aa gham e shabbir aa seene laga kar choom loon

wafa ka noor duniya mein kabhi madham nahi hota
gham e shabbir badhta jaa raha hai kam nahi hota

wo dil dil hi nahi paththar ke tukde se bhi badtar hai
ke jis dil mein nabi ke ladle ka gham nahi hota

aa gham e shabbir aa seene laga kar choom loon
karbala ki khaak ko aansu pila kar choom loon

ze gham ali ka zulm ke jangal mein ghir gaya
sahra ka chand shaam ke baadal mein ghir gaya

tha gul azaare fatima khaaron mein ghir gaya
tanha ali ka laal haadaaron mein ghir gaya

aa mera asghar sada deti thi sughra raat din
aa teri raahon ko main palkein bichcha ke choom loon

yun mukhaatib lasha e akbar se the ibn e ali
uth mere bete tujhe dil mein baitha ke choom loon

jab chale maidaan ko Qasim ko sayyad ne kaha
ruk zara dulha tujhe sehra saja ke choom loon

rok kar auron muhammad ko ye zanib ne kaha
aakhiri baar aao seene se laga kar choom loon

tum bhi mere jaan asghar paani pee kar aa gaye
aankh to kholo tumhein lori suna kar choom loon

jisne bachaya khalq ko do zakh ki aag se
afsos uski aal ke kheme bhi jal gaye

asghar ki hichki akhiri agar che thi besada
phir bhi zameen o aasman ke dil dahal gaye

sayam kamaal e zabt ki koshish to ki magar
palkon ka halka tod kar aansu nikal gaye

kaise kalam rakam kare aayat e karbala
ye bolti kitaab ke paare ki baat hai

chchaaye the baadal zulm o tashaddud ke aal par
paththar baras rahe the muhammad ke laal par

dard o alam azal se tha hissa hussain ka
gham se hai bhara hua kissa hussain ka

Teghoo se band band juda tha janaab ka
shiraaza khul gaya tha khuda ki kitaab ka

laashay pade the dasht e musibat mein iss tarah
sehne chaman mein phool bikharte hain jiss tarah

tum bhi mere chand asghar paani pi kar aa gaye
aankh toh kholo tumhein lori suna kar choom loon

jab chale maidaan ko Qasim ko sayyad ne kaha
ruk zara dulha tujhe sehra saja ke choom loon

raat din jo ankh roti hai gham e shabbir mein
kyun na main sayim usse ankhein jhuka kar choom loon


Comments

  1. LABBAIK YA ✋ MAULA HUSSAIN 😭😭😭😭😭

    ReplyDelete
  2. Labaik Ya Nwasa e Rasool Saew.

    ReplyDelete
  3. translation in english plz

    ReplyDelete
  4. Here are some changes that were mistakes in your lyrics....!


    wafa ka noor duniya mein kabhi madham nahi hota
    gham e shabbir badhta jaa raha hai kam nahi hota

    wo dil dil hi nahi paththar ke tukde se bhi badtar hai
    ke jis dil mein nabi ke ladle ka gham nahi hota

    aa gham e shabbir aa seene laga kar choom loon
    karbala ki khaak ko aansu pila kar choom loon

    ze gham ali ka zulm ke jangal mein ghir gaya
    sahra ka chand shaam ke baadal mein ghir gaya

    tha gul azaare fatima khaaron mein ghir gaya
    tanha ali ka laal haadaaron mein ghir gaya

    aa mera asghar sada deti thi sughra raat din
    aa teri raahon ko main palkein bichcha ke choom loon

    yun mukhaatib lasha e akbar se the ibn e ali
    uth mere bete tujhe dil mein baitha ke choom loon

    jab chale maidaan ko Qasim to sayyad ne kaha
    ruk zara dulha tujhe sehre saja ke choom loon

    rok kar Aoun o Muhammad ko ye Zainab ne kaha
    aakhiri baar aao seene se laga kar choom loon

    tum bhi mere jaan asghar paani pee kar aa gaye
    aankh to kholo tumhein lori suna kar choom loon

    jisne bachaya khalq ko do zakh ki aag se
    afsos uski aal ke kheme bhi jal gaye

    asghar ki hichki akhiri gar che thi besada
    phir bhi zameen o aasman ke dil dehal gaye

    sayam kamaal e zabt ki koshish to ki magar
    palkon ka halka tod kar aansu nikal gaye

    kaise Qalam rakam kare aayat e karbala
    ye bolti kitaab ke paare ki baat hai

    chhaaye the baadal zulm o tashaddud ke aal par
    paththar baras rahe the muhammad kar laal par

    dard o alam azal se tha hissa hussain ka
    gham se bhara hua hai kissa hussain ka

    Teghoo se band band juda tha janaab ka
    shiraaza khul gaya tha khuda ki kitaab ka

    laashay pade the dast e musibat mein iss tarah
    sehn e chaman mein phool bikharte hain jiss tarah

    tum bhi mere chand asghar paani pi kar aa gaye
    aankh toh kholo tumhein lori suna kar choom loon

    jab chale maidaan ko Qasim to sayyad ne kaha
    ruk zara dulha tujhe sehre saja kar choom loon

    raat din jo ankh roti hai gham e shabbir mein
    kyun na main sayim usse ankhein jhuka kar choom loon

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for elaborately pointing out the mistakes.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil