Huzoor par nisaar hoon

main fasal nau bahaar hoon
bahaar ka nikhaar hoon
main phool hoon ke khaar hoon
main noor hoon ke naar hoon
huzoor par nisaar hoon

azaal se lekar taa baz
nahi hai jiski koi hadd
zubaan pe hai ahad ahad
alam ya nizwaland ulad
wo raaz aashkar hoon

shanaware sukhan hoon main
farogh e ilmo fann hoon main
waqar e anjuman hoon main
ghulam e panj tan hoon main
fiza e chaar yaar hoon

ye rehmate rasool hai
meri dua qubool hai
ye talb hai ke phool hai
ye naak ka nazool hai
ke main tera kagaar hoon

karam hai ye karim ka
main unke dar ka hoon gada
jo maraz ki hai dawa
ye meri shaan e marhaba
jahan ka taajdar hoon



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha