aaj milkar bhi unse na kuch baat ki

aaj milkar bhi unse na kuch baat ki
haye majbooriyan mere haalaat ki

kuch keh na sakun
chup reh na sakun

nahi maaloom tha kis kis tarah laachar karta hai
dil usko jaanta hai bewafa pae pyar karta hai

mere hi saamne wo pehlu
mein dushman ke baithe hain

suna pehle mujhse kissa e gham phir zubaan kaati
hamesha ke liye keh kar ke rakh di dastaan meri

bas itni si doori ye main hoon ye manzil
kahaan aa kar phoote hain mere paaon ke chchale

zabt karta hoon to ghut ta hai mera tafas mein mera dam
aah karta hoon toh sayyad khafa hota hai

duni ek kya sab zamaana khafa hai
na koi bhala hai na koi bura hai
ye mere mukaddar ki saari khata hai
ye mana koi waqt e rahat nahi hai
lekin tumse koi shikayat nahi hai

us jagah bazm mein saaki ne baithaya hai hamein
haath phailayein toh jaata nahi paimaane tak

bakhiya jaa ke dil kyun na khulne lage
hijr ki raat phir wo bhi barsaat ki

din kata jis tarah kata lekin
raat kat ti nazar nahi aati

bin piya barsaat mein muhn ko kaleja aaye hai
dil tarap uthta hai jab kaali badariya chchayehai

kissi ki shab e wasl sote kate
kisi ki shab e hijr rote kate
hamaari ye shab kaisi shab hai ya rabb
ke na rote kate na sote kate

allah allah majaz e haqiqat numa
wo bashar hai ke tasvir hai zaat  ki

saakiya saakiya jaam de jaam de
sun ke aayein hain shohrat sanapaat ki

aye 'Naseer' unko apna bana lenge ham
koi soorat toh nikle mulaakat ki


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil