yaad e nabi ka gulshan

yaad e nabi ka gulshan mehka mehka lagta hai
mehfil mein maujood hain aaka aisa lagta hai

mehfil mein aaye hain wo
jo mangna hai mango
jo lena hai le lo

salle allah pukaro sarkaar aa gaye hain
utho ae besahaaron sarkaar aa gaye hain

ba adab sar ko jhuka lo meri sarkaar aaye
farsh ankhon ka bichcha lo meri sarkar aaye
deed ahmad ke liye aansuon se karke waju
apni mehfil ko saja lo meri sarkar aaye hain

naam e muhammad kitna meetha meetha lagta hai
lab pe jab unka naam aata hai
lamakan se salaam aata hai
naam e naami rasool e akrab ka
har musibat mein kaam aata hai

naam hum leke muhammad ka jiye jayenge
iss tarah jeene ka saaman kiye jayenge
ranj mite hain sukoon milta hai unke dam se
hum muhammad ka sada naam liye jayenge

tazim se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai ae salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

muhammad muhammad yun hi pukaara chale ja
yun hi zindagaani guzare chale ja

haq se jamaal e qibriya salle allah muhammadin
noor e khuda khuda numah salle allah muhammadin
uska bada naseeb hai haq ke bahut kareeb hai
jiska wazeefa hai sada salle allah muhammadin

mushkil o gham ke waaste ranj o malaal ke liye
yehi dua yehi dawa salle allah muhammadin
dono jahaan ki neimatein  uska naseeb bann gayi
jisne adab se pad kiye salle allah muhammadin

naam e muhammad kitna meetha meetha lagta hai
pyaare nabi ka zikr bhi humko pyaara lagta hai

lab par nagme salle allah ke haathon mein kashkol
dekho toh sarkaar ka mangta kaisa lagta hai

aankhon mein mazaar ka kajla sar taaha ka taj
kiasa kahoon kamli waala ham jaisa lagta hai

ghous qutub abdaal qalandar sab unke muhtaaz
mera daata har daata ka daata lagata hai

aur adna ki sej saji hai arsh e bareen pe aaj
haq ka dulaara bandh ke sehra dulha lagta hai

aao sunaye apne nabi ko apne gham ki baat
unke ilaawa kaun 'Niyazi' apna lagta hai

Comments

  1. SIGNIFICANCES OF THE PRAYERS.
    FAJAR - INCREASES THE COMPLEXION OR NOOR,
    ZOHAR - INCREASES INCOME,
    ASAR - IMPROVES HEALTH,
    MAGHRIB - GOOD FUTURE 4 U R CHILDREN,
    ESHA - PEACEFUL SLEEP.
    Abdur Raoof Raoofi Naats

    ReplyDelete
  2. What does ankhon mein mazaar ka kajla mean?

    ReplyDelete
    Replies
    1. To me, it seems that this a reference to holy dust used as kajla for the eyes.

      Delete
  3. Replies
    1. Tashakor means “thank you” in arabic.

      Delete
  4. Tashkor nahin hai bhai. Wo lafz to kashkol hai. Bowl of the darvesh.hathon mein kashkol means begging-bowl in hands. Kyunke huzoore Akram ke dar par bheek maangte rehte hain.

    ReplyDelete
  5. GOD bless everyone has posted the same copy from google that missed most of the verses of it but you guys having a great content despite of some mistakes like "lagta" mistaken as "lagata".

    ReplyDelete
  6. aankhon mein mazaag ka kajla sar taaha ka taj
    Koi iska matlab bata do bahot din se pareshan hu lekin abhi tak nhi jaan paya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye quran majeed se refer aik ayat hai shaid 30 parah mein

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha