yaad e mehboob hai aur aalam e tanhayi hai

yaad e mehboob hai aur aalam e tanhayi hai
ab to khalkat mein bhi kya anjum aarayi hai

dil wohi dil hai jo sarkaar ka shaidayi hai
jaan wohi jaan hai jo taiba ki tamannayi hai

mai fiza jab bhi tera naam liya hai maine
dil bhi tadpa hai meri ankh bhi bhar aayi hai

aye nabi de do jahaan tera karam hai darkaar
aye masiha e zamaan waqt e masihayi hai

tera karam nahi toh qayamat hai zindagi
tere karam hai to salaamat hai zindagi

laala o gul ko mila tere gulshan se faroz
raah o anjum mein tere dar ke ziya payi hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil