manzil se kahin jab gum ho kar hum unko pukaara karte hain

manzil se kahin jab gum ho kar
hum unko pukaara karte hain
wo khud rahbar bann jaate hain
aur khud hi ishaara karte hain

aankhen kaisi ab dil kaisa
hasti kaisi ab dil kaisa
khud apni nazar se gum ho kar
hum tera nazaara karte hain

allah allah karte karte hoo nazar aaya mujhe
hoo mein jab main gum hua to tu nazar aaya mujhe

jis nazar dekha makame hoo nazar aaya mujhe
kuchch nazar aaya nahi jab tu nazar aaya mujhe

hum husn ko ba haq e nazar dekhte rahe
mushkil thi taab e deed magar dekhte rahe
apni nazar se dekhte toh e rashirq tha
teri nazar se teri nazar dekhte rahe

jalwa tumhara jab nahi aata nazar mujhe
jee karta hai aag laga doon nazar ko main

haram wo sheikh e haram beqaraar baitha hai
khuda na mila usse dil ko haar baitha hai
nigah sheikh ne bakshi toh dekha
nigah e peer mein parwardigaar baitha hai

jitna main tumse door hoon utna hi too kareeb hai
dekh sakoon na tumko main ab yeh mera naseeb hai

mil gayi jis din se yaaron hamko nisbat yaar ki
chad gayi us din se mujhpe yaaron rangat yaar ki
ho gaya hoon iss qadar main husn e rooh e yaar main
har har mein nazar aati hai mujhko soorat yaar ki

main zeest ko apni kya samjhoon
main marg ka jhagra kya jaanoon
wo khud hi zinda karte hain
wo aap hi maara karte hain

maikhaana e husn ko dhoondhe hai
toota hua dil muztar aankhein
hum toote hue paimaanon ki
taamir dobaara karte hain

sab naaz o niyaaz ki baatein hain
ye husn o muhabbat hai 'Qaiser'
main unko ishaara karta hoon
wo mujhko ishaara karte hain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha