ek nazar ki baat hai daata

shahenshah e ataa hain faiz e aalam
karam unki inteha hai faiz e aalam

moin uddin chishti keh gaye hain
zahoor e qibriya hai faiz e aalam

mujhe mushkil hai koi mushkil
mere mushkil kusha hain faiz e aalam

hai hasti bhi hussaini shaan e daata
ye panj e tan ki ziya hain faiz e aalam

ek nazar ki baat hai daata
kisi ki baat banti hai
tumhara kya bigadta hai

he bhagwaan suratiya waale
mori baat sunat tora kya jaawat hai

yak nigah e bah e ast faiz e panj tan
ek nazar ki baat hai daata

ganj e shakar ke naam ka sadka
saabir aur nizam ka sadka

ek nazar ki baat hai daata
laaj tumhare haath hai daata

mere daata ali hajveri
laaj tumhare haath hai

gham ka maara hoon besahara hoon
kuch bhi hoon par tumhaara hoon

beamal hoon mere pass kuch bhi nahi
laaj waale tere haath ab laaj hai

mai deewana hoon mere pass mehshar mein khade rehna
najaane kya kahoon aur kya poocha khuda ne mujhse

ye maan liya layak e darbar nahi main
ye bhi na sahi kaabil e deedar nahi main
har chand agar aapka darkaar nahi main
kya banda bhi tera sarkaar nahi main

kitni pyaari raat hai daata
teri tajeeban raat hai daata

nabi aaj aaye hain
ali bhi saath aaye hain

dehli se ajmer se kaliyar se paak patan se
waris e shaan ke mehmaan chale aaye hain

tere karam ne baat banaayi
meri kya aukaat hai daata

deedar ke qaabil kahan meri nazar hai
ye teri inayat hai ki tera rukh meri taraf hai

kuch bhi nahin main kuch bhi nahin hoon
teri unchi zaat hai daata

jurm e mehad ke siwa daaman e rehmat ke siwa
pass kuch bhi nahi ahsq e nizamat ke siwa

palkon par ashqon ke moti
pass yehi saugaat hai daata

main neevan mera murshid uncha main uchcheyan de sang layi
sadke jaawan ehnan uncheyan ton jehna neeveyan sang nibhayi

main khuda di sauhn
galiyan da rooda kooda
mainu mahal chadaya
main kuch bhi nahin hoon

mujhko na dekho
meri nisbat ko dekho

fakhram bazashta een  ke kamina sade tom
naazam ba aadam aake balut but kharidayi

daaata tumne kharid kar
mujhko anmol kar diya

tu ru ba ru hua to meri baat bann gayi
tera karam hui to meri baat bann gayi

badal gayi mere dil ki duniya
ata ne wo martaba diya
karam ki woh nigah daali
gada ko sultan bana diya

ali da laal hai daata
nabi di aal hai daata

daata hai tera haider e karmaar mere daata
teri unchi zaat hai daata

mehshar ka kuch khauf nahi hai
tu jo hamare saath hai daata

warna main kya mera jahaan kya
tune banayi baat hai daata

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil