aaj roothe hue saajan ko

main fasane talaash karta hoon
aap unwaan dhoondh kar layein

aao wada kashon ki basti se
chand insaan shoondh kar layein

raat yun dil mein teri bhooli hui yaad aayi
jaise veerane mein chchupke se bahaar aa jaaye

jaise sehraaon haule se chale baad e naseem
jaise bemaar ko bewajah karaar aa jaaye

achchi soorat ko sawarne ki soorat kya hai
saadgi mein bhi qayamat ki ada hoti hai

tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaaz
tumko maaloom hai kitnon ki kaza hoti hai

roothe hue yaaron se mera zikr na karna
be faiz bahaaron se mera zikr na karna

jin raah guzaaron mein mere saath the tum bhi
un raah guzaaron ka mujhse zikr na karna

aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya
apne ujde hue gulshan ko bahut yaad kiya

jab kabhi gardish e takdeer ne ghera hai humein
gaisu e yaar ki uljhan ko bahut yaad kiya

aaj toote hue sapnon ki bahut yaad aayi
aaj beete hue saawan ko bahut yaad kiya


Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil