duniya hai ek dasht toh gulzaar aap hain

duniya hai ek dasht toh gulzaar aap hain
iss teergi mein qatra e anwaar aap hain

ye bhi sach hai ki aapki guftaar hai jabeen
ye bhi hai haq ke sahib e kirdaar aap hain

 o aag aftaab e qayamat ki dhoop mein
mere liye toh saaya e deewaar aap hain

mujhko kisi se haajat e chaaragari nahin
har gham mujhe aziz ke ghamkhaar aap hain

insaan maal o zar ke junoon mein hai mubtila
iss hashar mein 'Nabeel' ko darkaar aap hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil