre yaar kahan jaata hai ashqon ne bayaan kar hi diya raaz e tamanna ham soch rahe the abhi izhaar ki soorat 'Wasif' ko sarre daar pukaara hai kisi ne inkaar ki soorat hai na izhaar ki soorat hasrat e khuld nahi aarzu e hoor nahi tere jalwon ke siwa kuch mujhe manzoor nahi

tenu rajj rajj tak lain nain

tenu rajj rajj tak lain nain ve baija maahi do ghariyan nisbat di gal ki puchchda e bharam tere di kajji haan hukm tera mere sir maththe te hukm tere di wajji haan saunh teri mainu Bari Nizami pyar tere naal sajji haan dil diyan reejhan ajje na lathiyan ankhiyan vekh na rajjian dil kamla jhalla mera vekhin dil na todin main te layiyann naal tere ve adh vichkar na chchorin mai ki aakheya sunnda kyun nahi bol ve Bari Nizami ajje na rajjiyan bhukhiyan ankhiyan mukh na sohneya morin teri deed ghareeban da hajj maahiya tenu rajj rajj tak lain nain teri deed howe meri eid howe aaja sajna eid manaa layiye tera ki jaana sadda hajj hona tenu rajj rajj tak lain nain ve baija maahi do ghariyan shaala kadde na judayiyan pain mann lai meri waasta e rabb da kismat naal e vela labh da tenu ro ro sadran kehan ve baija maahi do ghariyan dil deyan tun nahi dasda e addeya uth uth kanu nasna ve addeya tenu hoya e mushkil bain ve baija maahi do ghariyan dil nu ...

wo hata rahe hain parda sarre baam chupke chupke

wo hata rahe hain parda sarre baam chupke chupke main nazaara kar raha hoon sarre shaam chupke chupke ye jhuki jhuki nigahein ye haseen haseen ishaare mujhe de rahe hain shayad wo payaam chupke chupke na dikhao chalte chalte yun kadam kadam pe shokhi koi qatl ho raha hai sarre aam chupke chupke kabhi shokhiyan dikhaana kabhi unka muskuraana ye adaayein kar na daalein mera kaam chupke chupke ye adaayein beniyazi tujhe bewafa mubarik magar aisi berukhi kya ke salaam tak na pahunche zara hoshiyar ae dil kahin dhaa na de qayaamat us ada e kafiri ka de salaam chupke chupke tere maikade mein saaki mera raaz khul na jaaye wo ata rahe nawaazish mujhe jaam chupke chupke ye jo hichkiyan musalsal mujhe aa rahin hain 'Aaalam' koi le raha hai shayad mera naam chupke chupke

yaad e nabi ka gulshan

yaad e nabi ka gulshan mehka mehka lagta hai mehfil mein maujood hain aaka aisa lagta hai mehfil mein aaye hain wo jo mangna hai mango jo lena hai le lo salle allah pukaro sarkaar aa gaye hain utho ae besahaaron sarkaar aa gaye hain ba adab sar ko jhuka lo meri sarkaar aaye farsh ankhon ka bichcha lo meri sarkar aaye deed ahmad ke liye aansuon se karke waju apni mehfil ko saja lo meri sarkar aaye hain naam e muhammad kitna meetha meetha lagta hai lab pe jab unka naam aata hai lamakan se salaam aata hai naam e naami rasool e akrab ka har musibat mein kaam aata hai naam hum leke muhammad ka jiye jayenge iss tarah jeene ka saaman kiye jayenge ranj mite hain sukoon milta hai unke dam se hum muhammad ka sada naam liye jayenge tazim se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai ae salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam atishe do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad muhammad muhammad yun hi pukaara chale ja yun hi zindagaani guzare c...

ankhan labh leya ron da bahana

ankhan labh leya ron da bahana tun ehnda evein baj laa leya denda tikkan na dard begaana tu ehnda evein baj laa leya sadde dil de vich ohdi yaad wasse sadde naina vich barsatan ne assi pher bi shukar guzar de haan eh taan yaar diyan saugaatan ne agg hijr di seene sulagdi e na e bujhdi e na machadi e uddi yaad bhulaaya bhuldi ni saggon loon loon de vich rajdi e degaye akhan nu raule umran de edde beparwah hum dum nikle aisa laa gaye rog vichchore da na aaram aaye nahi dum nikle dukh yaar de dard vichchore da ik pal vi akh nayi laun denda aisa gham chandra saade pesh peya ankhiyan kol neend nayi aaun denda pyar paake koi sukhi nayiyo wasda pyar raunda te jahaan saara hasda mul pyar da e hanju nazraana tu ehnda evein baj laa leya kaddi tussi assan nu sikde aaye hun assan tussan nu sikde khatan utte nit dua salaaman assan roz hamsha likhde kadi te bahn sahrane aahi ' hun nain dekhan nu sikde je jaana tussan evein karni assi neho laawan na sikde ...

ajj sik mitran di wadheri e

kun fayakun te kal di gal e assan aggon hi preet lagayi main tun harfnishaan nayayi jadon ditti neem gawahi ajje te oh paye disde sanu bele boote kahi mehr ali shah ral dowein baithe jadon sik dillan nu aayi ajj sik mitran di wadheri e kyun dilri udas ghaneri e thawan muthri nit jaan balab sohna khush wasda vich mulk arab loon loon vich shauk chanderi e ajj naina ne layiyaan kyun jhariyan mukh chand badar shah shaani e maththe chamke laat noorani e kali zulf te ankh mastaani e makhmool anki in madd bhariyan dasse soorat raah besoorat da tauba raah ki e ain haqiqat da aethe kam nahi besoojat da koi virliyan moti lai tariyan aena sik diyan te kurlaundiyan te lakh waari sadke jaundiyan te aena bar deyan muft vikaundeyan te shah laawat aawan oh ghariyan us soorat main jaan aakhan jaan aage jaan jahaan aakhan sach aakhan te rabb di shaan aakhan jis shaan ton shaanan sab baniyan subhanallah mah ajmal ka mah aasan ka mah akmal ka kithe 'Meha...

ek nazar ki baat hai daata

shahenshah e ataa hain faiz e aalam karam unki inteha hai faiz e aalam moin uddin chishti keh gaye hain zahoor e qibriya hai faiz e aalam mujhe mushkil hai koi mushkil mere mushkil kusha hain faiz e aalam hai hasti bhi hussaini shaan e daata ye panj e tan ki ziya hain faiz e aalam ek nazar ki baat hai daata kisi ki baat banti hai tumhara kya bigadta hai he bhagwaan suratiya waale mori baat sunat tora kya jaawat hai yak nigah e bah e ast faiz e panj tan ek nazar ki baat hai daata ganj e shakar ke naam ka sadka saabir aur nizam ka sadka ek nazar ki baat hai daata laaj tumhare haath hai daata mere daata ali hajveri laaj tumhare haath hai gham ka maara hoon besahara hoon kuch bhi hoon par tumhaara hoon beamal hoon mere pass kuch bhi nahi laaj waale tere haath ab laaj hai mai deewana hoon mere pass mehshar mein khade rehna najaane kya kahoon aur kya poocha khuda ne mujhse ye maan liya layak e darbar nahi main ye bhi na sahi kaabil e deedar nahi main...

Agar furqat ke sadme kam na honge

agar furqat ke sadme kam na honge kisi din dekh lena ham na honge jo darr jayein ajal ka naam sun kar wo koi aur honge ham na honge tera kamat uthayega jo fitne qayamat se wo fitne kam na honge charaag aahon ka sehme gulsitaan mein bahaarein hongi lekin ham na honge jo hain waabasta e dargah e jeelan 'Naseer' unke kahin sar kham na honge

kamli wale je dar na dekhaya tussan

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai ae salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam aatishe do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad kamli waleya tere karam baajon buha rehmatan da kade khulda nahi tere gali de khaaran vich mazaa jehra oh te mazaa firdous de phul da nahi qayanaat de takhtan ch takht koi teri paak chatayi de tul da hai takht ki sardaar ae arsh e azam tere jode di khaak de mul da nahi karam karde takht e shahenshah mere karam sawaar ja karam karke kamli wale je dar na dekhaya tussan haunke bhar bhar ke mazloom marr jayega teri honi hai bas ik nigah e karam mera kaasa ummedan naal bhar jayega ess duniya da ki bharosa shahan ditta ki duniya ne gham ton siwa tere wallon je milda rawe haunsla waqt jehra vi aawe guzar jaayega meri kashti nu darr kaada toofan da main gada haan madine de sultan da yaa muhammad muhammad jad ditti sada mera dubde safina vi tarr jayega karde nazar e karam dar te mare te hun ...

kismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye

kal jo the pehlu mein mere aaj wo hain begaane se dil aur aankhein dono milkar kaisa sog manati hain kismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye ladte rahe hum toofanon se aur wo darya paar gaye iss shehr e mehroom e wafa mein jeena bhi kya jeena hai aankhein weeran seena khaali jabse wo sarkaar gaye jinki yaad ko dil mein basaakar humne umr guzaari thi ab toh unke naam pe zinda rehne ke aasaar gaye ab toh apni mehfil mein kuch taajir hain kuch saudagar jin pe humko fakhr tha wo sab dost gaye wo yaar gaye mere dil ke aaeene mein jin ka naam numaayan tha unke jhoothe waade humko jeete ji hi maar gaye unka dil paththar tha 'Fareedi' paththar ko kya hota hai koi aansu kaam na aaya sab shikwe bekaar gaye

fasle gul hai saja hai maikhaana

dekh kar aapki jawani ko aarzu e sharaab hoti hai roz tauba ko todta hoon main roz niyat kharaab hoti hai aaapke ke waaste gunah sahi hum piyein toh sawaab banti hai sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharaab banti hai fasle gul hai saja hai maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana zindagi jab guzaar deti hai kaleem yaar phir kya bura hai maikhaana shaam ke waqt baithne ke liye sabse achchi jagah hai maikhaana khat hai shayad kisi sharaabi ka khat ke upar likha hai maikhaana kis tarah chchor doon isse waazedil mushkilon se mila hai maikhaana jab se hai wo nazzar khafaa hamse yun lage hai khafaa hai maikhaana

dum dum ali ali ali ali kar

shahe mardaan sher e yazdaankurbatein parwardigar lafasail ya ali lasaif laaj ul baqar ali ali maula ghaus qutub saare ali ali karde hukm ali da chale aasman utte sooraj chann taare ali ali karde ghunche phul patte ali ali karde saare meh paare ali ali karde kismat wal howe mushkil hal howe jadon ghaman maare ali ali karde dum dum ali ali ali ali kar har dum ali ali ali ali kar naam e ali da vird paka lai rakh na roz hashar da darr kisse ne ki dasni e shaan maula ali di kita e gawahi quran maula ali di jinha jinha kar layi pachchan maula ali di unhan tahin mil gayi amaan maula ali di maula ali de dar te bai ke khaali khaali dho leya kar dube hoye bedeyan nu ali peya taarda avein ni zamaana saara ali nu pukarda milya e daan tenu ali de pyar da kisi vi maidaan vichon oh ni kadon haarda maula ali de bajon pyare pyar di baazi jayeen na har rabb di saun ali da makaam kithe wakhra shaan kithe wakhra te naaam kithe wakhra nabi jehra ditta e inaam jithe w...

zulfon ne teri le liye imaan hazaaron

tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon veerane ko aabaad to kar sakta hoon jab chahoon tumhein mil nahi sakta hoon jab chahoon tumhein yaad to kar sakta hoon mujhe kya teri bahein mil gayi hain zamaane se panahein mil gayi hain mile hain kya tere nakshe gafe paa tere milne ki raahein mil gayi hain hua hoon beniyaaze dair o kaaba tere milne ki rahein mil gayi hain saari duniya ke haseen ek taraf aap ka rooh e mubeen ek taraf kaaba e dil mein saja li hamne teri tasveer kahin ek taraf zulfon ne teri le liye imaan hazaaron aaraz ne tere de diye quran hazaaron le deke tere zulf ne imaan hazaaron allah banaye hain musalmaan hazaaron padh jaati hai jab ek nazar aap ke rukh par padh leti hain aankhen meri quran hazaaron

vigar gayi ae thode dina ton

vigar gayi ae thode dina ton doori payi ae thode dina ton tere hundeyan peende nahi saan peeni payi ae thode dina ton chann jeha mukhra nazar ni aaunda rut surmayi ae thode dina ton shaam savere aa jande sann khabar na layi ae thode dina ton dil marjaana hun tak darr da chot tan sahi ae thode dina ton sukh sunera koi ni aaunda ass te dhayi ae thode dina ton ik din 'Bari' hal ho jaani mushkil jayi ae thode dina ton

ye tune aaj kya nigahe yaar kar diya

wo taalluk na rakhega kabhi maikhane se jisne pi li ho tere ankh ke paimane se kya tamasha hai teri zulf bikhar jaane se hosh waaale bhi nazar aate hain deewane se sajde kyun kar na karun dar pe sanamkhaane ke jaagti hai teri tasvir sanamkhaane se ye tune aaj kya nigahe yaar kar diya aisi pilayi aaj ke sarshaar kar diya na khabar apni hai na aalam ki aisi pilayi apni nazar se saaki ne maste nargise mastaana kar diya aisi pilayi aaj ke deewana kar diya nazar mila ke kaha mujhse mere saaki ne haraam kehte hai jisko yeh wo sharaab nahi kar rahi dar haqeeqat kaam saaki ki nazar maikade mein gardish e saagar paraye naam hai ashqon ne kya gazab gham e deedar kar liya jee bhar ke dekhna hamein dushwaar kar diya imaan o deen o zauhad garaz jo tha hamare pass sab kuch nisaar e abroo e khamdaar kar diya ik tashna lab ne yoon bhi diya imtehan e ishq qurban raza e yaar par ghar baar kar diya khuda waale khuda ko iss tarah se yaad karte hain gale pe teg lab pe shu...

ishq too hai meri razaa too hai

ishq too hai meri razaa too hai mera imaan hai khuda too hai na garaz dair se na kaabe se mere sajdon ki bas jagah too hai dil mein too hai nazar mein bhi too hai ibtida too hai inteha too hai aks dekha hai zaat ka tujh mein kyun kahun zaat se juda too hai farsh pe shaan e mustafayi hai arsh pe shaan e qibriya too hai ishq mein kho ke tere kehna pada har taraf too hai ja ba ja too hai dil ki dhadkan mein yaad teri hai too mera dil hai dilruba too hai naagrad hai ilaj ki Ambar mere har dard ki dawa too hai

ya allah ya rehman

maalik ul mulk la shareeka la hoo wahda hoo lailah illah hoo Shams Tabrez gar khudaaya talabeen khushbo khaan lailah illah hoo konain ka masjood hai mabood hai tu har shai teri shahid hai ke mashhood hai tu har ek ke lab pe hai teri hamd o sana har souz mein har saaz mein maujood hai tu tere hi naam se har ibtida hai tere hi naam tak har inteha hai teri hamd o sana alham do lillah ke tu mere muhammad ka khuda hai ya allah ya rehmaan mangna bhi nahi mujhko aata laaj rakhna sawaali ki daata har shai tere jamaal ki aeena daar hai har shai pukarti hai tu parwardigar hai teri raghubiyat ki ada ka kamaal hai tu rab e qayanaat hai tu lajawaal hai boo e isiyan mein barson phira hoon dar pe tere aakar ruk gaya hoon tujhko chahoon muhammad ko chahoon aur koi nhai mujhko bhaata aye khuda aye rahim aye rehmaan main teri qibrayi ke qurbaan zindagi teri qayanaat teri wahdahu lashareek zaat teri rooh jhoome ishaaron pe tere aankh lehraaye jalwon pe tere mera ha...

sanu rog laun waleya

sanu rog laun waleya kadi takre te haal sunaawan ankh layi main jadon di tere naal ankh laawan ankh na lage gal mukki na sajan naal meri rabba teri raat mukk gayi meri khul gayi patak deke ankh ni gali de vichon kaun langeya mainu bhul gayi khudai channa saari tere nahi khayaal bhulde sadi sajna yaad bhulaake kera ve tun rabb ho gaya aap yaar bina nahiyo rehnda lokan nu kehda changi gal nahi waada karke sajan nayiyo aaya udeekan vich raat lang gayi ranjha chaudni de chann naalon changa mae ni ehnu chaak na kavin baithi baithi nu khayaal tera aaya main hasdeyan raun lag payi

ye kitna karam hai ye kitni ataa hai

rang dete hain noor dete hain bin piye ye suroor dete hain apne dar ke har ik bikhari ko faiz daata zaroor dete hain faiz e aalam ke aastaane pe nakshe paa e rasool milte hain kitni aa rehmaton ki raqsan hain jazb o masti ke phool khilte hain ye kitna karam hai yeh kitni ataa hai mujhe faiz e aalam ka dar mil gaya hai nahi chaiye mujhko do jag ki shahi mujhe panj tan ka ye ghar mil gaya hai main taan golari data darbaar di haan mere gal vich patta sarkaar da e jehde sir te hath khasam da howe kaun osnu phir koi maarda e wande faiz khazandne peer sohna daata mangteyan nu waajan maarda e dard osde jhat ch sawaar dende e Nusrat daata nu jehra pukaarda e dur dur hundi si dar dar phirdeyan nu dur dur hon to daata bacha chchadeya kaun puchchda si dhakke khandeyan nu dukhan ghaman ton daata chchuda chchadeya daata nazar kiti mere bhaag jaage mere dil da sheesha chamka chchadeya jadon daata ne Nusrat te karam kita kujh hor da hor bana chchadeya e mila hai muj...

Huzoor par nisaar hoon

main fasal nau bahaar hoon bahaar ka nikhaar hoon main phool hoon ke khaar hoon main noor hoon ke naar hoon huzoor par nisaar hoon azaal se lekar taa baz nahi hai jiski koi hadd zubaan pe hai ahad ahad alam ya nizwaland ulad wo raaz aashkar hoon shanaware sukhan hoon main farogh e ilmo fann hoon main waqar e anjuman hoon main ghulam e panj tan hoon main fiza e chaar yaar hoon ye rehmate rasool hai meri dua qubool hai ye talb hai ke phool hai ye naak ka nazool hai ke main tera kagaar hoon karam hai ye karim ka main unke dar ka hoon gada jo maraz ki hai dawa ye meri shaan e marhaba jahan ka taajdar hoon

manzil se kahin jab gum ho kar hum unko pukaara karte hain

manzil se kahin jab gum ho kar hum unko pukaara karte hain wo khud rahbar bann jaate hain aur khud hi ishaara karte hain aankhen kaisi ab dil kaisa hasti kaisi ab dil kaisa khud apni nazar se gum ho kar hum tera nazaara karte hain allah allah karte karte hoo nazar aaya mujhe hoo mein jab main gum hua to tu nazar aaya mujhe jis nazar dekha makame hoo nazar aaya mujhe kuchch nazar aaya nahi jab tu nazar aaya mujhe hum husn ko ba haq e nazar dekhte rahe mushkil thi taab e deed magar dekhte rahe apni nazar se dekhte toh e rashirq tha teri nazar se teri nazar dekhte rahe jalwa tumhara jab nahi aata nazar mujhe jee karta hai aag laga doon nazar ko main haram wo sheikh e haram beqaraar baitha hai khuda na mila usse dil ko haar baitha hai nigah sheikh ne bakshi toh dekha nigah e peer mein parwardigaar baitha hai jitna main tumse door hoon utna hi too kareeb hai dekh sakoon na tumko main ab yeh mera naseeb hai mil gayi jis din se yaaron hamko nisbat yaar ki cha...

mast aankhon ki kasam

mast aankhon ki kasam khaane ka mausam aa gaya jaam ko sheeshe se takraane ka mausam aa gaya asmat e tauba ko thukraane ka mausam aa gaya aa gaya peekar behak jaane ka mausam aa gaya aaj tauba ko ghataon ke hawaale kardo tauba to kar chuka tha lekin e jaleel kaali ghata ko dekhkar neeyat badal gayi lutf e mai tujhse kya kahun zahid hay kambakht tune kabhi mai pee hi nahi aye waayza tu sharaab pee le na kar tu kuch ijtanaab pee le main teri manun namaaz padh lun tu meri maan sharaab pee le cham cham karta saawan aaya mee ke dar se bhaagi tauba phir ghata chaayi behak jaane ka mausam aa gaya jaam ka sheeshe ka paimaane ka mausam aa gaya ye fazaan ye chandni raatein ye daur e jaam o mai mastiyon mein gark ho jaane ka mausam aa gaya ho rahin hain ik markaz pe dil ki wahshatein hamnasheen shayad bahar aane ka mausam aa gaya muskuraata hai koi chup chup ke dil ki aad mein hasraton ke raqs farmaane ka mausam aa gaya rafta rafta wakeyat e dard yaad aane lage ...

hasti pe nikhaar aa jaata hai

har shai se beniyaaz hai mera dil e hadeem tum kya mile dono jahaan mil gaye mujhe hasti pe nikhaar aa jaata hai jis waqt wo saamne hote hain har shai pe khumaar aa jaata hai jis waqt wo saamne hote hain jab tasawwur mein koi jalwa numa hota hai dil ka aalam mera duniya se juda hota hai jhukti hai jabeen sajde ke liye aankhen bhi talaawat karti hain dil ko bhi karaar aa jaata hai jis waqt wo saamne hoe hain chalti hai hawa bhi masti main phoolon pe bhi gulshan har su tab rang e bahaar aa jaata jis waqt wo saamne hote hain parwane ki haalat kya kahiye parwana hai aakhir parwana shamma ko bhi pyar aa jaata hai jis waqt wo saamne hote hain bhaati nahi khushbu phoolon ki bhawre ko apna dil le kar hone ko nisaar aa jaata hai jis waqt wo saamne hote hain makhbool ghata chaa jaati hai mashoor fazaa ho jaati hai Safrii ko karaar aa jaata hai jis waqt wo saamne hote hain manam mehve khayaal e oo nami daanam kuja raftam shudam garke wisaal e oo nami...

har soorat vich aave yaar

har soorat vich aave yaar karke naaz adaa lakh vaar ban dilbar shakal jahaan aaya har soorat ain ayaan aaya yaar ko hamne ja baja dekha kahin zahir kahin chchupa dekha kahin wo badshaah e takht nashin kahin wo kaasa liye gada dekha husn mala hadd birhon pachchane ramz nazakat bhan bhadkare ishva gham da teer chalaave bedil phirde daar nadaar hik ja roop singaar dikhaave hik ja aashiq ban ban aave har mazhar vich aap samaave apna aap kare deedar fakhr jahaan kabool ki tohe bakhaf kul asraar thi ose har ja noor jamaal dikhose makhfi raaz thaye izhaar yaar 'Farid' ayaan bayaane nahno akrab vich furkaane eho kita deen imaane tode pakad chadhawe daar

haqiqat ka agar afsaana ban jaaye

haqiqat ka agar afsaana ban jaaye to kya kije gale milke bhi wo begaana ban jaye to kya kije hamein sau baar tarq e maikashi manzoor hai lekin nazar uski agar maikhaana ban jaye to kya kije nazar aata hai sajde main jo aksar sheikh sahib ko wo jalwa jalwa e jaanaana ban jaaye to kya kije bada dukh shamma ko hai ek parwane ke jalne se jo saari bazm hi parwana ban jaaye to kya kije tere milne se jo mujhko hamesha mana karta hai agar wo bhi tera deewana ban jaaye to kya kije khuda ka ghar samajh rakha hai hamne jis dil ko 'Qateel' iss mein bhi ik butkhaana ban jaaye to kya kije

maikada ban gayi mast aankhen

maikda ban gayi mast aankhen zulf kaali ghata ho gayi hai kya ho mai ka nasha zindagi mein zindagi khud nasha ho gayi hai har tabassam khafa ho gaya hai har musarrat juda ho gayi hai ae gham e ishq teri badaulat zindagi kya se kya ho gayi hai main aseer e gham e hijr thehra aur isse bhi zyada kahun kya mujhko jurm e muhabbat mein yaaron umr bhar ki saza ho gayi hai pehle toh dekhna muskuraana phir nazar pherna rooth jaana ho gaya khoon kitnon ka na haq aap ki toh adaa ho gayi hai de ijazat tere nakshe paa ko choom kar khud pashemaan hunga hosh mein itni jurrat na hoti bekhudi mein khata ho gayi hai kaun hai dost hai kaun dushman aks pesh e nazar hai sabhi ka jab se hasrat chadha dil ka paara zindagi aaeena ho gayi hai unke dar pe pahunchne to payein ye na poocho ke hum kya karenge sar jhukaana agar jurm hoga hum nigaahon se sajda karenge ya dohra jabeenon ki mulajaat karenge ya bandagi e peer e kharafaat karenge ye akl ke sehme hue bemaar i...

ucha mere lekhan da sitara ho gaya

ucha mere lekhan da sitara ho gaya baithe baithe taiba da nazaara ho gaya meri khushnaseebi ka aalam to dekho mera ishq hi mere kaam aa gaya hai noor da khazina meri ankhiyan de saamne aaka da madina meri ankhiyan de saamne mere dukhan ghaman da te chaara ho gaya baithe baithe taiba da nazaara ho gaya vekho kinna karam kamaya lajpaal ne jholi meri vich khair paaya lajpaal ne shaahan naalon kalla mere paara ho gaya bathe baithe taiba da nazara ho gaya naat main sunayi jaan huzoor nu huzoor di mere utte hoyi barsaat badi noor di sareyan gunahawan da dafaara ho gaya qabr vichch paawniyan zaadi e aseeran ne puchna sawaal phir koi nahi lakeeran ne jadon mere aaka da ishaara ho gaya baithe baithe taiba da nazaara ho gaya darr nahi 'Jameel' mainu hashar te jaan da phad laya palle main te aamina de laal da mainu mere daata da sahaara ho gaya baithe baithe taiba da nazaara ho gaya

daata hajveri tenu lakhan ne salaam

sadke jaawan main daata di shaan utton sakhiyan vich sakhi bakamaal daata dar te aaye sawaali nu taalda nahi palle bhar deve khairan naal daata mushkil vele jo daata nu yaad kare aa ke lainda e fauran sambhaal daata daaman bharda jag de ae Hafiz mera sakhi daata bakamaal daata tu hain ibne ali wanj tan di kali tera waliyan ch ucha e makaam ali hajveri tenu lakhan ne salaam tu taan daad veri tenu lakahan ne salaam mustafa da laal e mustafa di yaad e assiyan da maan e tu sakhi lajpaal e tu e qutb e jali tu e haj da wali tere lakhan wali ne ghulam shama hajveri tun e assi te luwande khair paade daata tere mangte purane haan mere daata piya aj maahe khuda dukhde sab de mukade tamaam ucha e gharaana tera uchi teri shaan e ali hajveri tera mangta jahaan tu e shah e jahaan mere peer e mugaan menu de de nigahvan de jaam dar tere noor dar tere noor e daata di jameen layi teri 'Bari' dhoor e tu e rabb hi karam tu e saada bharam saare jagg utte ter...

aaj roothe hue saajan ko

main fasane talaash karta hoon aap unwaan dhoondh kar layein aao wada kashon ki basti se chand insaan shoondh kar layein raat yun dil mein teri bhooli hui yaad aayi jaise veerane mein chchupke se bahaar aa jaaye jaise sehraaon haule se chale baad e naseem jaise bemaar ko bewajah karaar aa jaaye achchi soorat ko sawarne ki soorat kya hai saadgi mein bhi qayamat ki ada hoti hai tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaaz tumko maaloom hai kitnon ki kaza hoti hai roothe hue yaaron se mera zikr na karna be faiz bahaaron se mera zikr na karna jin raah guzaaron mein mere saath the tum bhi un raah guzaaron ka mujhse zikr na karna aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya apne ujde hue gulshan ko bahut yaad kiya jab kabhi gardish e takdeer ne ghera hai humein gaisu e yaar ki uljhan ko bahut yaad kiya aaj toote hue sapnon ki bahut yaad aayi aaj beete hue saawan ko bahut yaad kiya

yaad e mehboob hai aur aalam e tanhayi hai

yaad e mehboob hai aur aalam e tanhayi hai ab to khalkat mein bhi kya anjum aarayi hai dil wohi dil hai jo sarkaar ka shaidayi hai jaan wohi jaan hai jo taiba ki tamannayi hai mai fiza jab bhi tera naam liya hai maine dil bhi tadpa hai meri ankh bhi bhar aayi hai aye nabi de do jahaan tera karam hai darkaar aye masiha e zamaan waqt e masihayi hai tera karam nahi toh qayamat hai zindagi tere karam hai to salaamat hai zindagi laala o gul ko mila tere gulshan se faroz raah o anjum mein tere dar ke ziya payi hai

sikh chajj koi yaar manaawan da

makke gayan gal mukdi naahi bhavein sau sau jumme pad aayiye ganga gayan gal mukdi naahi bhavein sau sau gote khayiye gaya gayan gal mukdi naahi bhavein sau sau pand padhayiye Bulleh Shah gal tayiyon mukdi jadon main nu dilon gawayiye naa main puja paath jo kiti naa main ganga nahya na main panj namaazan padiyan te na tasba khadkaya na main tiho roze rakhe te na main chilla kamaya Bulleh Shah nu murshid milleya ohne evein jaa bakshaya je hai chaah dil neho laawan da sikh chajj koi yaar manawan da ek kutta dar dar phire te dar dar dur dur howe je ik dar da ho ke bai je kanu dur dur howe haji talab je kare ibaadat kade na bane namaazi jad tak ishq na hosi dil vich rabb na hosi raazi na bann momin na ban kaafir na pandit na kaazi Bulleh Shah ik yaar bana lai laa ke dil di baazi sir te topi te niyat khoti lehna ki topi sir dhar ke tasbi phiri par dil na phireya lehna ki tasbi hath phar ke chille kite par rabb na mileya lehna ki chillleyan vich wad ke ve ...

unke sang e dar se

raah mein jab koi dushwaar maqaam aata hai jaane kyun lab par mere aap ka naam aata hai ye tasawwar fakat iss baat par nahi maukoof jisse nisbat ho har haal mein kaam aata hai hujoom gham se jab ghabra gaye hain hum unke aastan pe aa gaye hain unka aastan allah o akbar sahaare besahaare paa gaye hain unke sang e dar se kuch aisi muhabbat ho gayi umr bhar ke ek sajde mein ibaadat ho gayi aye junoon e shauq taqmeel e muhabbat ho gayi yaar ki soorat ba zahir meri soorat ho gayi iss kadar unka tasawwur kahin badh jaata hai aaeena dekhun to muhn unka nazar aata hai mere dil mein hai pyar ki soorat meri soorat hai yaar ki soorat mujh par hi mujhe yaar ka dhokha ho gya deed ki deed tamaashe ka tamaasha ho gaya mil gayi dair o haram ke pher se usko nijaat yaar ke nakshe kadam se jisko nisbat ho gayi jaan e dil qurban tujh par aye jamaal e rooh e yaar jab tujhe dekha to quran ki talaawat ho gayi pad jaati hai jab ek nazar aapke rukh par padh leti hain aankhen ...

Ajje latha nayiyo ankhiyan da chaah

aa was nere nere dhola sanu har dum terian loran duniya de vich sajna baajon nai pooriyan hundiyan thoran jad kar mera ishq salaamat kyun hor kisse naal joran sajna ishq da kaafir theevo je yaar wallo mukh moran aa sajna assi tere raahin baithe baal naina de deeve nit nit dard vichchora tera mera khoon jigar da peeve teri deed bina mere yaar sajan ik pal aaram na theeve Rafiq pyaare sajna baajon dasson yaar koi kivein jeeve ajje latha nayiyo ankhiyan da chaah tu thodi der hor thahar ja rabb poori kiti dil di dua tu thodi der hor thahar ja teri deed howe meri deed howe aaja sajna eid mana layiye jee chaunda sohneya saari umar tenu kol baitha ke takda rawan hijr tera je paani mange te main khu naina de geran jee karda ajj saamne bai ke dard puraane chcheran naayi tere nazareyon jee bharda tenu takda raawan ehiyo jee karda nasha tere naina da sharaab naalon changa e mukh tera sohneya gulaab naalon changa e kalle bai ke raaz o niyaaz howe ik band...

Ali da malang

ali imam e man ast o manam ghulam e ali hazaar jaan e girami fida ba naam e ali ali da malang main te ali da malang maula ali naal nisbat meri chad gaya mainu haidari rang pade mushqil koi mushqil kushaakhe yaad kar har bala tal jayegi sher e khuda ko yaad kar banda e haider hai tu ikhlaas ki aadat qabool de diya qaatil ko sharbat kis kada ko yaad kar wo ali jo parda e qausain ka hamraaz tha wo ali jis pe muhammad e mustafa ko naaz tha wo ali jisne gadaon ko suleiman kar diya wo ali jisne khuda ka kar musalman kar diya ali se to fashaan hai jahaan ka saara chaman ali hai siraaj e zamaana ali hai badro zaman fana ye qaaba e iman se aa rahi hai sada ali ka ishq haqeeqat mein hai  khuda ki azan har qalb ali jism ali jaan ali hai mujh mein saro samaan mein samaan ali hai iman to mikhlashi hai iman hi keh doon iman to mera yeh hai ke iman ali hai bawaqt e mard zabaan se jali jali nikle har ik taare qafan se wali wali nikle farishte qabr mein poochein ...